Apne Mobile Par Kisi Bhi Number Se Fake Call SMS Kaise Kare

1
apne mobile par kisi bhi number se fake call sms kaise kare

Hii Friends Apne Mobile Pe Fake Call SMS Kaise Kare, Apne Khud Ke Phone Par Kisi Bhi Number Se Fake Call Kaise Kare, Android Phone Me Fake Call Schedule Kaise Kare ye aaj me aapko iss article me batane wala hu.

Dosto agar aap android smartphone user hai Aur aap apne friends ke sath thoda prenk karna chahate hai to aaj ki tricks aapke liye hi hai aaj me aapko batane wala hu ki kaise aap apne khud ke phone par fake call received kar sakte hai Aur kisi ko bhi bewkoof bana sakte hai.

Apne Khud Ke Mobile Par Fake Call SMS Kyo Kare ?

Contents

Agar aap apne kudh ke mobile par fake ya nakli call karna chahahate Hai to uske bhut se reason ho sakte Hai Unmese hi kuch reason yaha me aapko Bata raha hu.

1.Kabhi kabhi essa hota Hai ki hum apne kisi friend reletives ya us peson se baat nahi Karna chahate Hai fir bhi Jan mujhkar Hume usse baat karni hoti Hai fir aap sochte Honge ki khas mujhe koi call karde.

2. Aapko agar koi lecture de raha Hai ki Aur aapko uske lecture se bachna Hai to bhi ye ek best method Hai

3. Bhut baar essa hota Hai ki aap apne work me busy Hai Aur aapka koi reletives ya friend aakar aapko apni baato me uljha deta Hai Aur aap koi bahana banakar unki baato se bachna chahate Hai Aur chahate Hai ki kisi ka call aa Jaye to me inki baato se bach jau.

4. Aap agar kisi ke boyfriend hai Aur aapki girlfriend aapko kisi wajah se bhi lecture de rahi hai Aur aap usske lecture se bachna chahate hai to bhi ye best method hai.

5. Agar aapko apne friends ke sath ya kisi ke sath bhi prenk karna hai Aur unhe batana ki aap kitne popular ho to bhi ye tarika aapke liye useful hoga.

To friends ye the kuch reason jinki wajah se bhut se log apne phone pe fake call sms karna chahate hai.

Apne Mobile Pe Kisi Bhi Number Se Fake Call SMS Kaise Kare Asan Tarika In Hindi

Agar aap apne mobile par kisi bhi number se ya kisi bhi name se fake call sms karna chahate hai to aaj me aapko issi ke bare me batane wala hu. Aap apne phone par call hi nahi balki fake sms bhi received kar sakte hai and isske liye aapko alag alag app bhi apne phone me install nahi karni hai.

aapko sirf ek fake call sms name ka app apne mobile me install karna hai Aur usska use karke aap apne phone par kabhi bhi kisi bhi number se fake call sms kar payege. Iss app ko abhi tak 10 millions se jayeda logo ne download kar liya hai and isski rating  4.3 hai isee aap iss app ki popularity ka andaza laga sakte hai.

Apne Android Mobile Par Fake Call Kaise Kare – Get A Fake Call Your Phone

  • Sabse pahle aapko apne mobile me google play store se fake call sms name ka ek app download karna hai isse direct download karne ke liye niche button par click kare.

Download Fake Call App

change-name-and-number

  • Ab iss app ko install karne ke baad open kare ab yaha aapko pahle se name me private number Aur number me 10 digit ka number dikhega. Inko hatakar aapko inki jagah apne friend ka name and mobile number likhna hai jiske liye niche bataye steps ko follow kare.

put-your-friend-name-and-number-here

1.Name me yaha aap friend ya apne relatives ya Favorite celebrity kisi ka bhi name likh sakte hai aur yaha aap jo name likhege ussi name se aapko call aayega.

2. Yaha number me aap apne friend ya kisi ka bhi number likh sakte hai ya koi bhi number likh sakte hai Aur ye hi number aapko call me show hoga.

tap-on-photo-icon-and-gallery

Ab name and number likhne ke baad ab agar aap chahate hai ki aapko jo call aaye usme caller screen par image yani photo bhi dikhe to yaha aap apnw friends ya faviorate celebrity kisi ki bhi photo ko add kar sakte hai isske liye left side me  photo icon par click kare ab yaha aapko contacts gallery camera 3 option dikhege Inmese gallery wale option par click karde.

select-photo-and-ok

  • Ab aap apni phone gallery me punch jayege yaha aapko apni sabhi images dekhegi Inmese aap jo photo use karna chahate hai uspar click kare Aur right side me ok button par click karde.

tap-on-add-voice

Now friends ab aapki photo successfully upload ho jayegi.  Aur yaha par dikhne lagegi ab aap chahate hai ki aapko jo fake call aaye usme aapko kisi ki voice yani aawaj bhi sunai de to isske liye aap issme koi bhi audio recording Ya koi song bhi upload kar sakte hai

isske liye aapko add voice pe click karna hai ab yaha aapko apne mobile ki sabhi audio recording and song dikhege ab Inmese jis song ya audio recording ko use karna chahate hai uske aage wale box par click karde Aur uper right mark par click karde.

tap-on-more-setting

  • Ab friends aapne almost sabhi kaam kar diya hai aapne uska name number Aur photo set kar diya hai jiske name se aapko fake call aayega aur us calls me aapko konsi voice sunai degi aapne vo bhi select kardi but abhi bhi aapko Aur option ka use karna hai to yaha more setting par click karde. Yaha par aapko bhut se option dikhege.

now-you-can-see-many-option-in-more-setting

1. Agar aap call me kisi ka number nahi dikhna chahate hai to iss option ka use kar sakte hai.

2.Aap chahate hai ki jab aapko fake call aaye tab aapka phone vibrate ho to iss option par ka use kar sakte hai.

3.Yaha se aap vo ringtone ya song select kar sakte hai jo aap chahate hai ki aapko jo fake aate time play ho.

4.Agar aap chahate hai ki ye fake call aapko ek se jayeda baar aaye yani aap ek baar ye call cut karde to fir ye dubara aaye hai to ye repeat option ka use kar sakte hai.

5.Aap yaha jitna time select karege utne time baad call automatically cut ho jayega.

6.Yaha pahle se incoming hai and iss option me koi change na kare isse incoming hi rahne de.

tap-on-select-phone

In sabhi option ka sahi se use karne ke baad fir back me jaye Ab yaha Aapne sabhi option ka sahi se use kar kiya hai Ab sirf ek option bacha hai yaha select phone yaha pahle se aapke mobile ka name dikhega agar yaha aapko apne mobile ka name na dikhe to iss option par click karde sb Aapko bhut se phone ke name & dilor dikhege yaha se aap apne phone ka dior choose karne ke baad usspar click karke select karde.

tap-save-and-make-call

Ab sabhi option use karne ke baad yaha save & make call option par click karde.

select-call-time

Ab yaha aapko time select karna hai ki aap kitne time baad ye fake call received karna chahate hai yaha aapko 10 second, 30 second,  1 minute , 15 minute etc option dikhege aap Inmese koi bhi time select kar sakte hai

agar aapko Inmese koi bhi time select nahi karna hai aur apne hisab se time set karna to yaha par sabse last me pensil icon par click karke aap apne hisab se time and date bhi select kar sakte hai Aur jo time yaha aap select karege aapko utne time baad fake call aayega.  Ab maan lete hai ki aap yaha 30 second select karte hai.

tap-on-save

  • Ab yaha par 30 second ka timer start ho jayega ab yaha save par click karde.

now-you-get-a-fake-on-your-mobile

Aur 30 second hone ke baad yaha par aapko vo fake call aayega jo aapne set kiya hai Aur aap ye call received karege to aapko vo voice sunai degi jo aapne select ki hai jaisa ki aap uper screenshot me dekh sakte hai.

Iss tarah friends aap asani se apne mobile par fake call kar sakte hai.

Apne Mobile Par Fake SMS Kaise Karte hai – Get a Fake sms on your phone

friends jaisa ki maine aapko post ke starting me hi bataya tha ki yaha me aapko fake call sms karne ka tarika batane wala hu to ab aap seekh gaye honge ki fake calls kaise karte hai but abhi aap janna chahate hai ki apne  khudke ke mobile par fake sms kaise received kare to isske liye niche bataye instruction ko follow kare

tap-on-fake-sms

Friends 1st me maine aapko jo fake call sms app bataya hai ussi se aap fake sms bhi kar sakte hai isske liye aapko koi other app download karne ki jarurat nahi hai. To iss fake  call app jo aapne apne phone me install kiya hua hai usee open kare ab yaha 2nd option fake sms par click karde.

write-your-friend-name-number-and-message

1. yaha name me apne friend ya us person ka name dale jis name se aap message received karna chahate hai

2. Aur number me apne friend ya kisi ka number dale yaha jo number dalege ussi number aapko fake sms aayega.

3. Yaha par aap vo message likh sakte hai jo aap chahate hai ki aapko fake sms me dikhe yaha par aap jo text ya message likhege vo aapko jo fake sms aayega usme yahi message dikhega.

4. Yaha attachment icon par click karke aap iss sms me photo video attach sakte hai.

5. agar aapko iss sms me photo add karna to iss photo icon par click karke add kar sakte hai.

select-message-schedule

Ab in sabhi option ko use karne ke baad aapko yaha show received time option dikhega yaha se aap vo date and time select kar sakte hai jis date & time par aap ye fake sms received karna chahate hai show received time par click kare

ab yaha date select kare jis date par aap ye fake message apne mobile par prapt karna chahate hai date select karne ke baad ok par click karde.

ab yaha aapko clock dikhega yaha se aapko time select karna hai pahle hours select karne ke kare aur ok par click kare Aur fir yaha se minutes select kare aur fir ok par click karde yaha jo time select karege utne time par hi aapko fake sms milega.

tap-on-save-and-make-message

  • Ab time select karne ke baad yaha save & make message option par click karde ab aapko yaha change sms app likha dikhega yes par click karde.

saved-in-message-history

  • Ab yaha aapko saved in message history likha dikhega

now-you-get-fake-message-in-your-mobile

Ab friends aapne jo time & date select ki thi utne time par aapko vo fake sms mil jayega. Aur ussme aapko vo message bhi likha dikhega jo aapne likha tha jaisa ki aap uper screenshot me dekh sakte hai.

Iss tarah friends aap aasani se apne mobile phone pe fake call sms kar sakte hai.

Dosto Apne Mobile Pe Fake Call Kaise Karte Hai. How To Get A Fake Call SMS On Your Mobile, Apne Mobile Par Nakli Call Kaise Kare ye ab aap seekh hi gaye honge agar ye article aapko accha laga to niche share button par click kar iss article ki apne friends ke sath social media sites par share jarur kare Aur essi or bhi android se related tricks ke liye humari site par visit karte rahe.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here