Kisi Bhi Mobile Phone Se Gif Animation Kaise Banaye Step By Step jane

2
android-mobile-phone-se-gif-animation-image-kaise-banaye

Hii friends kisi bhi android phone se gif animation image kaise banaye, mobile se gif animation kaise banate hai ye main aapko iss article me batunga. Friends gif animation kya hai ye aapko pata hi hoga. Agar nahi pata to main aapko batata hu ki ye ek essi image hoti hai

jissme aap 2 ya 4  ya jitni chahe utni photos ko ek sath dikha sakte hai. Matlab ek ke baad ek photo show kara sakte hai aur ye gif animation video ki tarah hi hota hai lekin ye kuch second ka hota hai aur issme voice nahi aati hai.

Android Phone Se Gif Animation Image Kaise Banaye ?

Contents

Android mobile use lagbhag sabhi log use karte hai issliye aaj main aapko mobile se gif animation create kaise kare ye batunga. Isse aap asani se apne mobile me hi gif imge bana sakte hai to chaliye jante hai

lekin isse pahle me aaoko batana chahunga ki agar aap apni video ko gif me convert karna cahate hai to vo bhi bhut hi aasani se kar sakte hai isske bare me maine pahle se hi apni ek post me bataya hua hai jise aap internet ya android category me jakar read kar sakte hai.

How to Create Gif Animation Image Using Mobile Phone In Hindi

  • Sabse pahle aapko apne phone me gifme camera name ka ek app download karna hai isse direct download aap yaha se kar sakte hai.

Download

  • Ab iss app ko install karne ke baad open kare.

gif animation banane ka tarika hindi me

 

  • Yaha aapkp camera or import or videos ka opetion dikhega main aapko image se gif animation create karne ke bare me bata raha hu issliye aap camera ka use karke apni photo capture kar sakte hai nahi to aap galley me se koi bhi photo select karne ke liye import par click karde or galley mese koi bhi 2 ya 2 se jayda photo choose karke done par click karde.

pahli-icon-par-clik-kare

  • Ab aap jaise hi select par click karege aapki 2 image  automatically tim tamana start ho jayegi yani 1 ke baad 1 dikhne lagegi. Jaisa upr dekh sakte hai Ab aapko  yaha effect dikhege jis bhi effect ka use karna chahate hai uspar tap karde. pahli  icon par click karne ke baad aapko kuch option dilhege jinka use karke aap apni image ko adjust kar sakte hai.

tap-on-plus-icon

  • Ab dusre wale icon par click karne ke baad aap photo ko drag karke pahli photo ki jagah dusri or dusri ki jagah pahli photo la sakte hai jo aapne select ki thi or + par click karke aap or bhi photo ko add kar sakte hai.

animation-speed-reduce-and-increase

  • Ab speed icon ka use karne ke liye aap uper video ko follow kar sakte hai speed icon se aap apni photo ki speed ko fast and slow kar sakte hai.

write-text-and-choose-font

  • Text ka use karke aap issme me text yani kuch likh sakte hai or us text font bhi choose kar sakte hai.

gif animation image kaise banate hai mobile phone se

  • Goggles icon par click karke aap apni issme animated text add kar sakte hai.

add-border-area

  • Last wali icon border icon hai jisspar tap karke aap apni gif animation image me border add kar sakte hai uper video dekh sakte hai.

gif animation image kaise banaye

  • Ab aapko uper download icon par click karna hai fir aapke samne Kuch option aa jayege jinme se aap iss ko share kar sakte hai and ise save karne ke liye aap save into album  par click karde. 

ANIMATION-IMAGE
Iss tarah friends aap asani se apne mobile phone se gif animation image bana sakte hai. jo uper animation jaisi dikhegi.

Friends I hope aapko ye post acha laga isse apne dosto ke sath social media par jarur share kare or aapko iss post me kuch samjh na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi humari site ko allhindihelp ko subscribe kare..

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here