Mobile Phone Root Kaise Kare Without Using PC – 5 Best Rooting Apps

2
android mobile phone root kaise kare bina computer-ke hindi me jane

Android Phone root kaise kare, bina computer ke mobile phone root kaise kare. Hello friends, agar aap android user hai or  apna phone root karna chaiyte hai WO bi bina PC & laptop use kiya to aap sahi jagah hai yaha main aapko issi ke bare me batunga

aaj kal sabhi log internet par apne mobile se phone root kaise kare ye search karte rahte hai. vaise aap apne smartphone ko pc ya computer ka use karke bhi root kar sakte hai isski post humne pahle se ki hui hai jisse aap niche link par click kar read kar sakte hai.

Sabhi logo ke pass apna PC & laptop Nahi hota hai jisski  wajah se user ko bahut pareshani zelni padhti hai.  Matlab Facebook aur internet par yahi questions jayda comment kiya jarra hai

” main apna phone bina computer ke kaise root kar sakta hu  ” and bahut si alag-2 comment hai Jo yaha explain karke ni bata sakta warna bahut time ho jayga aur post lambi ho jaygi.

computer laptop ka use kiye bina bhi mobile ko root kiya ja sakta hai aur isske liye yaha me aapko best app ke bare me batane wala hu jinhe jayedatar log use karte hai. agar aap pahli baar apne mobile ko root karne wale hai to isske benefits aur loses ke bare me bhi jan le

kyoki agar aap bina knowledge ke apne mobile me koi bhi changes karte hai to isse vo brick bhi ho sakta hai. maine apni ek post me root ke bare me full explain kiya hai jise android tricks category me jakar read kar sakte hai.

Root kya Hai ? What Is ROOT In Hindi

Contents

Mobile me 2 cheze hoti hai hardware aur software. Jo apko mobile ke ander dikhta hai WO hardware hai jise aap touch kar sakte hai  and software apko kabi nahi dikhega and ise aap touch nahi kar sakte hai. hardware ke bina mobile start ni hoga aur software ke bina hum phone ka use nahi kar sakte matlab dono ki jarrut hoti hai

ab me apko batata hu Root kya hai jab aap kisi bi company ka phone lete hai  ka to uska owner ya company jo feature apne phone me diye hai  aap WO hi use kar sakte but root karne ke bad aap khud owner ban jate hai aap chaiye uske feature change kar sakte ya fir remove aap kuch bhi kar sakte hai.

agar saral sabdo me kaha jaye to phone root karne ke liye aap uske un features ko use kar sakte hai jinka use aap root se pahle nahi kar pa rahe the jaise system apps ko uninstall karna, ram increase karna etc

Root karne ke liye Requirement:-

  1. Apka mobile 60% se jayda charge hona chaiye
  2. Apko thodi bahut knowledge honi chaiye.
  3. Apke pas root karne k liye application hona chaiye Jo me apko ab batunga

Android Mobile Phone Root Kaise Kare Without Computer 

aaj main aapko 5 apps baatane wala  hu jinka u

se karke aap asani se apna mobile phone root kar sakte hai aapka mobile kisi bhi company jaise micromax, samsung, intex,lava, vivo, karbon, lenovo, oppo etc kisi bhi company ka ho ye apps sabhi me work karegi. 

Mobile Phone Root Karne ke Liye  5 Best Rooting App

1. Kingroot & kingoroot

ye Sabse jayda use kiya Jana wala application hai Matlab 90% android user iska use karte hai aur ye application achi work karti hai iss application ke two name hai but application same hai aap isko Google se search karke download kar sakte hai yeh application apko Google playstore me ni milegi apko Google se hi download karna padega. nahi to fir aap ise yaha se direct download kar sakte hai.

Download

2. Framaroot

1st app ke baad ye sabse jayda use kiya Jana wala application hai. agar apka phone 1st app yani  Kingro se roat ni hora hai to aap dusre no par iska use kar sakte hai and isme uss se jayda feature hai vo aapko iss app ko istemaal karne ke baad pata chal jayege and yeh application bi apko google se milegi ya fir direct yaha se download kare.

Download

3. Vroot

yeh application micromax,intex,lava,Panasonic etc. mobile ke liye bahut hi acha application hai.  bahut se phone aise hote hai kitna bi try kar lo par root ni hote unke liye ye best application hai niche diye hue link se download kare.

Download

4. CF root

agar aap Samsung user hai to apke liye yeh best application hai kyuki ye Samsung phone ko jaldi aur ache se roat karta hai aur yeh application bhi bahut achi tarah kaam karti hai.

Download

5. Z4Root
yeh application bahut hi achi hai aur sabhi mobile me work karti hai  isme 1 khasyat hai agar aap sirf root karna ka maza Lena chayte hai ya fir try karna chayte hai to aap iss application ka use kare kyuki isme aapko 2 method milte hai jisme se kisi bhi 1 method ka use kar sakte hai

Temporary :- agar aap iss method ka use karte hai to aap jab bi phone reset karnge to apka phone unroot ho jayga Matlab aap sirf root try karna chaiyte hai to aap iss method se kare.

Permanent :- agar aap iss method se karate hai to aapka phone parmanent root ho jayda aap kitna bi reset kar le unroot ni hoga same Jo uper diye gaye application hai same wahi hoga.

Download

iss tarah aap asani se without pc ke phone root kar sakte hai  agar Apko humari post achi lagi to apne friend k sath social media par share kare. or kuch samajh na aaye ya fir iss post se realted koi question hai to comment karke bataye and latest post ki information apne email par pane ke liye humari site ko subscribe kare.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here