Blog Ke Liye Google XML Sitemap Kaise Banaye Or Generate Kare

7
blog ke liye google xml sitemap kaise banaye in hindi

Hii Friends Aaj main aapko batunga ki kaise aap blogger blog ke liye Google xml sitemap bana sakte hai. Friends agar aap blogger hai or apni site ko google ya other search engine jaise bing yahoo etc me dikhana chahate hai to aapko apni site ka Google xml sitemap banana jaruri hota hai and use search console me submit karna hota hai

kyoki bina sitemap ke aapke blog ko search engine me aane me bhut jayeda time lag jata hai. issliye agar aap chahate hai ki aapki bhi site jaldi se jaldi google, bing etc search me dikhne lag jaye to sabse jaruri hai ki aap apne blog ke liye sitemap banaye aur use google search console me submit kare.

Google XML Sitemap Kya Hota Hai ?

Contents

Blog or website me 2 tarah ke sitemap hote hai.

HTML – ┬аye blog ki sabhi post ko homepage par show karata hai yani agar aap apne blog ┬аme html sitemap page banate hai to aap apni sabhi post ko homepage par dikha sakte hai ye search engine ke liye jayda jaruri to nahi hai lekin isse aapke readers ko aapki sabhi post ek hi sagah par mil jati hai jisse vo asani se unhe read kar sakte hai.

XML –┬а ye search engine ke liye bhut jaruri hai agar aap apni site ko google search me dikhana chahate hai or aap chahate hai aapke site ke sabhi content google par dikhe to aapko apne blog ka Google xml sitemap banana hota hai.

isse search console me add karke aap dekh sakte hai ki aapke blog ki kitni post index ho chuki and kitni images index ho chuki jitni post and images index hoti hai vo red color me show hoti hai.

Aapki site ke jo content index honge vo google me dikhne lagege. Ye aapki sabhi site ke all content ka ek page create kar deta hai issliye isse sitemap bolte hai.

Blog Ke Liye Google XML Sitemap Kaise Banaye ?

Jaisa ki maine aapko bataya ki xml sitemap aapki site ke liye kitna jaruri hai. Agar aap janna chahate hai ki wordpress ke liye xml sitemap kaise banaye to ye tarika wordpress user ke liye bhi ┬аsame hai main aapko jo xml sitemap create karne ka tarika bata raha hu vo aap blog or wordpress website dono me use kar sakte hai.

Website Ke Liye Sitemap Kaise Banaye or Create Kare

  • Sabse pahle aap ┬аniche go to the link par click kare.

Go to the link

  • Ab aapke samne kuch option show honge unhe fill karne ke liye niche bataye instruction ko follow kare-

frequentry-lat-modification-priority-and-fill-all-option

  1. yaha apne blog ya site ka full url ya address dale.
  2. Change frequency me always select kare.
  3. Last modification ko default hi rahne de yani issme koi change nahi karna hai.
  4. Priority me Automatic calculated priority par wale box par click tick karde.
  5. Sabhi option ko sahi se fill karne baad Start par click karde.
  • Ab aapki site ka xml sitemap banna start ho jayega issme aapke blog ke sabhi content ko check kiya jata hai jissme 1 minutes se leker 20 minutes tak lag sakte hai ye depend karta hai ki aapki site par kitni post hai and aapki internet speed slow hai ya fast ispar bhi depend karta hai.

now-your-blog-sitemap-ready

  • Jab aapka sitemap create ho jayega to vo uper screenshot jaisa dikhega ab aap asani se bing yahoo google search console me submit kar sakte hai.

Important- Friends aap agar apna pura ┬аsitemap search console me submit karege to error show hoga. Kyoki aapki site pahle se search engine me add rahti hai issliye aapko only sitemap.xml ye search engine me add karna hai.

Aapko jo search engine me add karna hai vo aap niche code box mese copy kar sakte hai.

I hope friends aapko ye post accha laga isse apne dosto ke sath social media par share karna na bhule or aapko iss article me kuch samajh na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi allhindihelp ko subscribe kare or latest post ki information apne email par received kare..

7 COMMENTS

    • @manoj ji agar aap sawal hi detail me nahi puchenge to main uska answer kaise de paunga, fir bhi agar aap ye puchna chahate hai ki aapke blog ki post index nahi ho rahi hai to issme time lagta hai or aapki sabhi post 3-4 days ya 5-6 days me index ho jayegi

  1. Sir maine blog create kar liya or usme kuch post bhi h maine AdSense se link ke liye apply kar diya lakin AdSense se ye email aaya h
    Your AdSense application status

    As mentioned in our welcome email, we conduct a second review of your AdSense application once AdSense code is placed on your site(s).

    We did not approve your application for the reasons listed below

    Unable to review your site: While reviewing we found that your site was down or unavailable. If you applied through an AdSense host partner, such as YouTube or Blogger, your hosted site was not available or not found (removed) atthe time of the review.
    Mere ko site nhi pata meri but maine blog apne email se banaya tha

    • aapka jo blog rahta hai vahi aapki site hoti hai and aapne adsense ads code ko apni site me sahi jagah place nahi kiya hoga ya aapki site open nahi ho rahi hogi issliye aapka adsense account approved nahi hua aapke blog me jo bhi problems hai unhe solve karke duabra adsense ke liye apply kar sakte ho

  2. Sir blogspot ke liye site map kaise banaye.
    Mera ek blog hai jisme custom domain nhi hai to mai uske liye site map kaise banayu.??

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here