Ek Android Phone Ko Dusre Phone Se Remotely Control Kaise Kare

19
ek-android-phone-se-dusre-android-phone-ko-remotely-controil-kaise-kare-top-5-apps-in-hindi

Hii friends Ek Android phone ko dusre phone se remotely control kaise kare, Ek Phone Se Dusre Phone Ko Kaise Chalaye  ye main aapko iss post me batane wala hu. Friends agar aap apne mobile se dusre mobile ko control karna chahate  hai to asani se iss post ko pura read karke kar sakte hai. Yaha main aapko ek nahi balki 5 top apps ke bare me batunga

jinhe use karke aap apne phone ko dusre phone se remotely access kar payege. Computer se mobile, computer se computer  ya mobile se computer ko control karne ke bare me aapne bhut jagah padha hoga

lekin bhut se logo ke pass pc nahi rahta hai but android sabhi logo ke pass rahta hai issliye aaj main aapko android ki hi trick batane wala hu jiska use karke aap asani se apne ek android phone ko dusre phone se remotely connect kar sakege.

Remote Control Technology Kya Hai ?

Contents

Isse aap apne mobile se dusre ka mobile control ( niyantran) kar sakte hai. Aap apne mobile se dusre phone ko switch off, restart, file share, photos video view yani fully us phone ko access kar sakte hai.  remote control technology me aapka sara data server par upload ho jata hai or aap asani se dusre device ko access kar pate hai.

Ab aap soch rahe honge ki agar aapka sabhi data upload ho jata hai to ye secure rahta hai ya nahi to main aapko batana chahunga ye fully secure hai and aapka data puri taraf safe rahta hai. 

Jab aapka mobile dusre mobile se remotely connect ho jata hai tab aap jo bhi apne mobile me app ya kuch bhi use karte hai vo us dusre connected mobile me bhi show hota hai.  Isse aap apne phone ko kahi se bhi access kar sakte hai. ye bhut hi badhiya tarika hai jiska istemaal karke aap ek sath do phone ko operate kar sakte hai.

agar aap soch rahe hai ki ek mobile dusre mobile se connect kaise hota hai to isske liye internet, wifi, bluetooth ka use karna hota hai.

Ek Phone Ko Dusre Phone Se Remotely Control Kaise Kare – 5 Apps

Google play store par aapko ek phone se dusre phone ko control karne ke bhut si apps mil jayegi lekin yaha main aapko jo apps bata raha hu. Vo sabhi working app hai. Jinka use karke aap ek smartphone ko other smartphone se easily connect kar sakte hai.

Yaha main aapko 5 best apps ke bare me batane wala hu. jinka use karke aap tablet to tablet, computer to computer etc ko bhi connect kar sakte hai. aur bhut se feature in application me aapko milte hai.

Ek Mobile Ko Dusre Mobile Se Kaise Chalaye ?

1. Team viewer

Team viewer ek best app hai jisse aap kisi bhi device ko remotely control kar sakte hai. Issme aapko acchi security milti hai and aapka data spy hone ka khatra nahi hota.

Team viewer ka interface bhut accha and easy hai jo aapko easily samaz me jayga. Isska use karne ke liye aapko apne dono phone me team viewer download and install karna hoga issko direct download karne ke liye niche team viewer par click kare.

Team Viewer

Ab aapko issme username and password dalkar login karna hai fir aapko team viewer id milegi. Iss id ko aapko dusre phone jisse aap remotely control karna chahate hai usske team view id me dalna hai. Iss tarah aap asani se team viewer ka use karke us device ko access kar payenege.

2. An2An remote

Ye bhi ek bhut accha app hai issme aap ek android device se dusre android device ko control karne ke sath computer ko bhi acces kar sakte hai.

Issme aap bluetooth or wifi ka use karke kisi bhi device se other device ko remotely access kara sakte hai.

Computer me an2an ka use karke aap mouse ki tarah bhi  isska istemaal kar sakte hai. An2an app download karne ke liye niche an2an par click kare.

3. Aio remote

Aio remote se aap PC, Another Android, Tablet. Windows,Linux, Mac etc ko remotely access kar sakte hai isme bhi aap wifi or Bluetooth ka use karke sabhi device ko remotely access kar sakte hai. Issme aapko bhut se feature milte hai. Issme aap kisi bhi file ko browse kar sakte hai.

Computer me keyboard or mouse ki tarah use kar sakte hai. Or ye multi touch ko bhi support karta hai. issko download karne ke liye niche aio par click kare.

Download Aio Remote

4. Join by joao Android App

Join by joao app se aap ek sath ek se jayda android mobile bhi connect kar sakte hai issme aapko ek link milta hai ya generate karna hota hai 

jispar click karke aap kisi ko bhi join kara sakte hai or uska device access kar sakte hai ye ek accha app hai issme aap computer mobile window kisi bhi device ko access kar sakte hai.

5. Tablet remote

Ye bhi ek badiya app hai jisse aap another android ke sath tablet ko bhi control kar sakte hai. Issme aap kisi bhi tablet ko dusre tablet ya Android phune se remately connect kar sakte hai.

Tablet remove ko aap wifi bluetooth internet se use kar sakte hai. Issme aap other device ko remotely control karne ke liye command use kar sakte hai jaise- “Play”, “Next”, “Previous etc. 

I hope friends aapko ek mobile se dusre mobile ko kaise connect kare wala ye post accha laga isse apne dosto ke sath social networking site par jarur share kare

or aapko iss article me kuch samaz na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi allhindihelp site ko subscribe kare or latest post ki information apne email par received kare.

19 COMMENTS

    • yes aap humari site jaise apni website bana sakte hai isske liye sabse pahle aapko apna blog banana hoga fir usme template upload karni hogi and aap usse allhindihelp site jaida look de sakte hai isske liye aap blogging category ki post read kare… or ye site wordpress par hai issliye agar aap wordpress par apni site banate hai to aapko hosting or domain buy karna hoga jisske aapko 2000-3000 rupee per year pay karne honge.

    • isske liye apne mobile se dusre ke mobile me song download karke usse baja sakte hai. or ek mobile se dusre mobile ko control ke jo app iss post me bataye unka use kar sakte hai

    • ye apps ek mobile se dusre mobile ko remotely control karti hai and agar aapko kisi dusre ke mobile ki call recording sunni hai to usske liye app hidden call recorder app ka use kar sakte hai.

  1. Remote access se video calling jaisi features provide ni hoti kya?
    Jaise computer to computer remotly access krk samne wala kya kr rha hai dekh skte sun skte hai waise hi.

    • yes essa aap kar sakte hai isske liye aap jiss bhi device ko access karte hai usme camera hona chahaiye fir in remotely control apps ka use karke aap us device ke camera ko access kar samnne wala kya kar raha hai ye easily pta laga sakte hai.

    • ek phone se dusre phone gps ya location track karne ke aap gps tracker app use kar sakte hai play store par aapko bhut si gps tracker apps mil jayegi but unmse essi bhut hi kam apps hai jo work karti hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here