Idea Call History Kaise Nikale – Get Call Details OF Your Idea Number

4
idea call history kaise nikale get call details of your idea number

Idea Call History Kaise Nikale, Idea Number Ki Call Details Kaise Nikale , Apne Idea Sim Ke Number Ki Call Details History Kaise Nikale. Dosto mobile users ki sankhya badhti ja rahi hai. Aur aaj kal sabhi logo ke pass apna mobile phone hai. Aur vo ussme idea jio vodafone airtel etc sim card kar ka use karte hai.

Agar aapke pass apna mobile hai to usme sim card to hoga hi and usse aap calls to karte hi honge to friends agar aapke phone me idea ka sim hai Aur aap apne idea number ki call details ya idea call history pata karna chahate hai to aaj me aapko issi ke bare me batane wala hu.

Call Details Kyo Nikale ? Ya Call History Nikalne ki Jarurat Kyo Padhti Hai

Contents

1. aapke Friend ne apna number change kar liya ho Aur new number se usne aapko call kiya ho fir aap uska number save karna bhul gaye and aapne apne phone ki calls history delete kardi hai Aur aapko aapke friend ko call karna ho.

2. Agar aapka mobile kahi gum ho gaya tha Aur fir wapas mil gaya aur usme call history delete hai to aapko Lagta hai ki sayad mere phone ka kisi ne misuse to nahi kiya to call details nikalkar aap pata kar sakte hai.

3.Agar aap relationship me hai to aapka partner aapse puchta hai ya aapki partner aapse puchti hai ki aapne kis kis ko calls ki sabhi ki call history batao. But aapne agar apne phone ki calls history clear kardi to bhi aap online sabhi call details nikal sakte hai.

4. Agar aap kisi ke boyfriend hai Aur aapki girlfriend ko aap par doubt hai ki aap usske alawa Aur kisi ko dating kar rahe hai to aap apne phone ki sabhi call details nikalkar uska doubt clear kar sakte hai.

5 Essi tarah aap agar kisi ki Girlfriend hai Aur aapke boyfriend ko lagta hai ki aap uske alawa kisi ko bhi dating kar rahi hai to aap apni call history nikalkar uske doubt ko clear kar sakti hai.

Idea Number Ki Call Details Kaise Nikale Easy Method In Hindi

Agar aapko apne idea number ki calls details nikalni hai to aapko kahi bhi jane ki jarurat nahi hai aap apne ghar se hi apne pc ya mobile se idea call history nikal sakte hai Aur ye bhut easy method hai jisse aap asani se follow kar sakte hai. 

Idea Call History Kaise Nikale – Idea Cellular Call Details In Hindi

  • Sabse pahle aapko idea Cellular ki website par jana hoga Aur usme apne idea number se usme registered karna hoga isski website par jakar my account par click karke aapko registration form dikhne lagega agar aapko direct registration form page par jana hai to yaha niche button par click karde.

Idea Account Registration

  • Ab iss registration form ko fill karne ke liye niche bataye steps ki follow kare.

enter-your-idea-number-select-password-delivery-mode-enter-captcha-and-submit

1. Yaha apna 10 digit ka idea number enter kare .

2. Please select the mode of password Delivery me Sms ke aage wale box par click karke tick karde.

3. Ab aapko jo code dikhe vo same to same iss box me dalna hai ye captcha code hota hai.

4. Ab sabhi option sahi se fill karne ke baad submit par click karde.

now-you-successfully-registered-in-idea

Ab aapko yaha thanks you for registering with idea. Your mobile has been successfully registered. Your password will be sent to you through your selected mode ( sms / email ) shortly ye message dikhega isska matlab ki aapne successfully apne number se idea ki website par register kar liya hai.

Aur aapka password aapko jald hi sms ya email jo bhi mode aapne select kiya hai yani sms select kiya hai to aapko sms ke dwara password mil jayega.  Ab aap 30 second se 1 minute tak wait kare

if-you-have-not-received-password-tap-on-click-here

  • aapko idea ki taraf se apne mobile number par jo aapne yaha dala tha uspar ek message aayega usme password bhi hoga agar aapko koi message nahi aata hai to yaha haven’t received password ? Click here to resend password likha hai us click here par click karde. Fir aapko dubara password send kiya jayega.

copy-your-idea-account-password

  • Ab aapke number par IDEAcare ki taraf se ek sms aayega usko open kare us message me dear customer, we have proceed your registration likha dikhega Aur aapke number ke Aage password likha hoga iss password ko aap yaad karle kyoki isski jarurat aapko apne account me login karte time padegi.

tap-on-click-here

  • Ab yaha sabse last me aapko please sign in your account click here likha dikhega iss click here par click karde.

enter-your-idea-number-password-and-sign-in

  1. Yaha apna 10 digit ka idea number enter kare.

2. Aapne jo password message me mila tha vo password yaha enter kare.

3. Ab number and password enter karne ke baad sign in par click karde. Sign in par aap jaise hi click karege yaha par aapko change password ka option dikhne lagega.

choose-password-confirm-password-and-submit

1.Yaha new password me aapko koi bhi password choose karna hai yaad rakhe yaha aap jo password dalege vohi aapke idea account ka password hoga or ussi se aap apne account me sign in kar payege issliye yaha aap jo password dale vo aap kahi par likh le. Aur aap jo password choose kare usme aapko uper case Alphabets Aur lower case Alphabets Aur spacial character hi use karne hai.

2. Ab aapne jo new password choose kiya hai to wohi yaha dubara enter kar kar confirm kare

3. Password choose and confirm karne ke baad submit par click karde.

tap-on-my-prepaid-and-view-call-history

Now friends ab aap successfully idea ki site me login ho jayege. Ab yaha aapko yaha apne number ka balance and data plan ki details dikhne lagegi ab aap my prepaid wale option par click kare Aur fir yaha aapko kuch option dikhne lagege unmese sabse last me view call history par click karde.

now-you-can-see-all-call-details-of-your-idea-number

Ab yaha aapko apne idea number ki sabhi call details dikhne lagegi Aur yaha aap ye bhi dekh sakte hai sakte hai ki kis number par kitne time tak baat hui hai and friends aap sirf 1 month ki hi call details dekh sakte hai.

Iss tarah friends aap asani se online idea call history nikal sakte hai.

Dosto Idea Number Ki Call Details Kaise Nikale, How To Get Call Details Of Your Idea Number, Idea Call History Kaise Dekhe ye ab aap seekh hi gaye honge agar aapko ye information acchi lagi and aapke liye useful rahi to isse apne friends ke sath bhi social media site par share kare.

4 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here