Sabhi Facebook Friends Ko One Click Me Unfriend Or Delete Kaise Kare

8
how to unfriend all facebook friends working trick 2017 in hindi

Hii dosto facebook par sabhi friends ko ek sath unfriend kaise kare ye me aapko iss post me batane wala hu. Facebook par sahi log apne friend badhane ke chakkar me lage rahte hai fir jab jayda friends bana lete to unhe unfriend karne me problem aati hai

aapki knowledge ke liye batadu ki aap facebook par only 5000 logo ko friend bana sakte hai 5000 se jayeda logo ko aap apni facebook id par add karna chahate hai to aapko isske liye apna page banana hota hai Ya apni id ko page me convert karna hota hai.

ye baat alag hai ki aap facebook par jitne chahe utne followers bana sakte hai lekin friends ki ek limit rakhi gayi hai aur us limit ko cross nahi kar sakte hai.

Lekin bhut se log chahate hai ki vo 5000 ke baad aur bhi  friends ban sake to sabse best or ek hi tarika bachta hai purane friends ko unfriend karne ka issliye aaj hum aapko issi ke bare me ek trick batane wale hai.

Facebook par sabhi friends ko ek sath Remove kyo kare isska fayda kya hai ?

Contents

Ab dosto aap bhi soch rahe honge ki ye kaisa question hua I mean ye me aapko kaise bata sakta hu ki aap apne all facebook friends ko kyo unfriend karna chahate hai. Lekin me apni knowledge ke anusar kuch reason bata raha jisse bhut se log apne fb friends ko delete ya removed karna chahate hai.

1. Aapki id par 5000 friends ho gaye ho or aapko new friend banane ho.

2. Aapne koi new fb id banai ho or aap iss wali id ko puri tarah delete karna chahate hai to sabhi friend ko ek sath delete karna chahate ho

3. 1-1 karke sabhi friend ko unfriend karna or vo bhi 5000 log jo aapke dost hai to issme aapka jitna time waste hoga issliye me aapko jo trick batunga usse aap easily 2-4 minute me ek click me sabhi friends unfriend kar payege isse aapko bhut fayda hoga.

4. Bhut se log jaldbaji me facebook par apne friend badhane ke chakkar me bhut se unknown person ko add kar dete hai fir vo log jinhe aap jante bhi nahi or unki language bhi alag ho vo aapko apni post me tag karte rahte hai. Or message karte rahte hai issliye unhe ek sath sabhi friends ko delete karke aap apni id ko ek dum new bana sakte hai.

Facebook Par All Friends ko Ek Sath One Click Me Unfriend Kaise Karte Hai

Agar aapko bhi maine jo reason bataye unme se koi problem hai ya koi other problem hai to aaj me aapko jo tarika bata raha hu usse aap asani se apne all facebook friends ko 1 click me unfriend kar sakte hai.

How to Unfriend All Facebook Friends One Click In Hindi 100% Working Trick

Yaha me aapko jo trick bata raha hu vo sirf pc yani computer par work karega iss trick ko follow karne ke liye niche bataye instruction ko follow kare –

  • Sabse pahle apne pc me google chrome browser open kare agar aapke computer me google chrome browser nahi hai to chrome ka latest version google se download kar sakte hai.
  • Ab google chrome ko open kare or ussme aapko facebook friends remover name ka extension download karna jisse direct download yaha se kar sakte hai.

Download Facebook Frined Remover

tap-on-added-to-chorme

  • Ab aap chrome ke extension page par punch jayege yaha aapko green color me add to chrome button dikega usapar click karde.

facebook par sabhi friends ko ek sath unfriend karne ka tarika hindi me

  • Ab ek pop up windows open hoga issme add Extension par click karde. Extension download hona start ho jayega.

tap-on-chorme-extension

  • Kuch time me extension pura download ho jayega fir blue color me add button dikhega. Uspar click kare. Ab aapka extension chrome me add ho jayega or right side me dikhne lagega.

login-facebook-and-tap-extension

  • Ab apni facebook id me login kare. Right side extension ka icon dikhega uspar click karde.

unfriend all facebook friends working method in hindi

  • Ab aapke browser me new tab me el window open ho jayegi. Yaha aapke all friends count hone lagege or count hone ke baad ek sath dikhne lagege.

tap-on-select-all

  • Aap chahe to in sabhi friends ko select karke bhi removed kar sakte hai. Lekin aap apne sabhi friends ek sath delete karna chahate hai to select all par click karde.

facebook friends unfriend kare

  • Ab aapke all friend select ho jayege fir niche red color me remove friends ka option dikhne lagega uspar click karde.

now-repeat-click-remove

  • Ab pop up window open hogi. Jissme aapko pucha jayega ki aap such me apne dosto ko removed karna chahate hai. Issme dubara removed friends ke option par click karde.

unfriend all facebook friend

  • Ab aapke friends delete ya unfriend hone ki process chalne lagegi. Jaisa ki aap uper screenshot me dekh sakte hai.

friend-removig-process

  • Ye process ek 1 se 100 tak chalegi. Or issme 2 se 4 minute ka time lagta hai.

tap-on-close

  • Ab process khatam hone ke baad aapke same ek new pop up window open hoga jissme close par click karde.

Now ab aap dekh sakte hai aapke facebook ke all friends unfriend ho chuke hai.

Ye Facebook par sabhi friends ko ek click me unfriend karne wala post post aapko accha laga to isse apne dosto ke sath social media site par share jarur kare.

8 COMMENTS

    • thanks aapko facebook par sabhi friends ko unfriend karne wala ye trick accha laga bhut acchi baat hai isse apne dosto ke sath social media par share jarur kare

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here