Tez Se Online Electricity Bill Payment Kaise Kare ? Pay Bill Using UPI

1
online electricity bill payment kaise kare tez app se puri janakari hindi me

Online Electricity Bill Payment Kaise Kare, How To Pay Electricity Bill Online In hindi, Online Bijli ka Bill Jama kaise Kare , Tez App Se Online bills payments Kaise Karte Hai. Dosto agar Android Mobile user hai to aap apne mobile se bhi bhut se kaam kar sakte hai jaise mobile recharge, Bills payment, money transfer etc and aaj me aapko mobile se online electricity bill payment kaise karte hai issi ke bare me batane wala hu.

Abhi bhi bhut se log esee hai jo kai ghante tak line me lagkar bijli ja bill jama karte hai. Kyoki unhe pata nahi hota hai ki hum online apne mobile se hi electricity bills ka payment kar sakte hai. Aaj kal sabhi kaam online ho raha hai.

Aur internet ka use karke aap online flight ticket booking se lakar ab train, bus and taxi ki ticket bhi book kar sakte hai. aur ye sabhi kaam apne android smartphone se hi kar sakte hai.

Mobile Se Online Electricity Bill Payment Kaise Karte Hai

Contents

Bhut si city and village me electricity office ka distance 30 se 40 km hota hai Aur log itni dur jakar Aur wahar par ganto tak line me lagkar apna bijli ka bill jama karwate hai. But aap electric office ya center jaye bina bhi Ghar Baithe online electricity bill payment kar sakte hai Aur isske liye aapko koi extra charges bhi nahi dena hota balki isse aapko fayda hi hota hai.

Yani aapko 50 se 100 rs ka cashback milta hai and sabse important baat ki aapka precious time bachta hai. Online electricity bill payment karne ke liye jaruri nahi hai ki aapke pass computer ya laptop hi ho aap apne mobile se bhi bills payment kar sakte hai.

Aur aapke paas bills payment karne ke option bhi bhut se rahte hai jaise aap paytm se bijli ka bill jama kar sakte hai. Mobikwik Aur phonepe app se bhi online electricity bill payment kar sakte hai ese hi Aur bhi mobile wallet hai jinse aap online light bill jama kar sakte hai.

Online Bijli Ka Bill Kaise Jama Kare Using Tez Upi App

Dosto aap tez upi app ke bare me to jante hi honge ye google dwara launch kiya gaya upi based app hai.  Upi app se payment karna bhut easy and secure hai and aapki sabhi information puri tarah se secure rahti hai. Google tez app me refer and earn Aur scratch card reward bhi milte hai.

Yani aap agar tez app se electricity ya koi bhi bills payment karte hai to aapko 50 se 1000 rs tak cashback bhi mil sakta hai to friends ab aap agar tez se apna bijli ka bill jama karna chahate hai but tez app ke bare me aapko nahi pata hai to aap yaha niche link par click kar post read kar sakte hai.

Tez app se aap all states ke jitne bhi electricity Board hai un sabhi ke bill pay kar sakte ho jaise Madhya Pradesh ( MP) me Bhopal electricity ( MPMKVVCL) , Uttar Pradesh (UP) me Noida Power, Andhra pradesh me Eastern power (APEPDCL),  Bihar me North Bihar power Distribution, Chhattisgarh me CSEB Chhasttisgarh, Delhi me BSES Rajdhani etc

Online Electricity Bill Payment Karne Ka Tarika Hindi Me

Agar aap Google tez app se apna electricity bill pay karna chahate hai to tez app me aapka bank account add hona jaruri hai. Tez app me bank account link karne ke liye aapke pass bank account aur debit card yani atm hona jaruri hai

Aur aapke bank account se registered jo number hai vo aapke phone me hona jaruri hai aur fir aap apke bank account ko tez app me add kar sakte hai isske bare me maine already google tez app kya hai Aur kaise use kare wali post me bataya hai jisse aap uper link par click kar read kar sakte hai.

Online Bijli Bill Kaise Jama Kare Step By Step Jane

tap-new-option

  • Sabse pahle tez app me jaye aur yaha aapko payments ke niche new option dikhega uspar click karde.

tap-on-more-option

Ab yaha aapko suggested business me bhut se service provider dikhege  agar aap chahe to electricity bill ke alawa dth, postpaid connection etc yani bills ka bhi payments tez se kar sakte hai

ab aapko yaha apne state ka electricity Board  ka name find karna hai agar yaha aapko apne electricity bills provider ka name nahi dikh raha hai to right side me scroll kare fir yaha aapko more option dikhega isspar click karde.

select-your-electricity-board

  • Ab aapko yaha sabhi service provider dikhne lagege ab aapko yaha apne state ka electricity Board ko find karna hai yani agar aap mp state se hai to aapko bhopal electricity Board  select karna hoga esse hi agar aap uttar pradesh se hai to naida power board par click karke select karde.

tap-on-get-started

  • Ab apne state ka electricity Board select karne ke baad aapko apne account ko yaha add karna hoga get started par click karde.

enter-your-consumer-number-and-account-name

1. yaha consumer number me aapko apna 7-15 digit ka consumer number ya consumer id dalni hai ye consumer number bill me likha rahta hai issliye apne bijli bill me dekhe waha aapko 7 se 15 ank ka consumer number dikhega vo yaha dale

2. aur account name me aap kuch bhi likh sakte hai ya yaha account name me apna name likhe.

3. consumer number and account name fill karne ke baad right arrow par click karde.

tap-on-link-account

  • Ab aapne jo details fill ki hai vo yaha aapko dubara dikhegi agar aapne galti se galat consumer number enter kar diya hai to change kar sakte hai aur sab information sahi hai to link account par click karde.
  • Ab yaha aapko apna pending bill amount dikhega yani aapko bijli ke bills ka kitna bhugtan karna hai vo amount yaha aapko dihega pay bill par click karde.
  • Ab aapko tez app se link bank account dikhega agar aapne 1 se jayeda bank account add kar rakhe hai to iss bank account par click karke dusra account select kar sakte hai aur agar aapka 1 hi bank account tez se link hai Aur ussi se aap apne electricity bill ko pay karna chahate hai to proceed to pay par click karde.
  • Ab aapko apna upi pin enter karne ke liye bola jayega upi pin enter karne ke baar right mark par click karde.
  • Ab processing chalne lagegi aur fir aapko paid likha dikhega isska matlab ki aapka electricity bill successfully pay ho chuka hai.
  • Ab aap tez app ko open kare aur yaha reward me jaye yaha aapko scratch card mile honge 1 scratch card me aapko 50 se 1000 rupee tak ka reward mil sakta hai aur better luck next time bhi mil sakta hai aur dusre scratch card me aapko 3 guna cashback tak mil sakta hai.

Iss tarah aap easily tez app ka use karke apne Bijli Bill Online Pay kar sakte hai

Online bills Payment karte time Dhayaan Rakhne Wali Baate –

1.Online electricity bills payment karte time apna bijli ka bill sath me rakhe kyoki usme hume payment karte time consumer number dalna hota hai Aur us number ka 1 bhi digit yani ank galat ho jayega to dusre ka bill jama ho jayega aur aapka bills pending yani bakaya hi rahega issliye aapko 7 se 15 digit ki bikul sahi sahi consumer id dalni hai.

2.Kabhi bhi public wifi ka use karke online bills payment ya koi bhi online payment na kare kyoki agar aap public wifi ka use karke koi bhi online payment karege to aapki details secure nahi rahegi. Issliye apne mobile ke data ya apne khudke broadband connection se hi online electricity bill payment kare.

Dosto Tez App Se Online Electricity Bill Payment Kaise Karte Hai In Hindi, Online Bijli Ka Bill Kaise Bhare, Bijli Ka Bill Jama Kaise Kare, How To Pay Electricity Bill Online Using Tez In Hindi, Mobile Se Bijli Ka Bill Jama Kaise Karte Hai, Online Light Bill Jama Kaise Kare ye ab aap seekh hi gaye honge agar aapko ye post accha laga and ye article aapke liye useful and helpful raha to isse apne friends ke sath social media sites par share jarur kare aur essi or bhi intresting post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here