Mobile Ko Full Format Kaise Kare – Hard Reset Any Android Phone

16
android mobile phone full format-hard reset kaise kare full detail

Hi friends Apne Android Mobile Ko Full Format Kaise Kare, Android Phone Ko Hard Reset Kaise Kare ye aaj me aapko iss article me baatne wala hu. friends agar aapka mobile slow chal raha hai ya vo hang hota hai to aap uska pura data delete kar sakte hai isse aapka phone acche se work karne lagega.

Bhut se android user ki yahi problem rahti hai ki unhone jab new mobile buy kiya tha tab vo acche se work kar raha tha lekin ab vo slow ho gaya isska reason rahta hai ki aap apne device me essi bhut si apps and games install kar lete jo aapke mobile ko slow kar dete hai jaise aapke smartphone ki ram 2gb and internal memory 8gb or processor 2.0 dual core processor hai or aap GTA Vice city jaise high definition game play karte hai to aapka mobile slow hoga hi

issi tarah aapke mobile me bhut si apps ka data store ho jata hai jo aapke mobile ┬аki speed ko slow kar deta hai or vo hang hone lagta hai. maine apni pichli post me smartphone ┬аko reset karne ka tarika bataya tha aap apne mobile ko reset karna chahate hai to niche link par click kar post read kar sakte hai

Mobile Phone ko Hard Reset karna kya hai – Full detail

Contents

Friends hard reset ka matlab hota hai ki phone ka pura data delete kar dena yani use full format kar dena. vaise aap apne phone ko reset karke bhi uska pura data jaise app image video ya jo bhi aapke device me hai wo delete kar sakte hai.

lekin hard reset ki jaruat jab padhti hai tab aap apne phone ka password bhul jate hai example ke liye aapne apne mobile me pattern lock dala tha or ab aap us pattern lock ko bhul gaye hai to ab aap kisi na kisi tarah apne phone ka pattern lock unlock karna hai ya pattern lock ko todhna chahate hai to isske 2 tarike aapke pass hote hai 1st aap google account ka use kar sakte hai or 2nd aapko apne phone ko hard reset karna hoga.

Normally bhut se log apne phone me google account se login nahi hote hai and agar hote bhi hai to pattern lock ya other lock ko unlock karne ke liye aapke phone me internet data on hona jaruri hai or sabhi log 24 hours tak to apne mobile ka data on nahi rakhege issliye agar unko 2nd method hi helpful hoga.

agar aap bhi apne phone me koi password pin pattern lagakar bhul gaye hai or usse unlock karna cahahte hai to aap apne mobile ko hard reset karke us password ko unlock kar sakte hai.

Android Mobile Ko Full Format Hard Reset Kyo Kare ? Isska Fayda Kya Hai┬а

apne phone ko hard reset karne se aapke phone ki all apps file ka data clear ho jata hai jaise agar aapne apne device me koi app install ki hui thi or uski koi file corrupt ya cracked ho gayi or aapke┬аUnfortunately app has stopped batane lagi to us problem ko bhi aap apne device ko hard reset karke solve kar sakte hai.

mobile hard reset karne ka ye fayda hota hai ki isse aapka phone full format ho jata hai or usme agar virus bhi the to vo bhi puri tarah se removed ho jate hai or aapke device pahle slow speed me work karta tha vo hard reset hone ke baad uski speed fast ho jayegi. or vo bilkul new smartphone ki tarah work karne lagega.

Android Mobile Ko Fully Format Hard Reset Kaise Kare┬а

agar aap bhi apne phone ko format karna chahate hai to sabse pahle aap uska backup bana le image video document ka backup aap apne mobile ke sd card me le sakte hai or content ka backup aap google drive me save kar sakte hai ab aapne agar apne device ke all data ka backup le liya hai to niche bataye instruction ko follow kare-

How to Hard Reset Any Mobile Phone Without Password in hindi

  • sabse pahle aap apne mobile ko switch off (band) kare.
  • ab aap apne phone me ┬аpower button key+ volume key ko ek sath press kare.

tap-on-wipe-and-factory-resetab aapka mobile on ho jayega and aapko kuch option dikhege unmese aapko ┬аWipe data/Factory reset wale option ko select karna hai isske liye aap uspar touch karke select nahi kar sakte hai aapko yaha key ka use karna hoga yani aapko uper jana hai to volume up key or niche jana hai to volume down key ka use karna hoga or us option ko select karne ke liye power button use karna hai ab aap volume down key ko press kar┬аdata/Factory reset wale option tak jaye or power button press kar ok karde. ┬а( Note – kuch smartphone me ye option only factory reset ke name se bhi ho sakta hai)

tap-on-yes-delated-all-data

  • Wipe AND FACTORY data ko select karne ke baad ek new window open ho jayegi jissme aapko confirm karne ke liye bola jayega ki aap such apna all data delete karna chahte hai ab volume down key ko press kare or┬аYes – Delete All User Data option┬а tak jaye┬аYes Delete All User Data option par jane ke baad power button dabakar ok karde.

ab aapke phone ke reset hone ki process chalne lagegi jisme aapke smartphone ka all data erase hona start ho jayega issme kam se kam 2 minute se 5 minutes tak lag sakte hai issliye agar aapka device on hone me jayda time lele to uski battery na nikale nahi to uske software brick ho sakte hai. phone ki reset process end hone ke baad vo automatically restart ho jayega.

issi tarah friends aap bhi apne mobile ko easily hard reset kar sakte hai ye android trick wala post aapko agar accha lage to isse share jarur kare or latest update ke liye humare facebook page ko like kare.

16 COMMENTS

    • thanks android phone ko hard reset kaise kare ye wala post aapko accha lage. isse apne friends ke sath social networking site par share jarur kare.

  1. Bhai mere please madat kijiya aapne jo samsung j5 ka tareeka bataya wo to mene kiya saaraa set hogya le kin ab gmail id mag rahi hai gmail id aus me id gm id nahi lag rahi hai

    • bro agar aapke phone samsung j5 me gmail id dalne ka option aa raha hai to aap usse skip bhi kar sakte hai and agar skip nahi likha aa raha hai to aap apna gmail id dal sakte hai or agar vo email id galat bata raha hai to dusra email dalkar try kar sakte hai

    • how fix wiping data mount / data error wali post me jald hi karunga aap thoda kare. and uss post ki notification facebook par received karne ke liye humare facebook page ko like kare.

  2. sir mere pass spice k-601 mobile hai or o format ho gaya ab o gmail id mang raha hai mene usme jo gmail id dal raha hu o galat bata raha hai uska me kya karu

    • aapke mobile me FRP Lock yani factory reset protection Activate hai FRP lock ko unlock kaise karte hai isske bare me apni next me batunga jiski notification apne email par pane ke liye humari site ko subscribe kar sakte hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here