Messenger Lite Kya Hai Aur Kaise Use Kare ? Messaging App

0
messenger lite kya hai messenger lite ki puri jankari hindi me

Hii friends Facebook Messenger lite app kya hai Messenger lite ke features kya hai ye aaj hum iss article me janege dosto facebook lite app ki tarah fb ne apna lite messenger bhi launch kar diya hai.

Pahle ye app kuch hi country ke liye available tha but ab ye almost sabhi country ke liye available ho chuka hai.

Messenger Lite kya hai – Puri Jankari Hindi Me

Contents

Ye ek Facebook messaging app hai friends aap apne phone me facebook app ka use karte hai to aapko pata hi hoga ki fb messages ko read karne ke liye aapko messenger app ki jaruat padhti hai.

Facebook lite app me aap bina messenger ke bhi messages read kar sakte hai but fb app me aapko isse download karna hi padhta hai. Facebook messenger ka size 20-35 mb ka hai or ussme aapke agar jayeda messages ho jate hai to usska size 150-200 mb ho jata hai.

Agar aapke phone ki ram and  internal storage kam hai to aapka phone messenger ko jayeda der tak support nahi kar pata or hang hone lagta hai. Kuch phone ki ram 512 mb or internal memory 1GB hoti hai unme to ye install hi nahi hota hai.

Essi problem aapki bhi hai to aapki problem ko dekhte huye fb ne apna new messenger lite launch kar diya hai isska size 4-5mb ka hai jisse aapke phone ki internal storage bhi full use nahi hogi. Or aapka phone hang bhi nahi hoga.

Fb lite app ki tarah messenger lite me bhi same feature ko add kiya gaya hai. Issme aap ek sath 2-4 ya jitne chahe utne logo se chat kar sakte hai. Aapke friends online hai ya nahi ya kab online the ye dekh sakte hai message request dekh sakte hai,

ek sath apne 2 ya 3 account ko bhi add kar sakte haietc. But kuch feature aapko Jo Facebook ke badi size wale messenger me milte Hai vo iss lite version me nahi milte.

Facebook Messaging App Ke Bare Me Jankari

Dosto jaisa ki Maine aapko bataya ki lite version ke bhut se fayde Hai jaise ki isska size bhut kam  Hai Jo aapke phone ki internal storage Kam use karta Hai or isme aap apne friends ka status bhi dekh sakte Hai. But kuch feature Jo aapko Facebook messenger me milte Hai vo lite version me nahi milte.

Facebook Messenger Aur Lite Messenger Me kitna ya kya Fark Hai.

1 Facebook messenger me apko conversation create karne ka option milta Hai Jo ki lite version me nahi milta.

2. Messenger me aap photo send karte time usse edit bhi kar sakte Hai ussko draw kar sakte Hai or ussme kuch bhi text like sakte Hai. Ye feature bhi lite version me nahi Hai.

3. isme aap apna day set kar sakte Hai yani WhatsApp new status feature ki tarah issme bhi aap 1 din yani 24 hours ke liye photo gif etc me status daal sakte Hai lite version me ye feature nahi Hai.

4. Facebook Messenger me aap hidden games play kar sakte Hai.

Facebook Lite version Messenger ke Features in hindi

1. Isska sabse badiya feature ye hai ki ye bhut hi kam mb ka ka messenger hai jisse aap apne kisi bhi android phone me install kar sakte hai. Yani aapke mobile ki internal mermory bhut kam yani 259 mb ya 512 mb or ram 812 mb ya 1gb bhi hai to bhi ye aapke smartphone me bhi work karega.

2. Isse aapka phone hang bhi nahi hot kyoki isska size bhut Kam hai. Or aapke mobile ki internal storage bhi Kam use hoti hai.

3.  Ye fb lite app se accha hai.

4. issme bhi aapko switch account ka option milta hai jisse aap apne dusre fb account ko bhi issme add kar sakte hai.

Facebook Messenger Lite Ko Kaise Use Kare Ya Chalaye – Puri Jankari

  • Sabse pahle aapko isse download karna hoga jisee aap niche get it on Google play par click kar download kar sakte hai.

Download

  • Ab download and install hone ke baad isse open Kare.

sign-up-login-messenger-lite

  • Agar aapke mobile me Facebook app nahi hai ya lite app nahi to aapse aapka fb username and password manga jayega and aapke phone me Facebook app hai or aap ussme pahle se login hai to yaha aapko Continue As ka option dikhega uspar click karde.

messenger-lite-feature

Now aap issme login ho jayege or aapko yaha apne sabhi fb messages dikhne lagege. and aap yaha aapko 2 option dikhege unmese 1st option par yani home par sabhi message show honge

or 2nd option yani 3 line par click karne ke baad aap dekh payege ki aapke fb friends mese kon kon online hai

ya kab online the or 3rd option profile icon par click karne ke baad aap apni profile dekh sakte hai issme aapko notification and sound, message request, switch account se option milte hai.

Dosto aapko Facebook messenger lite ki Puri jankari wali ye post agar acchi lage to isse apne friends ke sath social media sites par share jaruru kare or essi or bhi post read Karne ke lite daily humari site par visit karte rahe..

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here