Aadhar Card Se Payment Kaise Kare ( Money Transfer Easily)

0
Aadhar-card-se-cashless-payment-kaise-kare-in-hindi

Hello friends Aadhar card Se Payment Kaise Kare ┬а(money transfer ), Aadhar card se paise kaise transfer kare ye main aapko iss article me batane wala hu. Friends indian government cashless payment ko badava de rahi hai. Agar aap apne debit or credit card se transaction karte hai to aapko discount milta hai.

India me bhut se log esse hai jinke pass debit ya credit nahi hai to unke liye Government ne new scheme launch ki hai jissme aap aadar carrd se payment kar sakte hai. ┬а

Aadhar card se payment karne ke bhut se fayde hai. Lekin isse payment karne ke liye aapke pass apna aadhar card hona jaruri hai.

Mostly sabhi logo ke pass aadhar card hota hai and agar aapke pass nahi hai to aap asani se banba sakte hai. India ab digital banta ja raha hai. 500 or 1000 ke note band hone ke baad bhut jayda cash rakna accha nahi hai

issliye government ne aadhar se money transfer karne ki scheme launch ki hai or esse prayas kiye ja rahe jisse cashless transaction ko badava mile. India me jaydatar logo ke pass atm nahi hota hai

jisse vo kisi bhi shop, mall, hotal etc me cashless transaction nahi kar pate hai. Issliye modi sarkar ne aadhar card se paise transfer karne ki scheme shuru ki hai. jiska use karke ab aap aadhar card se paise transfer kar payege. vaise to cashless transaction ke liye aur bhi option hai

jaise aap mobile wallet ka use karke bhi online money transfer aur received kar sakte hai. agar sabse popular mobile wallet ki baat ki jaye to paytm, phone pe, freecharge, google pay etc hai jinka use karke aap money transfer karne ek sath sath aur bhi bhut se kaam jaise mobile recharge, bills payment etc bhi kar sakte hai.

Aadhar Micro ATM Kya Hai ?

Contents

Ye atm swipe machine ki tarah dikhta hai or usi ki tarah kaam bhi karta hai lekin ye atm swipe machine se bhut alag hai. issme aapko sabse pahle aapke adhar ka number enter karna hoga uske baad aapko finger(anguthe) se button press karna hai .

Uske baad aapko bank select karne ke liye kaha jayaga fir aap money transfer kar sakte hai. Isse payment karne ke liye aapka┬а aadhar card bank account se link hona jaruri hai. jiske bare me maine pahle ki post ki hui hai jise aap new information category me jaker read kar sakte hai.

Aadhar Card Se Cashless Payment Kaise Kare

abhi aap bhi agar apne aadhar card ka use karke kisi ko paise bhejna chejna chate hai to yaha par me issi ke bare me batane wala hu aur isske liye apako jayeda kuch nahi karna hoga me aapko jo step batane wala hu unko sahi se follow karke aap bhut hi easily aadhar card se payment kar sakte hai.

Aadhar Card Se Paise Kaise Transfer Kare ( Money Transfer )

Sabse pahle aapko micro atm tak jana hai ye aapko sabhi jagah mil jayege jaise shop mall etc

ENTER-YOUR-ADHAR-NUMBER
  • Fir aapko apne aadhar card ka number issme dalna hai.
red-button-anuguate-se-badaye
  • Ab aapko biometric┬а(red button) ko finger(anguthe) se hold karna hai.
aadhar card se payment karnevkavtarika
  • Jab aapki finger scan ho jayegi to micro atm par bank┬аke option show honge.
select-bank-account
  • Yaha aapka account jis bank me hai usko choose┬аkare.┬аAb aap asani se kisi ko money transfer and payment kar sakte hai.

Note– friends ye micro atm ki jo images hai vo demo image hai. issliye in photos me jo option show ho rahe jaise bank vo real micro atm jaise same nahi hai. issliye ussme aapko alag option show honge lekin ye steps puri tarah real hai. jinse aap asani se aadar se money transfer kar sakte hai

Aadhar Card Se Payment Karne Ke Fayde Benefits-

  1. Isse un logo ko bhut fayda hoga jinke pass ATMyani debit card nahi hai. Or vo cashless money transfer kar sakege.
  2. Aapko ab password yaad rakne ki jarurat nahi hogi or jeb me aapko bhut se credit ya debit card rakne ki bhi jarurat nahi hai aapko sirf adhar ka number yaad rakna hai.
  3. Vo log jinhe online banking and transection ke bare me jayda knowledge nahi hai vo bhi cashless transection kar sakte hai.
  4. Isse bank account me paise bhi jama kara sakte hai.
  5. Aap ek aadhar cared se dusre adhar card me money ya fund transfer kar sakte hai.
  6. Aap jab credit ya debit card se payment karte hai to aapka charge lagta hai lekin adhar se payment karne ka chargenahi lagta.
  7. Isse aap paise bhi nikal sakte hai.
  8. Isse aap online products ko buy kar sakte hai and mobile recharge bhi kara sakte hai or isska sabse bada fayda ye hai ki aapko register karna ya password yaad rakna nahi hota hai.

Iss tarah friends aap asani se apne Aadhar care se payment kar sakte hai. Isse money transaction issliye ho jate hai kyoki issme aapki sari detail rahti hai. or ye aapke bank se connect rahta hai. or isse aapki money or secured ho jati hai kyoki issme aapke finger print ka use hota hai.

I hope friends aapko ye post accha laga agar aapko ye post accha laga to isse apne dosto ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss post me kuch samaz na aaya ho to comment karke jarur bataye. or essi or bhi post read karne ke liye abhi allhindihelp.com site ko subscribe kare or latest post ki information apne email par received kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here