Bank Jakar Aadhaar Card Ko Bank Account Se Link Kaise Kare

0
aadhaar card bank se link kaise kare offline method in hindi

Hey friends agar aap apne aadhaar card ko apne bank account se link karana chahate hai to aap sahi jagah hai yaha main aapko issi ke bare me batunga. Main aapko yaha jo tarika batunga vo offline tarika hai yani ki issme aapko na hi internet ka use karna hai

or na hi mobile or computer ka or aap bina mobile or computer or internet ka use kiye hi aadhaar card ko apne bank account se link karwa sakte hai. isse link  karana issliye jaruri hai kyoki isse aapko double fayda milta hai

pahla ki ye aapke account se connect ho jata hai jisse ki uska importance badh jata hai or dusra isse aap online payment me bhi use kar sakte hai jaise banking ki lagabhag  sabhi app jaise Ft Cash, ICICI Pockets, Mobikwik, PhonePe, Trutpay, Vodafone M-Pesa, ect ye sabhi upi (Unified Payment Interface) par adharit hai

and jisna ka use karne ke liye aapka aadhaar card bank se link hona jaruri hai tabhi aap inka use kar sakte hai and bhim app jo ki pm modi dwara digital payment or cashless transaction ko badava dene ke liye launched ki gayi hai ye bhi upi par adharit hai. aur essi aur bhi bhut si apps hai jo upi based hai jaise paytm, freecharge, google pay etc. 

yaha par me aapko aadhaar card bank account se kaise link kare ya jode isske bare me jo method batane wala hu vo offline wala hai aur bhut asan hai isske liye aapko jayda kuch karne ke jarurat nahi hai

aur agar aap nahi jante hai ki aapka aadhaar card bank se link hai ya nahi to isske bare me bhi maine already apni post me bataya hai jise aap new information category me jakar read kar sakte hai.

Bank jakar Aadhaar Card Bank Se Link Kaise Kare (offline tarika)

Contents

Ab main aapko jo tarika batunga jo sabhi city and states ke sabhi bank me ek jaisa hai and ye 100% working hai. Yani ki aapka account kisi bhi bank jaise sbi, cbi, pnb, axis etc me ho. aap all city states kahi bhi iss method ka use kar sakte hai.

and ye tarika  jo main aapke sath share karne ja raha hu puri tarah tested hai and working hai. issme maine kudh use kiya hai. issliye aap bhi asani se iska use kar sakte hai and ye jarur kaam karega. jaisa ki aap jante hi honge ki aadhaar card humara identity proof rahta hai aur isse pata chalta hai ki hum india se hai. vaise to aur bhi proof hai

lekin sabhi jagah par proof ke liye aadhaar card ka hi use kiya jata hai aur abhi isska use karke aap money send aur received bhi kar sakte hai jiske bare me maine pahle se apne ek article  me bataya hai issliye aapka aadhaar card bank se link hona bhut jaruri hai.

Aadhaar Number Bank Account Se Link Kaise Kare Step By Step Jane

  • Sabse pahle aapko ye janna jaruri hai ki aapka aadhaar card bank se link hai ya nahi isske liye aap  yaha click karke post padhe.
  • Ab aapko apna original aadhaar card and uski photocopy laker apne bank tak jana hai. (jisme bhi aapka account hai)
  • An bank punchkar kisi bhi accountants se aapko aaadhaar card linking form lena hai ya iss form ko aap yaha click  karke  download kar sakte hai ( kuch benk me ye form available nahi hota hai issliye apko wha application likhkar dena padega)
  • Ab aap aadhaar card link wala form or uski photocopy jama karde and aapse agar apna original aadhaar card dikhane ke liye manga jata hai to vo dikhade.
  • Bus aapko itna hi karna hai and 4-6 hours tak wait kare and jab aapka aadhaar card bank se link kar diya jayega tab aapke mobile par message aa jayega.
  • Aadhar Card Se Payment Kaise Kare ( Money Transfer)
  • Wikipedia kya hai ? Wikipedia ki puri jankari hindi me

Conclusion – 

Ye thi aadhaar card link karwane ki offline process jo ki koi bhi asani se follow kar sakta hai to aapko ye post aapko kaisa laga comment karke jarur bataye or ese or bhi article read karne ke liye humari site allhindihelp ko subscribe kare…

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here