Google Play Store Se Installed Apps Ko SD Card Me Save Kaise Kare

11
play store installed apps sd card me save kaise kare

Hii friends Google Play store Se installed apps ko SD card me save kaise Kare, play store ke apps sd card me install kaise kare ye me aaj aapko iss post me batane wala hu. Dosto agar aap android phone user hai to aap google play store ke bare me jante hi honge issme aapko millions ki sankhya me games and application milte hai

Jo aapke mobile ke liye bhut helpful hote hai android phone ke popular hone ka main reason play store hi hai. isske application section me aapko photo editor, live TV , social messaging, games etc sabhi tarah ke apps milte hai.

play store me hum jin apps ko apne mobile me download karte hai vo humare phone ki internal storage me save hoti hai aur agar aapke phone ki internal storage 16gb ya isse kam hai to kuch hi apps ko phone me install karne ke baad uski internal storage full ho jati hai

issliye bhut se log apps ko sd card me kaise bheje ye search karte rahte hai to iss post me aapko mobile me installed apps ko memory card me move kaise kare isske bare me to batunga hi sath me play store ke installed apps ka sd card me backup kaise le isske bare me bhi batatunga.

Apps Ko SD Card Me Download & Install Kaise Kare ?

Contents

Dosto aapne dekha hoga ki jab bhi aap Google play store se koi apps download karte hai to vo direct install hoti hai and vo SD card me save nahi hoti hai yani ki download nahi hoti hai. jabki aap 9apps ya mobo market se koi application ya game download karte hai to vo memory card me save ho jata hai.

lekin jayedatar bhut se log play store se hi apps & Games download karte hai kyoki ye google ka hi product hai or kisi bhi third party site se application download karna me risk bhi rahta hai issliye play store se bina risk ke use kar sakte hai.

but issme logo ko problem tab aati hai Jab unhone google play store se koi apps download kiya to vo direct  phone me install hota hai or SD card me save nahi rahta issliye kabhi unhone vo application uninstall kar diya to vo permanently delete ho jata hai or usse dubara install karna hota hai.

agar aapko bhi essi hi problem hai or aap apne play store se downloaded apps ko SD card me save karna chahate hai to sahi jagah par hai

aur agar aapke android mobile ki internal storage bhut kam hai aur aap chahate hai ki play store se apps memory card me install ho to iska tarika bhi bhi share yaha par share kiya gaya hai 

Google Play Store Se installed Apps ko SD card ya Memory card me Save Kaise Kare

  • sabse pahle aap Google play store me jaye or waha es file explorer file manager search Kare or usse install Kare. ya aap direct es file explorer yaha ye download kar sakte hai.

ES File Explorer Download

tap-on-apps

  • Es file explorer install Karne ke baad usse open Kare. yaha apps option dikhega uspar click Kare.

tap-on-installed-apps-and-installed-on-phone

  • ab aap user apps par click Kare yaha aapko bhut se option dikege agar aapke mobile me Jo installed apps hai unko SD card me save karna chahate hai to installed on phone par click Kare ya agar SD card me application install hai unka backup Lena chahate hai to installed on SD card par click Kare.

select-app-and-backup
1. ab yaha aapko apne phone ki installed apps dikhegi aap jis bhi application  ko SD card me save karna chahate hai uspar hold karke rakhe yani uspar finger(ungli) ko dabakar rakhe ab vo application select ho jayega.

and aap ek sath 4 ya 5 ya jitni bhi apps ko save karna chahate hai uspar click Karke select karde.

2. ab aapko yaha niche backup ka option dikhega uspar click Kare.

backup-process-start

  • ab aapki phone apps SD card me save hona start ho jayegi. yani backup process chalne lagegi.

tap-on-backup-and-apps

  • Backup process end hone ke baad aapki apps ka backup ban jayega. ab aap apne phone ke SD card me jaye yaha backup par click kare or apps par click kare.

now-3rd-apps-backup

  • ab yaha aapko apni sari save ki gayi application dikh jayegi.

ab friends agar aapne koi application galti se uninstall kardi to aapko usse dubara download nahi karna hoga aap usse SD card me jakar without internet ke direct install kar payege.

Play Store Se Apps Sd Card Me Kaise Install Kare

mostly jin logo ke smartphone ki rom ( internal storage ) 16GB Ya 8GB hoti hai vo apne phone me jayeda apps ko install nahi kar pate hai lekin aap memory card ki help se storage ko extend kar sakte hai

aur isse aapke phone me jayeda internal storage ka use hoga aur aapka mobile slow ya hang bhi hoga. agar aap chahate hai ki google play store se aap jin apps ko download kare vo aapke memory card me install ya save ho to niche bataye steps ko follow karke essa kar sakte hai.

apne mobile ki setting me jaye waha par aapko data and storage wale option par click karna hai.

fir yaha par preferred install location wala option show hoga yaha par pahle se internal storage select hoga iss option par click kare aur sd card select karde.

Dosto ye mobile apps ko sd card me kaise install kare, play store installed apps ko SD card me save karne ka tarika aapko kaisa laga Hume comment ke through jarur bataye or essi tech se related info ke liye humari site par daily visit karte rahe.

11 COMMENTS

  1. Really google play store installed apps ko sd card me move karne ki bahut hi amazing trick share ki aapne dhanywad

  2. Aap ki ek help chahiye
    Aap ne ooper jo Download link dia hai iss ki kia trick hai link to zahir nahi mager phr bhi jab iss per click kare ge to download wali jagah pr pohnch jaen ge
    Ye kese mujhe plzz iss ki trick Do…..

    • isske liye maine ek post ki hai blog comment box me link add kaise kare wali aap vo read kare same method se aap kisi bhi word me link url ko add kar sakte hai.

    • mobile phone root karne ki detail already maine share ki hui hai jisse aap android trick category me jakar read kar sakte hai and phone root karne ke baad usme bhut si problems ho sakti hai. issliye aap apne new phone ko root na kar kisi old phone ko root kare or rooted phone ko koi bhi easily hack kar sakta hai.

  3. Par ye to hum bacup and restore app se bhi kar sakte h…
    Hume ye jaana h ki kaise play store se direct application ko sd card me download kare

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here