Off Ya Band Computer Se Mobile Charge Kaise Kare Tarika Hindi Me

6
off computer se mobile charge kaise kare

Hello friends Band Ya Off Computer Se Mobile Charge Kaise Kare ye main aapko iss post me batane wala hu. Friends aaj main aapke sath ek essi trick share kar raha hu jispar aapko visvas nahi hoga lekin ye trick 100% working hai. aaj kal sabhi logo ke pass apna smartphone hota hai aur vo kitna important hai ye sabhi log jante hai.

lekin kabhi kabhi jab humko koi important call karna hota hai ya message karna hota hai tabhi humara mobile discharge ho jata hai aur agar aapka mobile discharge ho jaye aur bijli yani light bhi na ho to essi situation me log bina bijli ke mobile charge kaise kare ye sochte hai. 

vaise to isske bhut se tarike hai lekin yaha par me aapko bhut hi easy tarike ke bare me bata raha hu, Aap log computer se mobile charge kaise karte hai isske bare to jante hi honge.

Aap asani se usb cable se pc ke dwara mobile ko charge kar sakte hai lekin iss post me main aapko band computer se mobile kaise charge karte hai ye batunga ye sunne me thoda ajeeb jarur lagta hai lekin ye possible hai.

How To Charge Your Mobile From OFF Computer In Hindi ?

Contents

Friends on computer me usb ke dwara mobile charge kiya jata hai lekin jab computer off ho jata hai to phone charge hona band ho jata hai. Agar aap off pc ya laptop se apne phone ko charging karna chahate hai to to aap bilkul sahi jagah hai main aapke sath essi ki trick share karunga.

jara sociye jab aapke ghar par light chali jaye 3-4 hours tak or aapka mobile discharge ho or aapko mobile se important call ya message ya chat karna hai to aap asani se iss trick ka use karke band laptop se apna mobile charge kar sakte hai. maine apni pichli post me nimbu se mobile charge karne ke bare me bataya tha aur iss article me bhi bilkul new trick ke bare me batane wala hu.

Off Computer Se Bina Bijli (Light) Ke Mobile Charge Kaise Kare ?

  • Agar aap bhi apne off Laptop se Mobile charge Kaise Kare yahi janna chaahte hai to isske liye niche bataye instruction ko follow kare-

tap-on-computer-option

1 sabse pahle apne desktop par computer par click kare.

tap-on-properties-option

2. Ab mouse se right click karke properties par click kare.

tap-on-device-manager-option

3. Properties  par click karne ke baad aapko left side me Device Manager’ par click karna hai.

How-to-charge-your-mobile-phone-from-off-computer-in-hindi

4. Ab aapko ‘Universal Serial Bus Controllers’ par click karna hai isspar click karne ke baad aapko bhut se option dikhege unmese aapko USB Root Hub’ par click karna hai.

tap-power-managment-option

5. Ab aapko usb root hub me тАШPower ManagementтАЩ par click karna hai  or Allow The Computer To Turn Off This Device To Save The Power ka ek option dikhega jo tick hoga aapko us tick par click karke usko hatana hai ok par click karna hai. Niche image ko follow kare.

Iss tatah friends ab aap apne band computer se bhi apne phone ko charge kar sakte hai.

Note- friends iss trick ka use kam se kam kare. Apne mobile ko band computer se charge tabhi kare jab aapko jaruri ya bhut hi important kaam ho, or iss trick ko emergency me hi use kare.

Kyoki agar aap iska jayda use karte hai to isse aapke computer ki battery life kam ho jaygi or aapka computer kharab bhi ho sakta hai. 

agar iss trick se aapko koi nukhsan hoga to isse jimedar aap kudh honge issme meri matlab admin or meri site allhindihelp ki koi jimedari nahi hogi.

Friends agar aapko ye post accha laga to iss post ko apne dosto ke sath bhi social media site par share kare or aap essi or bhi post padhna chahate hai to abhi hamari site ko subscribe kare or agar aapko iss post ya other post related koi question ho to comment karke jarur  bataye. 

6 COMMENTS

  1. рдмрд╣реБрдд Cool trick рд╢реЗрдпрд░ рдХреА рд╣реИ.. рдХреБрдЫ рдирд╣реАрдВ рд╕реАрдЦрдиреЗ рдХреЛ рдорд┐рд▓рд╛ рдореБрдЭреЗ.! рдРрд╕реА post рд╢реЗрдпрд░ рдХрд░рдиреЗ рдХреЗ рд▓рд┐рдП рдЖрдкрдХрд╛ рдзрдиреНрдпрд╡рд╛рдж.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here