Facebook App ID kya hai Aur Kaise Banaye ? For WordPress Blog

0
Facebook app id kya hai aur kaise banaye for wordpress

Hii friends Facebook app id kya hai aur Facebook app id kaise banaye ye main aapko iss post me batane wala hu. Friends agar aap blogger hai or wordpress platform ka use kar rahe hai to aapko facebook app id ke bare me pata  hona jaruri hai. Kyoki ye aapke liye bhut jaruri hai.

wordpress me aap apni post ko share karne ke liye social share plugin ka istemaal karte hi honge to aadhiktar social share plugin me humse facebook app id aur secret key bhi pucha jata hai lekin isske bare me aapko nahi pata hai to don’t worry ye post aapke liye hi hai.

Facebook App id kya hai ? or kyo banaye ?

Contents

Agar aap soch rahe hai aap apne mobile me jo FB application use karte hai usme aapka username ya link rahti hai vo facebook id kahlati hai to essa nahi hai. Facebook app id aapko banani hoti hai yani create karni hai.

Isska use aap apne wordpress blog ke plugin me kar sakte hai bhut se wordpress plugin me isska use hota hai.

Facebook app id ek key hai. Jisse aap apne wordpress site ke facebook developed sare plugin me use kar sakte hai. Isska use vaise to page ko track karne ke liye kiya jata hai.

Lekin isse aap fb pages ko track karne ke alawa apne wordpress ke sare social plugin and mostly facebook plugin ko track kar sakte hai.

FB id ke fayde (benefits)-

  1. Isse aap apni wordpress website and blog ke facebook pages ko track kar sakte hai.
  1. isse aap apne wordpress blog ke liye fb plugin bhi create kar sakte hai and fb pages ko analyze bhi kar sakte hai.
  1. FB like box, Share button, like button jaise sabhi facebook plugin aapko iss id and key me milte hai jisse aapko alag plugin install karne ji jarurat nahi hoti hai or ye bhut acchi baat hai kyoki jayda plugin use karne site speed slow ho jati hai.
  2. Amp pages me bhi aapko iss app id ki jarurat hoti hai.

Apne facebook se related plugin ko monitor karne ke liye hume facebook app id & secret key ki jarurat ki jarurat padti hai. and isse aap apne important plugin jaise yoast seo, amp pages etc me bhi use kar sakte hai.

Facebook App ID Kaise Banaye ? тАУ For WordPress blog

  •  Sabse pahle aap fb ke developer page par jaye isspar direct yaha se ja sakte hai.

Facebook Developers

tap-on-register

  • Ab aapko yaha left side me register ka option dikhgea uspar click kare ab agar aap apni facebook account se login nahi to login kare.

select-company-term-and-condition-and-register

  • Fir aapke samne ek pop up window open hogi uper aapka name show hoga and company name me aap apni site ka naam dale and term and condition wale icon par click karke use enable karde or register par click karde.
  • Ab aapke samne you are successfully registered ka message aayega done par click karde.

facebook-app-id-banane-ka-tarika

  • Now aapke samne ek new page open hoga jisme aapko new app ke option dikhge aapko website yani www wale icon par click karna hai.

enter-yor-site-url-and-create-account

  • Ab yaha aapko website ka name dalna hai or create new facebook app id par click karde.

create-new-facebook-app-id

  • 1. Display name me aapko apni site ka naam dalna hai.  2.contact email me apna email dale, 3. or aapki website konsi category ki hai vo select kare agar aapki site technology se realted hai to communication select kare. 4. or create app id par click karde.

copy-the-code

  •  Ab aapko ek code milega jise copy kare , or apne WordPress dashboard<<appearance<theme editor me jaye yaha aapko header.php me <body> search karna hai or uske theek niche ye code paste karde.

enter-your-blog-url-and-next

  • Ab code paste karne ke baad niche site url me apni site ka url address dale, Or next par click karde.

generate-facebook-app-id

  • Ab aapke samne facebook developer wala dashboard open ho jayega yaha aapki app id hogi aapko jo id plugin me use karni hai vo hai secret key aap app secret ke samne show button par click kare ab aapko dubara apna fb password dalna hai fir aapko secret key number mil jayega jise aap apne wordpress site ke plugin me use kar sakte hai.

Iss tarah friends aap asani se apne wordpress blog ke liye facebook app id bana sakte hai ya create kar sakte hai.

Friedns aapo ye post accha lage to isse apne dosto ke sath social media par jarur share kare or aapko iss post me kuch smaajh na aaya ho comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke humari site ko subscribe kare…

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here