Android O Kya Hai ? Android Oreo 8.0 Ke Top 10 Features In Hindi

5
android o kya hai android oreo ke features in hindi

Android O kya hai, Android Oreo kya hai, android O operating system ki and isske new feature ki puri jankari hindi me. Dosto agar aap android smartphone user hai to aapko android ke version ke bare me pata hi hoga. Har smartphone me koi na koi android version hota hai jaise kuch phone me kitkat version (4.0) hota hai to kuch phone me lollipop version (5.0) ┬аto kuch mobile me MarshMallow version (6.0) etc agar aap nahi jante ki andorid version kaise check karte hai to ye bhut easy hai.

aap apne mobile ki setting me jakar about par click kare yaha aapko android version wala option dikhega isspar aap apni finger 3-4 times press kare aapko apne phone ka version pata chal jayega. dosto ye to thi android version check karne ki detail jisske bare me aap mese bhut se log jante honge ab me aapko android ke new version O ke bare me batane wala hu.

Android O Kya Hai – Android Oreo Ki Puri Jankari Hindi Me

Contents

Android O jisse Oreo 8.0 bhi bolte hai. android O ko Google ne 21 august 2017 ko launch kar diya hai and isse pahle Android Nougat 7.0 available ┬аtha but ab iss new 8.0 version bhi available hai and issme bhut se new feature add kiye gaye hai or old version me jo problem ya mistakes thi to issme puri tarah solve kardi gayi hai.

apne sabhi andorid version ki tarah Google ne iss 8.0 wale version ka name bhi android Oreo rakha hai oreo ek Popular biscuit yani sweet hai or Google android version ke name candy and sweet par bhi rakhta hai ┬аjaise kitkat, lolLipop, marsHmAllow, noUgat ye sabhi candy and sweets ke hi name hai.

Android O Google ka new operating systems hai jaise Computer me windows operating system hote hai ussi tarah phone me bhi operating systems rahte hai jinhe android version bolte hai. Oreo se pahle nougat version mobile phone ke liye available tha but ab aap apne phone ko oreo me bhi update kar sakte hai lekin iske liye aapke phone ke liye ye available hai ya nahi ye check karna hoga.

Android O google ke dwara banaya gaya hi operating system hai to isske update sabse pahle google ke phone google pixel┬аme hi milega and or bhi bhut se phone jaise samsung, moterolla, LG, Nokia, vivo, xiomi etc me bhi ye update milega in phones ke kon kon se model ke liye ye update avaiable hoga isski list me apni agli post me share karunga us post ki notification apne email par pane ke liye aap huamri site ko subscribe kar sakte hai.

Android O Features – ┬аAndroid Oreo 8.0 Version Ke Top 10 Features In Hindi

1. Increase Battery Life

Android O ka sabse accha feature phone ki battery life ko increase karna hai. issme aapko background process stop karne ka feature milta hai yani ki pahle jab aap apne mobile me koi app open karte the or dusri app background me update hona start ho jati thi. iss 8.0 wale oreo version me ye background apps and process automatically band ho jaygi and aapke phone ki battery life badhegi.

2. Notification channel

Android O wale iss version me aapko notification channel milte hai. Notification smartphone ka bhut hi accha feature hota hai or iss oreo version me notification me bhut hi improvement kiya gaya hai. oreo 8.0 version me aapko notification channel milta hai

yani aap notification ko alag alag channel me set kar sakte hai or alarm ki tarah unka time bhi set kar sakte hai. Example ke liye jaiae aap news se related notification alag channel me set kar sakte hai or social site facebook twitter whatsapp ki notification alag se set kar sakte hai.

3. Picture-in-Picture Mode

Android O me aapko picture in picture mode milta hai jiska use karke aap video dekhne ke sath sath chat messaging and or bhi bhut se kam kar sakte hai. Youtube┬аvideo dekhne ke sath whatsapp or facebook use karne ke bare me to aapne suna hi hoga.

Yani ki youtube video shrink hoker kam size me floating karta hai or ussi time hum facebook and whatsapp use kar sakte hai. But isske liye hume app use karna hota hai but oreo me aap bina app ka use kiye hi video dekhne ke sath sath chat bhi kar payege.

4. Auto Fill

Android Oreo me aapko auto fill feature milta hai jisska use karke aap kisi bhi form ko automatically fill kar sakte hai jaise aap kisi site me register karte hai to ussme apni detail jaise name email address phone number etc fill karte hai

or essi tarah aap dusri site me register karte hai to same detail aapko dubara fill karna hota hai but oreo me auto fill feature diya gaya hai jisse aap agar pahli pahli site me sign up karege or dusri site me vo sabhi detail automatic fill ho jayegi. Isse aapke time bhi bachega. Or aapko work bhi kam karna padega.

5. Multiple display

Yes android O me aapko multiple display ka option milta hai yani ye multi display support karta hai aap apne phone ki screen yani display ko 2 ya 2 jayeda hisso me devide kar sakte hai ye feature pc me aapne bhut baar dekha hoga but ab mobile me bhi aap iss feature ko use kar payege.

6. Adaptive icons

Oreo me icons me bhi improvement kiya gaya hai yani app icon ko or bhi bahetar banaya gaya hai pahle app icon small ya medium device me to acchi dikhti thi but bade debice me inka look dhundla yani bekar ho jata tha but ab iss 8.0 version me iss problem ko solve kar diya gaya hai yani ab app icon sabhi devices me ek jaisi Aur acchi dekhegi.

7. Advance Artificial intelligence

issme aapko Advance Artificial intelligence feature milega. Yani ki aap apne phone se baat kar sakege. Or apna koi bhi kaam bolkar kar sakege jaise isska use kake aap bolkar call received reject etc kar sakte hai. Ye feature apple iphone ki tarah ki hai.

8. Gestures

Android oreo me bhi gestures feature milta hai gesture ka use karke aap screen band hone se baad apni finger se letter type karke app open kar sakte hai jaise agar aapko facebook app open karni hai to screen oar F likhna hoga or whatsapp open karna hai to W likha hoga.

9. Better keyboard

Keyboard sabhi user ke liye ye bhut hi jaruri hai and agar android mobile me keyboard accha nahi hoga to bhut se log isse use karna hi chodh denge kyoki facebook whatsapp etc par chat karte time ya kisi ko message send karte time hume keyword use karna hota hai issliye keyboard jitna easy to use hoga to usse control karna asan hoga. And Oreo me aapko easy to use keyboard milta hai.

10. WiFi connectivity advance & HiFi Bluetooth Audio

Android O me WiFi connectivity ko advance kiya gaya hai yani aap aap pahle se jayeda distance wale wireless router se bhi connect kar payege. Aur ab aap blutooth ke dwara high quality clear audio sun sakte hai better sound quality ke liye oreo version SONY LDAC coded diya gaya hai jisse sound quality improve hoti hai.

Dosto android O ki ye information aapko acchi lage to isse apne dosto ke sath social media sites par share jarur kare or android 8.0 oreo version me aap apne phone ko update karna chahate ya aap janna chahate hai ki aapke mobile phone ke liye ye version avaible hai ya nahi to issi detail me aapke sath next post me share karunga ussi jankari apne email par pane ke liye aap humari site ko subscribe kar sakte hai.

5 COMMENTS

  1. рдмрд╣реБрдд рд╣реА рдЙрдореНрджрд╛ рд▓реЗрдЦ …. рд╢рд╛рдирджрд╛рд░ рдкреНрд░рд╕реНрддреБрддрд┐ …. Thanks for sharing this!! ЁЯЩВ ЁЯЩВ

    • apne mobile ki setting me jaye waha par about ke option par click kare Aur about me jane ke baad system update par click kare agar aapke mobile me oreo update available hoga to package download option dikhne lagega aur update available nahi hoga to update not available ye likha dikhega.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here