Mobile Ko CCTV Camera Kaise Banaye ( smartphone convert cctv )

2
smartphone ko cctv camera kaise-banaye mobile convert into cctv

Purane Mobile ko CCTV Camera Kaise Banaye, Hello friends, aaj me apko ek important topic bata raha hu jiska use karke  aap Apne Android SmartPhone ko Web Cam ya Spy Camera me Convert kar sakte hain.  isska use karke Agar aapke Computer me koi CCTV/Webcam nahi hai to aap apne mobile ko hi cctv camera bana sakte hai.

aaj kal essa sayad hi koi ho jo mobile ka use na karta ho almost sabhi logo ke pass apna smartphone rahta hai lekin jaise jaise aapka phone old hota jata hai vaise hi aap usko  use karna band dete hai ya new smartphone buy karne ke baad apne old phone ko puri tarah se bhul jate hai lekin aap apne purane mobile se bhi bhut se kaam kar sakte hai. 

apka old smartphone hai or aap uska use nai kar rahe ho ya fir WO bahut old version me hai ya fir phone hang hota matlb bahut reason hai Jo me yaha par ni bata sakta kyuki batane me bahut time lagega isliye maine short me bata diya hai

to dosto ab me apko simple si tricks batata hu kaise aap apne old smartphone ko CCTV camera me kaise use kare matlb kaise bi smartphone ko CCTV camera  me kaise convert kar sakte hai chaiye WO old ho ya new ho bas apko  ye method janana hai.

Apne Phone Ko CCTV Camera Me Kaise Convert Kare Puri Jankari Hindi Me

Contents

Maine Facebook aur google me bahut bar dekha hai log akser ye search karte rahte hai old smartphone ka hum kaha use kare WO isliye ab latest version ke samne old version ki koi value ni hai ab old version k liye apk khatam hote ja rahe hai.

matlb WO ab multimedia ke barabar hai. jaise keypad phone hote hai bas ek name hai WO smartphone hai isliye log unka istmal karna band kar rahe hai but bahut log aise hai Jo soch rahe ki hum kisi na kisi kam me to usse  use kare.

smartphone ka use aap bhut acche tarike se karna chhate hai jisse aapka paisa bhi karch na ho or aap uska pura fayda utha sake to aap apne mobile ko spy ya webcam bana sakte hai. sabhi smartphone me hume front and back side me camera milta hai ye jaruri nahi hai ki aapke phone ka camera jayeda megapixel ka ho. aapke phone ka camera kitne bhi megapixel ka ho aap use webcam ki tarah use kar sakte hai

Mobile Phone Ko CCTV Camera Kaise Banaye Step By Step Jane

Dosto abhi aap bhi apne phone ko cctv camera me convert karna chahate hai to isske liye aapko apne phone me ek app ka jiska name ip webcam hai usse install karna hoga vaise to aur bhi webcam app internet par available hai

lekin unmese jayedatar app sahi tarah se work nahi karti hai. yaha par me aapko jis app ke bare me bata raha hu wo work karti hai aur use aap easily use kar sakte hai.

  • Sabse pahle aap play store me jaye aur IP webcam search kare fir download kare aap yaha se bi download kar sakte hai.

Download iP Webcam

phone ko cctv camera me convert karne ka tarika hindi me

  • Ab aap IP webcam ko install karne ke baad isse open kare.

tap-on-Start Server-Ip-web

  • Ab apke samne bahut sare option hai apko kuch ni karna bas aap sabse niche jaye aur waha par  start server ka option dikhega  uss par click kare

now-you-can-the-web-ip-address

  • Ab aap dekhnge camera start ho chuka hai matlb recording hona start ho chuka hai ab aapko niche http://192.168.137.15:8543 iss type ka ek ip address dekhega uspar tap karke hold kare

Note-Bina internet data ke ye work ni karga aap chaiye to WiFi Ka use kar sakte hai.

how to convert mobile into cctv camera

  • fir aapke samne kuch options  aa jayege jinmese se aapko copy ip to clipboard par click karna hai jisse vo ip link address copy ho jayega.

mobile ko cctv camera banaye

  • Ab apko ye ip address desktop computer ke browser  me dalna hai matlb apke pass computer hona jarruri hai aap is link ko koi bi browser jaise google chrome, mozila, opera mini etc me web address ki jagah paste karke enter key dabaye.

tap-on-java-script

  • Ab apka samne ek page open hoga waha par bhaut sare option dikhege issme aapko javascript par click karna hai. ab now aapka webcam ready ho chuka hai. aur apne mobile camera ko jaha bhi hoga aur usme jo recording hogi vo aap yaha par dekh sakege.

iss tarah friends aap asani se simple steps ko follow karke apne android phone ko CCTV Camera me convert kar sakte hai 

 

Important – 

computer aur internet ke bina ye tricks work nahi karegi to main point yahi hai apke pass dono chez honi chaiye.

Dosto ye trick un logo ke liye jayda helpful hai jo free me apne ghar ya office me spy ya webcam lagana chahte hai. or unlogo ka mobile old ho chuka hai to vo asani se iss trick ka use karke apne mobile ko sahi tarike se istemaal kar sakte hai. isse jaruri nahi ki aap apne computer me hi use kare aap kisi kisi bhi jagah jaise apne friends ke pc ya netcafe se bhi CCTV footage dekh sakte hai

friend ye Android Mobile Ko CCTV Camera Kaise Banate Hai wali ye trick aapko kaisi lagi agar apko iss post me bataye instruction ko follow karne me koi problem aati hai to aap comment me bata sakte hai aur agar aapko ye trick acchi lage to issko social media par share karna na bhule or essi or bhi post read karne ke liye abhi humari site ko subscribe kare.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here