Paytm BHIM UPI Kya Hai Aur Kaise Use Kare Full Detail In Hindi

9
paytm bhim upi kya hai Aur kaise use kare full detail

Paytm BHIM UPI kya hai Paytm BHIM UPI Se Bank Account Link Kaise Kare Paytm BHIM UPI ko kaise use kare. Dosto agar aap paytm user hai to aap jante hi honge ki paytm ne apne app me BHIM UPI ka option add kar diya hai agar ye option aapke mobile me show nahi ho raha hai to aapne paytm app ko update nahi kiya hai ye feature new update me hi diya hai issi liye ye app update karne ke baad hi ye option aapko dikhega.

Paytm BHIM UPI Kya Hai Puri Jankari Hindi Me

Contents

Friends UPI jisaka full form unified payment interface hai mobile se digital payment karne ka bhut hi popular tarika banta ja raha hai. isse aap apne bank se kisi ke bhi bank me instant money transfer kar sakte hai. Ye digital payment karne ka jitna fast method hai utna safe bhi hai. Bhim app bhi upi app hai. Jisaka use karke aap easily kisi ko bhi money send kar sakte hai or kisi se bhi money received kar sakte hai.

Bhim app mobile phone ke dwara cashback payment and transaction karne ki bhut hi popular app hai. Jisse 30 December ko Narendra Modi dwara launch kiya gaya hai. upi payments ko badawa ke liye sabhi banks ne apne bhim apps bhi launched kiye huye hai jinhe aap google play store se download kar sakte hai. Or issi ke chalte paytm ne bhi apne app me ab bhim ka option add kar diya hai.

Aapko ye pata hi hoga ki ab aap paytm payment bank me account bhi open kara sakte hai. So ab jin logo ka payment bank me account hai ya jinka account nahi hai sabhi paytm Bhim ko use kar sakte hai. Paytm bhim ka use karke aap other UPI Apps jaise phone pay, Google tez etc ki tarah hi kisi ki bhi upi id number ya bank account me money send kar sakte hai or apni upi id dekar bina account number Or ifsc code diye kisi se bhi bank me money recived kar sakte hai.

Paytm BHIM UPI Ko Use Kaise Karte Hai – Full Detail

Friends other upi app ki tarah aapko paytm bhim upi ka use karne ke liye apne bank Ke debit card yani atm or bank registers number ki jarurat padegi. yani aapka account jis bhi bank me hai us number ki sim aapke mobile me hona jaruri hai and aapke bank account ka number and paytm ka number bhi same hona jaruri hai tabhi aap paytm bhim upi ko use kar sakte hai

or isme aap apne kisi bhi bank account jaise axis , hdfc , state bank of india , punjab national bank , punjab and sind , kotak bank etc almost sabhi banks ko link kar sakte hai. 

Paytm BHIM UPI Se Bank Account Link Kaise Kare

  • Sabse pahle aapko apne paytm app ko update karna hoga kyoki ye feature new update me hi mil raha Hai issliye abhi Tak aapne apne isko update nahi kiya Hai to Google play store me Jaye or app ko update kare.

tap-on-bhim-upi

  • Paytm app update karne me baad ab use open kare or yaha hompage par aapko passbook wale option ke age BHIM UPI ka option dikhne lagega is option par click kare.

tap-on-select-all-other-banks-option

  • Ab bhim up par click karne ke baad yaha aapko kuch bank branch dikhegi agar aapko yaha apni bank ka name nahi dikh raha Hai to  select from all other Banks wale option par click karde.

now-you-select-your-bank-account

  • Ab now yaha aapko sabhi Banks dikhne lagegi aapka account jis Bhi bank me ho uske name par click karke select kare. jaise mera account punjab and sind  me hai to me uspar click karunga issi tarah aapka account bhi jis bank me ho uspar click karke select kare.

select-sim-which-number-registerd-by-your-bank

  • Ab aap jaisi hi apni bank ko select karege aapko yaha mobile number verify karane wala option dikhega jaisa ki Maine pahle hi  bola Tha ki aapke bank se Jo registered number Hai vo aapke phone me hona jaruri Hai. Yani us number ki Sim aapke phone me hona jaruri Hai. Yaha aapko apne mobile ki dual SIM dekhegi ab jis Bhi Sim ka number aapke bank account se registered Hai us Sim par click karde. jaise ki mera idea sim ka number banks se registered hai to me idea sim par click karke select karunga esse hi aap apni vo sim select kare jiska number aapke  account se registered ho.

Note – friends upi se bank account link karate time ek message jata Hai issliye aapka Jo number bank se registered Hai usme kuch balance hona jaruri Hai  jaise aapki Sim me 2 rs ya 5 rs balance hona jaruri hai.

verifying-your-mobile-number-processing

  • Ab yaha processing chane lagegi issme 2 se 4 minute Tak lag sakte Hai issliye thoda wait kare kyoki aapke bank registered number se message send kiya jayega and use fir verify kiya jayega issliye issme thoda time lagta Hai or jab processing complete hone kagegi to yaha aapko verifing your mobile number ki jagah faching your detail dikhne lagega.

congratulation-your-paytm-bhim-upi-created

  • Now processing complete hone ke baas yaha aapko congratulation your paytm bhim UPI address successfully created ka message dikhega.

this-is-your-paytm-bhim-upi-address

  • Ab aap homepage me jakar  bhimupi option par jaise hi click karege aapko yaha Qr code ke niche apna Paytm BHIM UPI Address dikhega jo yournumber@paytm hoga your number ki jagah yaha aapka number hoga or issi upi address se aap kisi se bhi money received kar sakte hai. or yaha aapko other option bhi dikhege.

now-you-can-see-send-money-request-money-qr-code-etc-options

1. BHIM QR code ka use karke aap kisi se Bhi money received Kar sakte Hai

2.  send money par click karke kisi Bhi paytm upi address par money send Kar sakte Hai

3.request money par click karke kisi se money send karne ke liye request Bhi Kar sakte Hai. means iss option ka use karke aap apne friends ya kisi se paise mang sakte hai.

4. scan & pay iss option ka use QR code se money send karne ke liye hota hai yani aapko kisi ko money send karna hai or usne aapko apne Bhim Qr code diya hai to iss QR code ko iss option ka use karke scan karke easily money send kar sakte hai.

Iss tarah friends aap aasani se paytm bhim upi se apna bank account link ya connect Kar sakte Hai.

Important – friends Maine aapko yaha Paytm bhim ko bank account se link karne ki Jo step batayi Hai kuch logo ko unse jayeda steps bhi follow karni pad sakti Hai kyoki Mere pass already upi address tha jisski wajah se mujhe dusra dubara set karne ki jarurat nahi padi

aap Bhi agar tez or phone pay ya bhim app ka use Kar rahe Hai to aapko Bhi dubara upi address nahi create karna hoga but Jin logo ne abhi Tak kisi Bhi upi app ka use nahi kiya Hai ya jinka account payment bank me Hai to unhe upi pin Bhi set karni hogi and fir aapka paytm bhim address aapke bank account se connect ho jayega.

Friends Paytm BHIM UPI Ko Use Kaise Karte Hai Paytm BHIM UPI Se Money Send Aur Received Kaise Kare, Kisi Bhi Bank Account Se Paytm BHIM UPI Link Kaise Kare I hope aapko in sabhi sawalo ka jawab mil gaya hoga or agar aapko ye post accha lage to isse friends ke sath share jarur kare or essi or Bhi se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

9 COMMENTS

  1. Hi me bhim upi se apna account link karne ki bhohot try kar rahi hu…ho nahi raha…mera kyc bhi ho gya hai…msg send hi nahi ho raha hai..plzz help me

    • aapka jo paytm number hai aur aapke bank account se jo number registered hai vo same hona jaruri hai. aur us number ka sim card aapke mobile me hona jaruri hai tabhi aap paytm bhim upi se apna account link kar sakti ho.

  2. рдореБрдЭреЗ рдкрд╛рдареНрдпрдо рдмрдирд╛рдирд╛ рдирд╣реАрдВ рдЖрддрд╛ рд╣реИ рдХреИрд╕реЗ рдмрдирд╛рдпреЗ

    • рдЖрдк рдХреНрдпрд╛ рдкреВрдЫрдирд╛ рдЪрд╛рд╣рддреЗ рд╣реИ рдереЛреЬрд╛ рд╡рд┐рд╕реНрддрд╛рд░ рдореЗрдВ рдкреВрдЫреЗ

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here