Google Play Store Me Auto Update Apps Turn Off Band Kaise Kare

2
Google play store auto update apps ko kaise band kare

Hii Friends Google Play Store Auto Update Apps band kaise kare , Google Play Store Apps Ko Auto Update Hone Se Kaise Roke ye aaj hum iss post me janege . Friends agar aap android phone user hai to aapke phone me playstore to hoga hi ye normal si baat hai

sabhi android mobile me ye hota hi hai But google play store jitna useful utni hi issme problem yani error aate rahte hai. Aap mese lagbhag sabhi log jante honge ki play store par hume millions se billions app milte hai jo alag alag categories me hote hai

jaise beauty business shopping life style music and audio games etc and ye humare phone ke liye bhut hi jaruri hai in app ki wajah se hi bhut se logo ko android os accha lagta hai or ye sabhi apps hume ispar mil jate hai.

vaise to aur bhi os hai lekin jayedatar log android os ka hi use karte hai kyoki isska use karna bhut asan hai jo koi bhi easily kar sakta hai. jaisa ki maine bataya ki sabhi android phone me hume play store app milta hai 

But play store jitna useful hai utni hi issme error bhi aate rahte hai jaise no internet connection retry error,  download pending error etc but in error ko aap solve bhi kar sakte hai. jinke bare me maine already post ki hui hai.

Google Play Store Me Auto Update Apps Ko Band Kyo Kare ?

Contents

Dosto aap apne phone me play store se bhut si app ko download karte honge ya aapne apne android phone me pahle se bhut si apps installed ki hogi in app ke new version yani updates weekly ya monthly me aate rahte hai

or iss tarah daily kisi na kisi app ka updates available rahta hai or aap jab bhi apne phone ka data on karte hai ya wifi ka use karte hai to ye apps automatically update hona start ho jate hai

In App Ke updates se problem to nahi hai. But ye aapke phone ke data ko spend karte rahte hai jisse aapka sara data loss ho jata hai.

Issliye android apps ko automatically updates hone se rokna bhut jaruri hai otherwise aapka sara data in hi app me waste ho jayega. Issliye aaj me aapko batane wala ki kaise aap google play store auto Update apps ko off ya band kar sakte hai.

Google Play Store Auto Update Apps Ko band kaise kare – Turn Off Auto Update Android Apps

  • Sabse pahle aap playstore app ko open kare ya ispar direct jane ke liye niche button par click kare.

Go To GooglePlay

tap-on-play-store-menu

  • Play store me jane ke baad yaha aapko sabse uper  left side me 3 lines ya menu option dikhega uspar click karde.

now-tap-on-setting-option

  • Ab yaha niche sabse last me aapko setting option dikhega iss option par click kare.

tap-auto-update-apps

  • Setting me jane ke baad yaha aapko auto update apps ka option dikhega uspar click kare or .

select-do-not-auto-update-apps

  • Ab yaha aapko 3 option dikhega 1st Do not auto update apps 2nd auto updates app at any time data charge may apply 3rd auto updates app wifi only 2nd ya 3rd option aapke phone me pahle se select hoga jiska matlab hai aapke phone me data enable hone ya wifi se connected hone ke baad app automatically update hona start ho jayege in sabhi option mese aapko 1st option Do not update apps wale option ke aage wale box par click karke select karna hai.

now-auto-update-apps-turn-off-sucessfully

  • Now friends do not update app option select karne baad ab aapke phone ki koi bhi android app automatically update nahi hogi.

Iss tarah friends aap asani se Google Play Store Auto Update apps ko band kar sakte hai.

important –

maine android apps ko auto update hone se rokne ka jo tarika bataya hai vo bhut hi easy hai aur bhut se log soch rahe honge ki apps ka automatically update hona to accha rahta hai to me aapko batana chahunga ki app update hone se usme new feature aa jate hai

aur vo pahle se jayeda acchi tarah se work karne lagti hai lekin agar aapne bhut jayeda application apne phone me installed ki hui hai aur vo sabhi ek sath update hone lagti hai to isse aapka sara data unme chala jata hai issliye agar aap data safe rakhna chahate hai to aapko auto apps update ko stop hi rakna chahaiye.

Dosto Android Apps Automatically Update Hone Se Kaise Roke, Google Play Store Auto Update Apps stop kaise kare wali ye information aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or essi or bhi internet se related post ke liye humari site par visit karte rahe.

2 COMMENTS

  1. Huh finally iska tarika bhi mil gaya. really thanks for sharing. isse pata chalta hai blogger kitni mehnat karte hain solution dene ke liye. ЁЯЩВ

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here