PhonePe Se Bank Account Balance Check Kare & Get 20Rs Cashback

4
phonepe se bank account balance check kaise kare and get 20rs cashback

PhonePe Se Bank Account Balance Check Karne Ka Tarika, Phonepe Se Bank Balance Check Kare Aur 20rs Cashback Paye. Agar aap phonepe user hai to aaj ki post aapke liye hi hai jaise ki aap jante hi honge ki hume phonepe me bhut se offers milte rahte hai jaise friend ko invite karne par 75rs ka cashback milta hai

jab aapka friend aapki refer link se phonepe app me join karta hai aur apna usme apna bank account add katta hai. Iss tarah aur bhi bhut se cashback offer issme hume milte rahte hai jaise electricity bill payment par 50% cashback milta hai agar aap first ya second time apna electricity bill pay karte hai.

Mobile Se Bank Balance Check Karne Ka Tarika Hindi Me

Contents

Bhut se log apne banks accounts ka balances pata karne ke liye apne banks & ATM tak jate hai. Kyoki unhe pata nahi hota hi ki hum apne mobile se bhi apna bank account balance check kar sakte hai.

Online mobile me 2 tariko ka almost sabhi log use karte hai 1st method apne banks ke toll free number par missed dekar balances check karna Aur 2nd apne banks ka app apne mobile me install kar usse balances pata karna to aap mese bhut se log in dono tariko ka hi use karte hai.

Kya in dono tariko ke alawa Aur koi tarika nahi hai jisse bank account balance check kar sake ye question bhut se logo ke man me aata hai to yes ab aap phonepe app se bhi apna bank account balance check kar sakte hai. Aur isse sbi, pnb, kotak mahindra, axis, icici, pns etc sabhi banks  balances pata kar sakte hai.

PhonePe Offer –  Bank Balance Check Karne Par 20 Rupee Cashback  Paye

Ab aap bhi agar apne bank ka balance check karna chahate hai Aur 20rs ka cashback prapt karna chahate hai to aapke pass sabse pahle phone pe app me account hona jaruri hai Aur usme banks accounts bhi add hona jaruri hai.

PhonePe App Se Bank Account Balance Check Kare Aur 20Rs Cashback Paye

  • Ab aapka agar phonepe account hai Aur usme banks accounts bhi add ya link hai Aur aap 20 cashback prapt karna chahate hai to niche bataye instruction ko follow kare.

tap-on-my-account-and-bank-accounts

  • Sabse pahle phonepe app ko open kare ab yaha aapko niche 4rt number par my account icon dikhega isspar click karde. Ab yaha bank accounts option par click karde.

tap-on-request-balance

  • Ab aapke jitne Bhi banks account phonepe me add honge sabhi yaha par show honge Aur banks details jaise account number, Branch, IFSC code Bhi yaha par dikhega. Ab yaha par  request balance Wala option dikhega uspar click karde.

enter-your-upi-pin

  • Ab aapse apna upi pin enter karne ke liye bola jayega. Apna 4 ya 6 digit ka up pin enter Kare. Aur right mark par click karde.

now-you-can-see-your-bank-account balance

  • Now friends ab aapko apna bank account balance yaha par dikhne lagega.

congrats-your-20-cashback-received-in-your-phonepe-wallet

  • Congrats ab 2 se 4 second me aapke number par ek message you’ve received RS20 Cashback from phone pe into wallet for offer on first even check balance across all banks accounts.  Ab aapke phonepe wallet me 20rs add ho Gaye honge.

Is tarah Friends aap easily apna bank account balance check Kar phonepe app se 20rs cashback prapt Kar sakte Hai.

Important – Friends ye Cashback aapko only 1st baar balance check karne par hi milega means agar Aapne kabhi Bhi phonepe app se apna bank account balance check nahi Kiya Hai aur first time check Kar rahe Hai tabhi aapko ye 20rs cashback milega iss offer bare me jayeda Jankari ke liye aap isski term & condition ko read Kar sakte Hai. and ye offer 31 march 2018 tak hi valid hai issliye isska jaldi se jaldi labhi uthaye.

Dosto Phonepe App Se Bank Account Balance Check Kaise Karte Hai In Hindi, How To Check Bank Balance Using Phonepe App In Hindi wali ye Infomation aapko agar acchi lage to isse apne friends ke sath social media sites par share jarur kare.

4 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here