Blog Design Ki 10 Common Mistakes & Solving Tips In Hindi

9
website-blog-ke-design-me-hone-wali-10-common-mistakes-and-solving-tips-in-hindi

Hello bloggers, Blog Design Me Hone Wali 10 Common Mistakes & solving tips me aapko iss article me batane wala hu. agar aap apne site se money earn karna chahate hai to sabse jaruri aapke blog par accha traffic hona chahaiye or acche traffic ke liye aapki site par high quality content hona jaruri hai.

agar Aap professional blogger hai jo 1000-2000 word ke article likhta hai and aapki site ki search ranking bhi acchi hai fir bhi log aapke blog ko pasand nahi karte to isska reason aapki website ke design me hone wali mistakes hai.

Agar aapko lagta hai ki aapki site ka design accha hai to ye acchi baat hai lekin jaruri nahi hai ki aap jo sochte hai vo dusre log bhi soche issliye bhut se logo ko aapka blog design bura bhi lag sakta hai.

Aap apni website ko attractive and cool look dene ke liye apni pasand ka design use karte hai jo bhut se logo ko vo pasand nahi aata. Jiski wajah se vo aapke blog ko visit nahi karte hai and aapki site par traffic kam ho jata hai.

Apka blog kaisa dikhta hai uska look sabhi device jaise android, ipad, iphone, computer etc me kaise dekhta ye bhut jaruri factor hota hai or issko sabhi blogger ignore kar dete hai or essa theme ya template use karte hai jo unhe accha lagta hai.

lekin ye unki sabse big mistakes rahti hai. issliye blog ya website ka design simple hona chahaiye jo sabhi logo pasand aaye.

Website Blog Design Ki 10 Common Mistakes & Solving Tips In Hindi

Yaha main aapko aapki website blog ke design me hone wali 10 common  mistakes ke bare me batane wala hu. Bhut se log apni site ke design me kuch galti kar dete hai. Agar aapne bhi apne blog ko design karne me koi galti ki hai to aap asani se in 10 mistakes or inhe kaise solve karne ke tips ko read karke apne blog design ko better bana sakte hai.

1. Font Difficult To Read / Use Simple Font

Kisi bhi website me font sabse important hota hai. Kyoki aap jis bhi font me apna article likhte hai vo logo ko samazme  aana jaruri hai. Agar aap jayda  little ya jayda  big font me article likhege to vo samaz me nahi ayega. Aapke site design me ye sabse badi mistake ho jati hai ki reader aapki font ko like nahi karte or unhe aapka post read karna difficult ho jata hai. Aapse galti ye hoti hai ki aap fant style essi choose kar dete hai jo logo ko pasand nahi aati hai.

Inme se forte, Algerian, batang, cooper black, impact  etc essi fant hai jo dekhne me acchi lagti hai lekin aap inhe apne post me use karte hai to bhut se logo ko ye pasand nahi aati and unke liye aapki post read karna thoda difficult ho jata hai.

Iss solve karne ke liye jaruri hai ki aap apni saite me Arial, times, georgiae,  verdana etc  ka use kare ye dekhne me jayda styles nahi dikhti lekin sabhi log ko ye simple font hi pasand aati hai. And font size kya rakte ye sabhi logo ki problem rahti hai

agar aap wordpress user hai to aap 14px se 18px tak size use kare kyoki isse jayda and kam size ki font visitors ko achi nahi lagi. Or agar aap blogger par hai to aap arial normal font use kare ye sabse accha size rahta hai jo audions like karti hai.

2. Don’t use stylish font in heading

Agar aap apne article ke normal word me  simple font use karte hai lekin heading me aap stylish font use karte hai. to ye bhi ek galti hai. Bhut se blogger apne article ko accha dikhane ke liye title ki font stylish kar dete hai jo visitors ko accha nahi lagta or mobile me bhi heading  acchi or sahi nahi  dikhti hai. Issliye aap jis font me article likhte hai usi font ka use heading ke liye kare.

3. Not use very Long paragraph

Agar aap apne article me paragraph jayda lamba rakte hai to ye bhi ek mistake hai. jaydatar blogger 12 lines ya usse jayda tak ke paragraph article me use karte hai. Ye desktop pc me to accha dikhte hai. and mobile user ke liye ye dugna ho jata hai.

or mobile users ko aapka content boring lagta hai jisse vo aapka article ko ignore kar dete hai. Issliye jaruri hai ki aap 5 se 8 sentence ka paragraph rakhe. Agar aap apne post me 2 se 3 lines ka paragraph rakte hai to ye bhi accha nahi hai. issliye aap 5 lines se 8 lines tak ke paragraph use kare.

4. Use little text to highlight

Kam se kam text ko highlight kare to hi accha hai. kyoki agar aap pure article ke background ko change karte hai to ye ek big mistake hoti hai. White background hi blog ya website ke liye best background hai.

99% readers white background and black text ko like karte hai. Issliye jo important sentence hai jisse highlight karna bhut jaruri hai ussme hi black background and white text ka use kare.

5.Use Good whitespace

Agar aap apne blog article me heading, sub-heading , numeric, quotes etc ka use karte hai to aapko heading, subheading , numeric, quotes me good whitespace use karna chahaiye. Aapke contant ko dakhkar visitors ko pata chal jaye ki konsi heading hai and konsi subheading. Issliye content me sahi jagah par whitespace dena bhi jaruri hai.

6.Do not leave much space for text

Bhut se blogger apne article me  jayda space chodhkar text likhte hai agar aap bhi apne content me jayda khali jagah chodte hak to ye bhi mistake hai. Iss solve karne karne ke liye jaruri hai ki Aap apne article ke  text me kam space hi use kare.

7.Not Use Flash

Bhut se blogger apni site par animation, 3d effect etc dikhane ke liye flash ka use karte hai lekin aapko pata nahi ye apki ek big mistake ho sakti hai kyoki bhut se browser me flash pahle se install nahi rahta hai and search engine ko bhi flash ki wajah se aapke content ko read karne me problem hoti hai.

8.Don’t use colourful effect

Agar aap apni site ko puri tarah colourful effect dete hai jaise aapki site ka title navigation search label content etc alag alag color me rahta hai to ye bhi ek galti hai. Audians colorful site ko pasand nahi karti hai. And unhe colorful look accha nahi lagta hai.

9.Use responsive design

Responsive design ka matlab ki vo sabhi jagah fit ho jaye matlab agar aapki sit responsive hogi to vo android  mobile computer ipad iphone sabhi device me fit dekhegi. Blogger ke liye aap essa template use kar sakte hai jo responsive ho. Or wordpress me mobile device ka option rahta hai aap uspar click karke apni saite ko sabhi device me responsive bana sakte hai.

10.Don’t use too much content in homepage

Bhut se log apne blog me html sitemap ka use karte hai. ye ek Accha tarika hai jisse visitors ko aapki all post ek hi jagah dikh jati hai. lekin isse aapki site ki loading time par bhi fark padhta hai. or vo  load hone jayda time leti hai

or bhut se log apne blog ke homepage par jayda se jayda post show karate hai jisse bhi uski loading speed slow ho jati hai or sabhi log essi site ko pasand nahi karte hai jo jayda time me load hoti hai. Issliye jaruri hai ki aap apne webstie ke home page me kam se kam post show karaye.

Iss tarah friends aap asani se apne blog design ki 10 common mistakes ko solve kar sakte hai.

Friends blog design ko sahi kaise kare, webiste ke design me hone wali galtiya aur unhe sudharne ka tarika hindi me agar aapko ye article accha lage to isse apne dosto ke sath social media par jarur share kare

or aapko iss post me kuch samaz na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi allhindihelp ko subscribe kare or latest post ki information apne email par received kare.

9 COMMENTS

  1. bhai mere blog par 30 posts hai par ek din men 1 bhi visitor nahin aata kya aap batayenge ki aisa kyon hai Maine apna sitemap bhi banaya hai aur webmaster me submit bhi kiya hai help me please aur adscene ke liye kab apply karu

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here