BHIM App Me Account Kaise Banaye – Send & Received Money By UPI

2

Hii Friends BHIM App Kya Hai, BHIM App Ko Kaise Use Kare, BHIM App Me Account Ya ID Kaise Banaye ye aaj me aapko iss article me batane wala hu. Dosto bhim upi app Indian government dwara launch Kiya Gaya ek UPI payment app hai jiska use karke aap easily aur faster payment kar sakte hai.

Bhim UPI App Ka use karke aap Apne Bank se apne friend ya kisi ke bhi bank ya other UPI I’d me Second me money transfer kar sakte hai.

Aur issme new user ko first payment karne par 51 rs cashback bhi mil raha hai. means agar aap bhim upi app me account banakar first time apne friend ya kisi ki bhi upi id par paise send karege to aapko 51 rs cashback milega.

BHIM App Kya Hai ? What Is BHIM UPI App Full Information In Hindi

Contents

Bhim ka pura name Yani full form Bharat Interface For Money hai jise NPCL ( National payments Corporation of India ) ke dwara banaya Gaya hai Aur ye UPI basted hai. UPI Ka full form Unified Payment interface hai ye payment karne ka bhut hi fast and easy way hai.

isse aap Apne dosto ya kisi ke bhi bank account me easily kuch hi Minute me money transferred kar sakte hai aur Apne friend ya kisi se Apne bank account me money received bhi kar sakte hai.

Bhim app me aapko ek UPI I’d milti hai jiska use karke aap Apne friend se money received kar sakte hai aur Apne friend ki UPI I’d par money Yani paise transfer bhi kar sakte hai iss tarah iss app se aap easily Aur fast tarike paise send aur received kar sakte hai

and ab issme aapko bills payment ka option milta hai jiska use karke broadband DTH, electricity, mobile postpaid, water etc bill payment bhi ab aap iss upi app se kar sakte hai.

How to Create BHIM UPI ID In Hindi

Bhim ka use Karne ke liye issme account create karna hota hai issme account banane ke liye aapke pass bank account aur bank account se registered number wala sim card Apne mobile me hona jaruri hai. Means a jis bank me account hai usme jo number register hai us number ka sim card aapke mobile me hona chahiye Tabhi aap  IsKo use kar sakte hai.

BHIM App Me Account Kaise Banaye Puri Jankari Hindi Me

  • Sabse pahle aapko Google play store se Bhim app Ko apne mobile me download karna hoga jise direct yaha se bhi download kar sakte hai

Download

choose-language-and-next

  • Ab iss app Ko download and install karne ke Baad open kare ab yaha par aapko language choose karne ke liye bola jayega english hindi Gujarati Marathi bhut si language dikhegi apni pasand ki language select kar sakte hai aur fir next par click karde.

tap-on-lets-get-started

  • Ab language select karne ke Baad yaha par aapko bhim app ki kuch information dikhegi next par click karde. aur fir dubra next par click kaarde Aur fir ye aapse aapke SMS, phone state, aur location ki permission magega let’s get started par click karke permission Dede.

verify-mobile-number-and-next

  • Now ab yaha par aapko apni 2 sim dikhegi ab aapka jo bhi number bank se linked hai us number ke sim card par click karke select kare. Sim select karne ke Baad next par click karde.

Note – yaha par aap apna sim card select kare  jiska number aapke aapke account se linked ho.

now-your-mobile-number-successfully-verified

  • Now ab aap kuch second tak wait kare fir aapko mobile verified likha dikhega jiska Matlab hai ki aapne successfully Bhim app me apna number verify Kara Liya hai.

register-passcode

  • Ab aapse passcode choose karne ke liye bola jayega yaha par aapko 4 digit ka passcode choose karna hai yaha koi bhi 4 ank ka passcode enter kare aur right mark par click karde. But aap yaha par jo bhi 4 digit ka passcode dale usse yaad jarur karle kyoki jabhi bhi aap Bhim app Ko open karege aapse ye Passcode manga jayega.

now-you-successfully-register-bhim-upi

Congrats ab aapne successfully BHIM App me registered kar Liya hai ab agar aapko Janna hai ki isko kaise use karte hai to explore par click karke Jan sakte hai aur agar nahi Janna hai to skip par click karde.

BHIM App Ko Use Kaise Kare Step By Step Jane

Ab aapne agar BHIM me apna account Bana Liya hai aur isse kisi Ko paise send karna chahate hai ya kisi se paise received karna chahate hai to isske liye niche bataye instruction Ko follow kare..

BHIM App Se Paise Kaise Bheje ? In Hindi

tap-on-send

  • Sabse pahle BHIM app Ko open kare ab yaha par aapko send ka option dikhege isspar click karde

enter-your-friend-number-upi-id

  • Ab yaha par aapko Apne us friend ka mobile number ya UPI I’d dalna hai jisko aap paise send karna chahate hai aap Apne kisi bhi friend ka number ya UPI I’d daal sakte hai jinka Bhim app me account hai aur Bhim ke alawa other UPI app jaise tez phonepe etc me bhi aapke friend ka account hai jo uska number ya UPI I’d bhi yaha par daal sakte hai.

tap-on-verify

  • Ab Apne friend ka number ya UPI I’d enter karne ke Baad verify par click karde.

enter-amount-and-pay

  • Ab aapko yaha amount me vo amount dalna hai jitne paise aap Apne friend Ko send karna chahate hai amount enter karne ke Baad pay par click karde. Ab aapse ek Baar aur confirm karne ke liye bola jayega ki sabhi information check karle aur fir confirm par click karde.

enter-your-upi-pin-and-tap-send-icon

  • Ab aapse UPI pin enter karne ke liye bola jayega apna UPI pin enter kare aur right mark par click karde.

Now aapse successfully isse Apne friend Ko money transfer kardi hai.

BHIM App Se Money ( Paise ) Received Kaise Kare ?

Bhim se paise received karne ke liye aapke pass 2 option rahte hai 1st option AAP Apne friend Ko apni UPI Id de sakte hai aur uspar paise send karne ke liye bol sakte hai aur 2nd aap Apne friend se paise ke liye request bhi kar sakte hai. Aur jab aapka friend dekhega ki aapne usse money request ki hai to vo aapko payment kar dega.

tap-on-request

  • Bhim UPI app ko open kare yaha par request option dikhega isspar click karde.

 

enter-your-friend-upi-and-verify

  • Ab yaha par aapko Apne us friend ka mobile number ya UPI I’d Dena hai jisse aap paiso ke liye request kar kar rahe hai uska UPI I’d dalne ke Baad verify par click karde

enter-amount-and-tap-request

  • Ab amount me vo amount ya paise dale jitne paiso ki request karna chahate hai valid upto me yaha par aap kab tak paise chahaiye vo select karna hai aur remark me aap koi bhi message likh sakte hai aur fir request par click karde.

now-your-money-request-successfully-sent

  • Congrats aapne successfully Apne friend Ko request send kardi hai.

Iss tarah friends easily bhim se paise send aur received kar sakte hai. Aur ye transaction kane ka Sabse easiest way hai.

Important – Friends agar aapne Abhi tak kisi bhi UPI app me account nahi banaya hai to aapko Bhim app me upi pin bhi generate karni hogi.

Dosto BHIM App Kaise Chalaye, Bhim App Ka Istemaal Kaise Kare, Bhim UPI App Se Money Send & Received Kaise Karte Hai ye ab aap seekh hi Gaye honge agar ye information acchi Lage to isse Apne dosto ke sath share jarur kare. aur essi aur bhi internet se related article daily read karne ke liye humari site ko visit karte rahe.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here