Mobile Phone Root करने के बाद क्या करे – Full Detail After Root In Hindi

2
mobile phone root karne ke baad kya kare full detail after root in hindi

Android Mobile Root Karne Ke Baad Kya Kare, Phone Ko Root Karne Ke Baad Kya Kare . Hello friends, Agar aapne apna phone root kar liya hai to ab aap soch rahe hai mobile ko root karne ke bad kya kare to aaj me Apko iss article me yahi batne wala hu  and agar aapne apna mobile root nahi kiya hai to humne pahle hi isski post ki hui hai

Apko 2 method wali post milegi PC and without PC wali agar apke pas pc hai to PC wali post follow kare and computer nahi hai to without PC wali post follow kare. Aapko yaha niche 2 post link dikh rahi hai 1st mobile and 2nd computer wali hai aap jis bhi device ka use karna chhate hai usski post link par click karke read kar sakte hai.

Root karne ka maksad kya hai ?

Contents

Root karne ka maksad bahut hai. main Apko kuch important point batata hu and jab apka mobile hang hota hai to aap sochte hai isse hang hone se kaise roke aap kahi na kahi iske bare me puchte rahte hai jisko iske bare me pata hota hai WO sidha root karne ke bare me bolta hai

aur jab kisi ko nahi pata hota to WO sirf yahi kahta hai phone reset karde lekin reset karne ke bad bi mobile hang hota hai.  and  ye issliye hota hai kyoki uski  RAM ya internal storage bahut kam hoti hai  isly WO hang jayda hota hai.

matlab iska solutions yahi hota hai ki aap apna phone root kar le aur uski RAM aur internal storage badha le and dusra important point ye hota hai ki aapke mobile ka  version bahut low hota hai jaise gingerbread, jellybean wala version hota hai

jisse bahut se app install ya run ache se nahi hote to aap phone ko update karte hai to koi option ni aata hai Matlab ye likha aata hai ” your system is the latest version” tab aap usse update nahi kar sakte jiski wajah se apke usme jaydatar app work ni karte and in sabse bachne ke liye Aapko phone root karna padhta hai and ussme software install karne padhte hai.

What to Do After Rooting Mobile Phone In Hindi

agar aapne apna device root kar liya hai or ab aap soch rahe ho ki mobile phone root karne ke baad kya kare to aaj main aapko 5 important point bata raha hu Jo apke liye bahut hi jarruri hai isse follow karne ke baad aap apne mobile ko bahut ache se work kara sakte hai.

Mobile Phone Root Karne Ke Baad Kya Kare Root Karne Ke Baad Top 5 point

1. Upgrade Latest version

Jab hum koi mobile buy karte hai to usme Jo version hota hai hum usse tab tak update kar sakte hai. jab tak company usme update dete hai matlb device  launch hone ke 2 year baad koi update nahi aata hai aur aaj ki duniya me technology ki kami nahi hai

aur daily new-2 feature aate rahte hai isly Hume new features pane ke liye phone root karna padhata hai and bahut se mobile aise hote hai jisme bahut si application work nahi karti jisse latest software dalna padhata hai fir application work karti rahti hai.

and mobile ko root karne ke baad aap use koi bhi latest version jaise kit-kat, lolipop, marse-mellow, nougat, oreo me upgrade kar sakte hai.

2. Increase RAM

Jab phone old ho jate hai ya fir 1GB ram se kam hai to wo bahut hang hote hai and root karne k bad aap uski ki RAM increase kar sakte hai. iske bare main jald hi post likhunga RAM kaise badhaya aap hmari site ki update pane ke liye subscribe kare.

3. Increase internal storage

Bahut se smartphones ki internal storage jaldi bhar jati hai matlab space bahut kam hoti hai agar humara phone root hai to hum internal storage badha sakte hai uske memory card ki jarrut padegi kyuki memory card ki storage phone ki storage me install ho jati hai and agar aap internal storage nahi increase karna chayte hai to aap jitne bhi app hai unko memory card me install kar sakte hai aur apki internal storage space bhi kam nahi hoga.

4. Extend battery life

Agar aapke mobile ki battery bahut kam chalti hai to aap root ke bad uski battery life increase kar sakte hai bahut se application hai play store me Jo rooted phone me work karti hai Maine abhi tak koi application try nahi ki hai isly me apko nahi bata sakta main aapko suggest karunga aap google me apne mobile ki company name ke sath search kare rooted phone battery life app aur Jo bi pahle aaye usse download karke increase kare battery life.

5. Remove system application and I’d changer

Aapke mobile me bahut se essi application hoti hai Jo apke liye bakwass hai lekin ye pre-installed app yani system application rahti hai jinhe aap remove nahi kar pate hai to aap  phone root karne ke baad kya kare ye sochte hai to aapko sabse pahle ye hi kaam karna chahaiye rooted mobile me system apps kaise remove karte hai ye janne ke liye aap ye post read kare.

agar apko apne mobile ka IMEI number change karna hai ya fir android I’d change karna hai to aap rooted karne ke bad kar sakte hai iske 2 application hai IMEI number change and android I’d changer inhe play store me search kare fir download karke change kar sakte hai.

friends phone root karne ke baad kya kare wali ye post aapko  agar achi lage to social media par apne friend ke sath share kare aur  essi technology  se related or bhut si post read karne ke liye humari site allhindihelp ko visit karte rahe.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here