Blog Sitemap Ko Google Search Console Me Kaise Submit Kare 2 Tarike

2
Blogger blog ke sitemap ko google search console me kaise submit kare 2-methods

Hii friends Blogger Blog ke Sitemap ko google search console me kaise submit kare ye main aapko ye article me batane wala hu. Agar aap newbies Blogger hai or aap chahate hai ki aapki site google me show ho to uske liye aapko apni site ko google search me add karna hota hai. ss

Google search console me apni website ko kaise add karte hai isske bare me maine pahle se ek post ki hui hai jise aap seo category me kar sakte hai. bhut se log blog to bana lete hai aur uspar kuch post bhi kar dete hai. lekin unke blog par traffic nahi aata hai.

isska 1 reason ye bhi ho sakta hai ki aapne apne blog ko search console me add nahi kiya aur sitemap bhi submit nahi kiya hai. jaisa ki maine bataya ki sitemap me humari website ki sabhi content rahta hai.

aur isske dwara search engine humare blog index kar pata hai iss post main aapko batunga ki kaise apne Blog ke Sitemap ko google search console me add karte hai.

Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Kyo Add kare ? Aur isska Kya Fyada Hai

Contents

  1. Isse Aapki site ke all content index hote hai jisse vo google me show hote hai.
  2. Search console me aapko bhut se feature milte hai jaise url error fix karna robot.txt etc
  3. Search console me apne Blog ka Sitemap submit karke aap pata kar sakte hai ki aapki site ki kitni post submit and index hui hai.
  4. Aap jo new post karte hai vo automatically submit hai or index hoker google me dikhene lagti hai.

Bhut se Blogger chahate hai ki humari post google me dikhe issliye vo apni site ko google search engine me add to kar dete hai lekin apni site ka Sitemap submit karna bhul jate hai

jisse unki post search me nahi aa pati issliye agar aap chahate hai ki google aapki post ko index kare to aap apni website ka Sitemap search console me add kare sakte hai.

Blogger Blog ke Sitemap Ko Google Search Console Me Kaise Submit Kare ?

Yaha main aapko 2 method bata raha hu jinme se kisi bhi ek tarike ka use karke aap apne Blog ya wordpress Sitemap ko google search console me submit kar sakte hai.

Blog Website Ko Search Engine Me Submit Kaise Kare using atom Code-

  • Sabse pahle Google search console  par jaye jispar direct jane ke liye yaha click kare or apna email and password dalkar login kare.

select-your-blog

  • Ab aapko apni sites dikhegi jinhe aapne search console me add kiya tha unmes se jis bhi site ka Sitemap aap search console me add karna chahate hai uske upar click kare.

tap-on-sitemap

  • Ab  crawl par click kare ab Sitemap option show hoga uspar click karde.

tap on add test sitemap

  • Now ab aapko right side me add/test sitmap ka option dikhega uspar click kare. or niche code box me diya code copy kare.

follow-image

  1. Iss box me aapne jo code copy kiya tha vo paste karde.
  2. Submit Sitemap par click karde.

Important- ye code 1 se 500 posts ke liye hai agar aapki site par 500 se jayeda post hai to aap niche diya code use kare.

Or agar aapki site par 1000 se jayda post hai to aap niche diya code use kar sakte hai.

Iss tarah friends aap asani se apne Blog ke Sitemap ko google  me submit kar sakte hai.

Google Search Console Me Sitemap Kaise Submit Kare

  • Agar aap pahle method ka use nahi karna chahate hai to aap iss 2nd method ka use kar sakte hai isske liye niche bataye steps ko follow kare-

1.sabse pahle apne Blog ke liye Sitemap create karna hoga iske liye ye post read kare.

2.ab search console me jaye or ab us site ko select kare jisme Sitemap submit karna hai.

tap-on-crawl

3.Crawl par click karne ke baad sitmap par click kare.

4.Add add/test siemap button par click kare ab aapke samne ek pop window open hogi.

blog ke sitemap ko search console me submit kare

  1. Yaha aapko sitemap.xml likhna hai.

2. Submit sitmap par click karde.

Iss tarah ab aapka Blog Sitemap google search console me add ho jayega abhi status pending batayega lekin 1-2 days yani  24 se 48 hours me aapke Blog ke content index hona start ho jayege.

I hope friends aapko ye post accha laga isse apne dosto ke sath social media par jarur share kare or aaoko iss article me kuch samajh na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi allhindihelp ko subscribe kare or latest post ki information apne email par received kare…

2 COMMENTS

  1. sir mera sitemap submit nhi ho pa rha hai google webmaster tool me
    ye 2 problem aha rh hai
    1. processed-pending
    2.issues- errror
    agar me error per click karu do wha per ya aha rha hai
    “General HTTP error: 404 not found”
    please iske liye khoi solution batye

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here