Iss Spam Whatsapp Message Par Galti Se Bhi Na Kare Click ?

2
iss spam whatsapp message par galti se bhi na kare click

Whatsapp par ek message bhut viral┬аho raha hai jissme aapko bataya jata hai ki aap coupon jeet sakte hai T-shirt┬аjeet sakte hai talktime jeet sakte hai etc ye ek spam message hai jissme galti se bhi click na kare otherwise aapka personal data churi ho sakta hai

whatsapp par bhut se security features jaise end to end encryption, two step verification hone ke baad bhi abhi bhi isse aap puri tarah secure nahi kah sakte kyoki hackers kisi na kisi tarike se aapki personal information hack karne ka muka khoj hi lete hai.

Whatsapp par bina read kiye sabhi message forward hote hai or esse sms to or bhi jayda teji se forward hote hai jinme aapko koi cheej free me milne ke liye bola jata hai jaise gift card, recharge offer se related message etc agar aapko bhi esse sms aata hai to use forward na kare or galti se bhi uspar click na kare.  

jaisa ki friends aapko bataya hi hoga ki whatsapp user ki sankhya millions se billions me hai issliye yaha par bhi easily koi message viral ho sakta hai. aapne dekha hoga ki whatsapp par bhut se fake message bhi viral ho jate hai. kyoki logo ko pata hi nahi hota hai ki vo jis message ko aur logo ko forward ya send kar rahe hai vo fake hai.

lekin aap bhut hi easily pata kar sakte hai ki konsa message real hai aur konsa fake isske bare me maine pahle se apni ek post me bataya hai ki kaise aap whatsapp fake spam messages ko identify kar sakte hai

agar aapne vo post nahi read ki hai to use whatsapp category me jaker read kar sakte hai aur iss post me aapko batane wala hu kis spam whatsapp message par aapko glti se bhi click nahi karna hai.

jin message me bhut jayeda links ya url ho unko apne friends ya kisi ko bhi forward na kare kyoki jayeda link wale message spam ho sakte hai. aur agar aapka friends kisi fake message ko bar bar forward kar raha hai to use bole ki vo ek tarah se spamming hi kar raha hai aur essa karne se roke.

Iss Spam Whatsapp Message Par Galti Se Bhi Na Kare┬аClick┬а?

Kis spam whatsapp message par galti se bhiclick na kare ye main aapko batane wala hu. Agar apko coupon jito T-shirt jito, talktime jito, gift jito jaise sms aate hai jissme aapko bataya jata hai aap free talktime win kar sakte hai aapko free gift mil sakta hai ya aapko koi coupon mil raha hai to ye puri tarah spam ya fake hote hai jinpar aap cllik karte hai to aapka personal data hack ho jata hai.

Isse bachne ke liye aapko jab koi essa massege aaye jisme aapko bataya jaye ki aap free recharge, unlimited internet ya gift jite hai or apna prize lene ke liye link par cllik kare to ese sms ke link par kabhi tap na kare kyoki agar aap uspar cleck karte hai to aapka data chura liya jata hai or aapka account hack bhi ho sakta hai.

Issliye ese kisi bhi message jisme link ho or free me kuch mil raha ho uspar click na kare or use forward na kare or turant delete karde. lagbhag sabhi logo ko agar koi chij free me milti hai to vo use kabhi nahi chodhte hai aur issi k fayda hacker utha lete hai vo esse t shirt jeeto, gift jeeto etc types ke spam messages send karte hai aur unme link rahti hai. aur us link par agar aap lalach me aakar click kar dete hai vo aapka personal data hack bhi ho sakta hai. issliye esse message jinme free me koi chij mil rahi ho link ho unko puri tarah se ignore kare.┬а

I hope friends aapko ye post accha laga isse apne dosto ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss post me kuch samaz na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi allhindihelp site ko subscribe kare or latest post ki info apne email par received kare.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here