Blog Me WhatsApp Share Button Kaise Lagaye ( Social Share Button )

4
blog website me whatsapp share button kaise add kare ya lagaye

Hii friends Blog Website me whatsapp share button kaise add kare ya Blog par Whatsapp Share Button Kaise Lagaye ye main aapko iss post me batunga. Agar aap blogger hai or aap apni site par social networking site se traffic lana chahate hai to isske liye social share button ko blog me add karna jaruri hota hai isske 2 fayde hote hai aapki site ke readers ko aapka article pasand aata hai to vo use social media site par share kar sakte hai

aur blog ko social media par share karne par traffic bhi increase hota hai. jaisa ki aap jante hi honge ki bhut se log whatsapp ka use karte hai issliye agar aap blog me whatsapp share button add karna chahate hai to┬а aap sahi jagah hai┬а yaha main aapko issi ka tarika batunga jo 100% work karega.

Blog Me Social Share Button Kaise Add Kare?┬а

Contents

Social media sharing button ke bare to aap log jante hi honge. Aapne bhut si site par dekha hoga ki waha post ke niche┬а facebook,twitter, pin it, google plus etc sharing button hote hai. Ye social sharing button bhut se blogger template me pahle se diye rahte hai.

lekin bhut si template aur theme essi hoti hai jinme hume social share button nahi milte hai wordpress me share button lagana bhut easy rahta hai kyoki issme plugin hote hai jinka use kar sakte hai

but blogger me share button add karne ke liye coding yani programming language aana jaruri hai lekin agar aap without programming language ke blog me social share button lagana chahte hai to issi ke bare me iss article me batane wala hu.

Aur Jaisa ki friends aapko pata ki aaj kal sabhi log whatsapp messenger ka use karte hai issliye agar aap apni site par whatsapp share button widget ka use karte hai to aapki post log whatsapp par bhi share kar sakte hai jisse aapke blog par jayda traffic aata hai.

Social Share Ko Use Karne Ke Fayde-

  1. Ye bhut hi kam size ka hai issliye isse aapke site ke loading time par effect nahi padega. And aapki site ki loading speed slow nahi hogi.
  2. Whatsapp messenger ka use aaj kal sabhi log karte hai issliye agar aap chahate hai ki aapke blog par whatsapp se traffic aaye to ye widget aapke liye helpful hoga.
  3. Whatsapp groups me bhut se log online rahte hai and agar koi group me link share karta hai to usapar kam se kam 40% log to jarur click karte hai issliye isska use karke aap apne blog ka traffic bhi increase kar sakte hai.
  4. Ye whatsapp button bhut hi accha dikhta hai jisse ye aapki site design and look ke sath match ho jata hai

Blogger Blog Me WhatsApp Share Button Kaise Lagaye ? Add Kare┬а

  • Website me whatsapp share button lagane ke liye Sabse pahle aapko sumo me site par jana hai iss site par direct aap yaha se ja sakte hai.

GO TO SUMO ME

  • Ab aap agar iss site par pahli baar gaye to sign up par click karke apna acount create kar le name email password etc fill karke sumo me par registerd ho jaye.
  • Ab apne sumo me account me login kare yaha aapko add site ka option dikhega uspar click kare.

enter-blog-url-and-clcik-add

  • Ab yaha aapko apni site ka full url dalna hai jisse aap whastapp share button lagana chahate hai or add site par click karde.

blogger me whatsapp share button kaise lagate hai

  • Ab aapko ek code milega iss code par clcik karke isse copy karkle

  • ab apne blogger account me login kare or template par click karke edit html par click kare

blogger whatsapp share button

paste-the-sumo-me-code-below-head-and-tap-save-template

  • template editor me kahi par bhi clcik kre or ctr+f dabaye fir search box open ho jayega usme <head> ye code serch kare or head ke thik niche aapne jo code copy kiya tha vo paste karde.

tap-on-visit

  • Ab aapko dubara sumo me site par jana hai fir green color me visit par clcik karde

tap-on-sumo-me-icon

  • aapko right side me sumo me ka pop up window dikhega usme sumo me wale 1st icon par click kare.

choose-basic-and-continue

  • Ab aapko yaha plan set kane ke liye bola jayega sabse best ki aap free plan hi set kare jisske liye aap basic ke niche continue par click karde.

click-and-on

  • ab aapke samne bhut se option open jo jayege aapko share par click karna hai or use on karde.

tap-on-setting

  • ┬аfir aapke saamne ek page open hoga usme setting par click kare

whatsapp share button

  • Yaha avaliable service me aapko bhut si share button dikhegi. avalible service me aapko whastapp share button dikhega use mouse se drag kartke aap selected service me paste karde.

whatsapp share button  blog me add kare

  • Ab selected service me whatsapp share button add karne ke baad save par click karde.

now-you-can-add-whatsapp

  • Ab aap apna blog dekh sakte hai waha par aapko left side me whatsapp share button dikhega

Iss tarah friends aap asani se simple steps ko follow karke without coding ke whatsapp share button apne blog and website me add kar sakte hai.

Aur whatsapp ke sath sath aur bhi social share button jaise facebook, twiter, google, pinterest bhi add kar sakte hai aur issme┬а social share statistics bhi show hota hai yani post ko kitni baar share kiya gaya vo bhi yaha par dikhata hai

I hope friends aapko ye post accha laga or aapko iss post me kuch smajh na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi┬а humari site allhindihelp ko subscribe kareтАж

4 COMMENTS

  1. thank you aapne bahut useful jankari de hai apse ek requst hai please ek baar meri website chek kare usme kya kya kamiya hai please mujhe bataye jisse mai unhe door kar saku.

    • Aapki site bhut acchi hai and usme koi kami nahi hai and template bhi accha hai or aapne ussme sumume site se Whatsapp share button bhi add kar diya hai. ab apni site ko search me dekhane ke liye aap usse google search console me add or sitemap submit kar sakte hai jisski post maine already ki hui hai jisse aap seo category me jakar read kar sakte hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here