Mobile Me Hath Se Likhkar Hindi Typing Kaise Kare – Google Handwriting

2
mobile me hath se likhkar-hindi typing kaise kare google handwriting input

Hii Friends Hath Se Likhkar Type Kaise Kare, Mobile Me Hindi Typing Kaise Kare, Android Mobile Se Hindi Me Type Kaise Kare ye aaj aap iss article me janege. Dosto aaj kal sabhi logo ke pass apna android smartphone hota hai issliye agar aap bhi smartphone user hai to ye article aapke liye hi hai android phone me hath se likhkar hindi me type kaise kare ye aap Ko thoda Ajeeb lag Raha hoga but ye sahi hai.

Aap Apne hath se word likhkar type kar sakte hai jaise ki friends aap jante hi honge ki hindi me type karna kitna difficult hai to issko saral banane ke liye Google me apna GBoard App diya hai.

jisme hum English keyboard se likhkar hindi me type kar sakte hai aur ab Google me apna handwriting input app bhi lanuch Kar diya hai jiska use karke hum hath se word likhkar bhi typing kar sakte hai.

Google Handwriting Input Kya Hai Aur Kaise Use Kare ?

Contents

Google handwriting input jaisa ki isske name se hi pata chal Raha hai ki isme aap hand se write karke text likh sakte hai ye Google dwara launch Kiya Gaya input tool yani keyboard hai jaise isska ka ek keyboard GBoard hai ussi tarah ye Google handwriting input hai. Google handwriting input me aapko blank space milti hai

aur iss space me aap Apne hath se koi bhi word ya kuch bhi likh sakte hai aur aap jo iss blank space me likhege vo type ho Jata hai. Google handwriting input me English, hindi, punjabi, tamil, Bangali, Urdu, Malayalam etc languages milti hai ye 97 languages Ko support karta hai.

Issme aap styles aur without stylish handwriting me bhi text likh sakte hai Yani jaisa ki aap jante hi honge ki sabhi logo ki handwriting same Yani ek Jaisi nahi Hoti hai kuch log stylish handwriting me likhte hai to kuch without stylish me to aap jaise bhi likhte ho ye input aapki handwriting Ko samajkar aapke dwara likhe word me type karta hai.

Issme jaruri nahi hai ki aap text me likhe. Google handwriting input 100 emojis Ko bhi support karta hai to aap Apne hath se emoji bana sakte hai yani emoji draw karke type kar sakte hai aur text ke sath me emoji bhi easily add kar sakte hai.

Jaisa ki aap jante hi honge ki emoji ke Bina text likhna boring ho Jata hai issliye iss input tool me emoji bhi add ki gayi hai. Aur issme voice input bhi diya Gaya hai.

Google Handwriting input tool Ko use Karna bhut easy hai isse aap Apne kisi bhi jiska Android version 4.0.3 ya isse bada hai usme isse install Karke use kar sakte hai.

Mobile Me Hath Se Likh Kar Hindi Me Type Kaise Karte Hai ?

Aaj kal mobile se hum esse bhut se Kam sakte hai jinke bare me pahle hum soch bhi nahi sakte the jaise mobile se hum taali bajakar mobile khojna, Google assistant ka use karke  mobile se bolkar kaam karwana etc aur ab aap Apne mobile me hath se likhkar yani draw karke typing bhi kar sakte hai.

Hath Se Likhkar Hindi Typing Kaise Kare Step By Step Jane

  • Sabse pahle playstore se Google Handwriting Input Apne phone me download Kare jise direct yaha se download Kar sakte hai.

Download Google HandWriting Input

  • Ab Google Handwriting Input Ko download and install karne ke Baad open kare.

tap-on-ok

  • Ab ye app aapse google term of service and privacy se agree hai ye puchega ok par click karde.

enable-google-handwriting-input

  • Now ab yaha par enable Google Handwriting Input wala option dikhega isspar click karde. Fir yaha par aapke jitne bhi keyboard app honge sabhi dikhne lagege inmese Google Handwriting Input ke aage box par click karke isse enable karde.

now-you-can-see-a-message-tap-on-ok

  • Ab yaha par aapko ek message dikhega jiska Matlab hai ki aap isse jo bhi type karoge vo ye app colllect karega jisme aapka personal data bhi ho Sakta hai. Ok par click karde.

select-google-handwriting-input

  • Ab aapko yaha select Google Handwriting Input wala option dikhega isspar click karde aur fir yaha par aapko change keyboard option dikhne lagega aur bhut se keyboard bhi dikgege inmese Google Handwriting input wale option par click karde.

tap-on-click-here-try-now

  • Now ab aapne successfully Google Handwriting input set up Kar diya hai ab yaha click here to try now par click kare isspar click karne par aapko blank space aur write here likha dikhega.

wrie-here-any-word-and-type

  • Yaha par aap koi bhi text ya word hath se likhege vo automatically type ho jayega jaisa ki uper screenshot me dikh Raha hai.

tap-on-configure-languages

  • Ye to Rahi English typing ki baat but yaha me aapko hindi typing ke bare me Bata Raha hu to isske liye yaha  configure languages par click karde. Ab yaha par bhut si languages dikhne lagegi but ye disable hogi unko enable karne ke liye use system language wale option ke aage wale option par click karke isse disable karde.

enable hindi-language

  • Ab yaha niche scroll kare yaha par aapko hindi language dikhegi isske aage wale box par click karde. Ab aapse iss language Ko download karne ke liye bola jayega ok par click karde.

configure-language-and-tap-english-language

  • Ab hindi language download hona start ho jayegi 2 se 4 minute tak wait kare lauguage download home ke baad yaha your language are download likha dikhega ab configure language wale option par click karde. Aur yaha par english language enable hogi isspar click karke isse disable karde.

enable-hindi-language

  • Ab niche scroll kare aur hindi lanuage Ko select kare.

draw-your-text-and-your-text-will-type

  • Now hindi language select karne ke Baad aap Facebook WhatsApp ya Kahi bhi jakar type karke dekhe aapko blank space dekengi aur yaha par hindi me jo bhi likhege vo type hoga jaisa ki uper screenshot me dekh sakte hai.

Iss tarah Friends aapko easily Google Handwriting input se hindi typing Kar sakte hai.

Friends Google Handwriting Input Kya Hai Aur Isse Kaise Use Karte Hai, Hath Se Likhkar Hindi Typing karne Ka Tarika in Hindi, Hindi Me Type Karne Ka Sabse Asan Tarika, Draw Karke Hindi Typing Kaise Karte Hai ye ab aapko seekh hi Gaye honge agar ye article aapko accha laga and aapke liye useful Raha to isse Apne friends ke sath bhi share kare.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here