Blogger Blog Me Voting Poll Widget Kaise Lagaye ? Add Kare

0
blog me voting poll widget kaise add kare ya lagaye full detail

Hii friends Blogger Blog me Voting poll widget kaise add kare ya blog me Voting poll widget kaise lagaye ye main aapko iss article me batane wala hu. Friends blogger par hume full control nahi milta hai. Ye bhut se log bolte hai lekin dekha jaye to aap css or html widget ka use karke blog ko bhi ek professional website ki tarah design kar sakte hai.

blog me bhi theme change karke aur kuch change use ek wordpress website ke jaisa look de sakte hai.

Voting Poll Widget kya hai ?  Or Ye kaise kaam karta hai ?

Contents

Agar aap ek techblogger hai or aap apni site par make money, blogging, social media,  tips and tricks etc category se related post kar rahe hai  lekin aapko samajh me nahi aa raha hai ki aapke site ke visitors aapki konsi category ko jayeda pasand kar rahe hai to aap voting poll widget ka use kar sakte hai.

Isse aap apne visitors se direct puch sakte hai unhe aapki site ki konsi post jayeda pasand hai. Voting ka matlab vote dene se hota hai or poll ka matlab matdan yani aap logo ki raaye jaane ki liye iss voting poll widget ka use kar sakte hai.

Agar aap dekhna chahate hai ye kaisa dikhta hai to aap niche image dekh me dekh sakte hai.

voting-poll-widget
Voting poll widget

Blog website Me Poll ko kyo use kare – Fayde 

  • Ye bhut hi kam size ka rahta hai jisse apki site ki loading speed par fark nahi padhta hai and aapki site fast load hoti hai.
  • Aap apna koi sawal jo aap logo se puchna chahate hai vo aap isske dwara puch sakte hai. And apne question se related 2 ya 4 ya 6 jitne chahe utne option bhi de sakte hai.
  • voting poll widget blog par traffic badhane me bhi help karta hai kyoki isse readers ki choice pata chal jati hai aur uske according post write kar sakte hai.’
  • isse blog ka look bhi accha aur attractive dikhta hai.

Blogger Blog Me Voting Poll Widget Kaise Add kare ? Lagaye –

Agar aap apne blog ya website me Voting poll widget add karna chahate hai to niche bataye instruction ko follow kare-

  • sabse pahle blogger par jaye or apna email or password dalkar  login kare.

tap-on-layout-and-sidebar

  • Ab layout par click kare yaha agar aap sidebar me poll widget add karna chahate to sidebar me add a gadget par click kare or footer me add karna chahate hai to footer me add a widget par click karde.

tap-on-plus-icon

  • Ab aapke samne ek pop window open hogi yaha aapko thoda niche jana hai fir  aapko poll widget ka option dikhega uske samne + par click karde.
  • Ab aapke samne kuch option show honge inhe fill karne ke liye niche bataye steps ko follow kare-

question-answer-another-answer-closing-time-fill-all-option

1.Question me  aapko apna sawal likhna hai jo aap puchna chahate hai example-  aapko humari site ki konsi category ki post jayda pasand hai ?

2.answer me aapko 4 option dene hai ex- make money, bloggiong, social media, tips and trick and agar aap 4 option nahi dena chahate hai and only 2 option hai dena chahate hai to aap 2 option ke samne remove par click kar sakte hai.

3.add another answer aap agar 4 option se jayda option ka use karna chahate hai jaise aap apne poll me 6ya 8 ya 10 ya jitne bhi option dena chahate hai to aap ispar click karke jodh sakte hai.

4.allow visitor to select multiple answer ka matlab ki agar aap chahate hai ki aapke site ke visitors aapke poll question ka answer me 1 se jayda answer select kar sake to aap isska use kar sakte hai.

5.poll closing date and time me aap poll end hone ki date select kar sakte hai yaha aap ye bata sakte hai ki ye poll kab end ho jayga.

6.sabhi option ko sahi se fill karne ke baad save par click karde.

Iss taarh aapke blog me voting poll widget add ho jayega.

Important- voting poll closing date set karne ke baad aap ye na soche ki ye widget automatic end ya remove ho jayega . jis days ko aapne isski close karne ke date set ki hai us din aapko isse manually remove karna hoga

jo ki aap asani se layout<<sidebar << html widget me jaker kar sakte hai ya aapne agar footer me widget add kiya hai to footer me uspar click karke remove par click karde.

Friends  I hope aapko ye artcle accha laga isse apne dosto ke sath social media par jarur share kare or aapko iss post  ya other se related koi question hai to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karke ke liye abhi humari site allhindihelp ko subscribe kare or latest post ki information apne email par paye

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here