Facebook Did You Know Questions Kya Hai ? Aur Solve Kaise Kare

0
facebook did you know question-kya-hai aur inhe solve kaise kare

Facebook Did You Know Question Features Kya Hai, Facebook Me Did You Know Question Ke Answer Me Kya Likhna Hai. Friends agar aap bhi Facebook user hai to aapne dekha hoga ki ab aapko apni Facebook profile me Did You Know ka option bhi dikhta hai  kuch log to isske bare me jante hai but bhut se logo Ko nahi pata hota ki ye kya hai. Facebook Apne app and site me kuch na kuch update details hi rahta hai ye bhi ek feature hai jiske dwara aap Apne dosto Ko Apne bare me bata sakte ho.

Facebook Did You Know Question Kya Hai ?

Contents

Did you know ka Hindi Me matlab hota hai  “kya Tunhe Pata Hai”  Facebook ke did you know wale  iss feature me aapko bhut se question milte hai jo aapse related hote hai. Aur in question ka aap koi bhi answer de sakte hai.

Ye sabhi question English language me hote hai. But bhut se logo Ko English nahi aati hai issliye vo jis sawal ka jawab Dena bhi chahate hai vo us question ka answer nahi de pate hai.

Issme bhut hi easy sawal rahte hai jo aapse puche jate hai jaise aapki hobby kya hai ?, Aapka hidden talent kya hai ? mobile ki kis app ke bina aap jee nahi sakte, aapko texting ya calling dono mese jayeda accha konsa lagta hai etc aur bhi bhut se easy question rahte hai jo aapko did you know me milte hai.

Facebook Did You Know Question Ko Kaise Solve Kare In Hindi

Facebook did you know question ka answer Dene ya inko solve karne ke liye yaha me aapko bhut hi easy way bata Raha hu jiska use karke aap easily kisi bhi did you know question ko solve kar sakte hai. Lekin usse pahle aapko iss features ke bare me thoda aur Jaan Lena chahaiye

Facebook Did You Know Features Ke Fayde ( Benefits )

Agar aap bhi yahi soch rahe hai ki Facebook did you know question ka answer kyo de to me aapko inks Fayde bhi bata deta hu.

1. Ye question jo did you know me hote hai vo humse hi related rahte hai jaise agar aap student hai to aapko yaha par study se related bhi bhut se sawal mileage. Ya agar aap koi work karte hai to aapko Apne work se related sawal bhi yaha par dikh jayege.

2. Did you know question aapki profile me intro ke Baad friends option ke theek niche show hote hai aur jab aapka koi dost aapki profile Ko visit karta hai to in swalo aur aapke jawab Ko dekhkar usko aapke nature ke bare me pata chal Jata hai.

3. Issme bhut se sawal rahte hai to aap jayeda se jayeda swalo ke jawab bhi de sakte hai.

4. Aap Jin bhi did you know question ka answer dete hai vo sabhi aapki Facebook timeline me show hote hai ji par aapke friend like react aur comment kar sakte hai.

Facebook Did you Know Question Ke Answer Me Kya Likhe Step By Step Jane

Facebook did you know feature ka use jaise kare agar aap bhi yahi Janna chahate hai to niche bataye instruction Ko follow kare.

tap-on-3-lines-and-your-name

  • Sabse pahle apne mobile me google play store se Facebook app Ko download kare. FB app Ko download and install karne ke Baad open kare ab yaha par aapko 3 line dekhengi inpe click kare aur Apne name par click karde.

tap-on-add-answer

  • Now ab aap apni profile me punch jayege yaha niche scroll kare friend option ke theek niche did you know ka option dikhega isske aage add answer par click karde.

tap-on-new-question

  • Ab yaha par aapko A TV Series I’m obsessed right now is… Iss type ka question dikhega agar aap iss sawal ka jawab Dena chahate hai to yaha niche add your answer par click karke isska jawab de sakte hai ya aapko isska answer nahi Dena hai to new question par click karde.

tap-add-your-answer

Now ab aapke samne Naya sawal aa jayega. Agar aapko English nahi aati ya bhut Kam aati hai to aap Google translate site par jakar jo sawal likha hai vo likhkar usse hindi me translate karke dekh sakte hai fir aapko uska Matlab pata chal jayega.

Jaise ki ye sawal hai Do you like wearing a watch ? Isska Hindi me Matlab  kya aapko watch pahanna pasand hai ye hoga aur iss question ka answer Dene ke liye add your answer par click kare.

solve-facebook-did-you-know-question-and-tap-share

  • Aur apna answer yaha par likh de aap short me jawab Likhe kyoki ye long me Likhne se jayeda accha hai aur yaha par bhut se background bhi dikhega jinpe click karke aap text ka background change bhi kar sakte hai aur answer likhne ke Baad share par click karde.

Congrats aapne successfully did you know question Ko solve kar diya hai. Issi tarah aap dusre swalo ke jawab bhi de sakte hai.

Dosto Facebook Me Did You Know Feature Kya Hai Aur Kaise Use Karte Hai ye ab aapko seekh hi Gaye honge agar ye article aapke liye useful and helpful Raha to isse Apne other friends ke sath share jarur kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here