Web Hosting Kya Hai Aur Hosting Kaha Se & Kaise Kharide

2
web hosting kya hai or web hosting kaha se or kaise kharide full detail in hindi

Hii friends web hosting kya hai or web hosting kaise kharide ye main aaj aapko iss post me batunga. Web hosting ke bare me batane se pahle main aapko internet ke bare me batata hu.  internet ka full form international network hai Jo 2 word se milkar bana hai.

inter+net. inter ka matlab interconnected or net ka Matlab network hai internet sabhi computer ko ek sath judhta hai and ye computer se judhne pe hi bana hai

agar me yaha main aapko saral sabdo me batau to internet par Jo bhi file jaise image video document post aap dekhte hai vo kisi na kisi computer me save rahta hai.

matlab Jo bhi internet par raheta hai vo kahi na kahi kisi na kisi computer par store rahta hai lekin hum un file me jayda changes nahi kar sakte hai.  na hi unhe delete kar sakte hai

or na unko edit kar sakte hai kyoki unme privacy lagi rahti hai. or internet par sabhi file Jo hoti hai vo kisi na kisi computer par host hoti hai.

example ke liye aap apne computer ya laptop me movies, song etc ko store karke rakhte honge ussi tarah hi internet par bhi aap jo bhi apps, games, music, video etc dekhte hai vo sabhi  kisi na kisi computer par host rahta hai. 

Web Hosting kya hoti hai ? What is Web Hosting in hindi

Contents

jaisa ki maine aapko internet ke bare me bataya ki yaha par sabhi file kisi na kisi computer par host hoti hai ye sabhi computer ek dusre se connect hote hai.

ab aap soch rahe honge ki inka web hosting  se kya Lena dena hai to main aapko batata kuch computer ke owner yani jiska Pc hai vo Hume humari file jaise photo image document ko upload karne ke liye apne computer me kuch space deta hai or 24/7 hours ke liye support deta hai.

or vo Hume paise leta hai issi ko web hosting bolte hai. jaise agar aap blogger hai or blogger platform ka use kar rahe hai to aapko pata hi hoga ki ye free hai ab aap soch rahe honge ki blogger me hosting ki jarurat nahi hoti hai

lekin essa nahi hai blogger me bhi iski jarurat hoti hai lekin vo aapko buy nahi karni hoti hai blogger par aap free me hi apni file ko host kar sakte hai. jaisa ki friend aap jante hi internet par website banane ke liye hume 2 chijo domain aur hosting ki jarurat hoti hai.

domain aapki website ka url ya address hota hai jisse log aapki website ko find kar pate hai aur hosting me hume free space di jati hai jaha par hum apni files ko host kar sakte hai.

Web Hosting Kaise Kharide Blog & Website Ke Liye

vaise to bhut se hosting provider hai Jinka use karke aap apni site free me host kar sakte hai. lekin agar aap apni site se paise kamana chahate hai ya blogging me career banana chahate hai to paid web hosting hi buy kare

Matlab paise dekar hi isska plan kharide nahi to free me aapko full support nahi milta or koi problem baad me aati hai to aap kisi ko baad me bol bhi nahi sakte jabki paid hosting me aapko 24/7 support milta hai.

Best hosting provider jo aapko full time support dete hai

Godaddy

Godaddy ki hosting main bhi use kar raha hu and issme kabhi problem nahi aati hai yani site down nahi hoti hai. and goaddy me aapko 1 click me WordPress install karne ki service provide ki jati hai ye ek best provider hai jisske server par aap apni site ko host kar sakte hai.

agar aap abhi  blogger  platform use kar hai or wordpress par shift hona chahate hai or soch rahe hai ki kaha se hosting buy kare to main aapko godaddy se buy karna recommend karunga.

Bluehost.com

Godaddy ke baad bluehost sabse best hai lekin yaha hum bluhost.in ki kahi balki bluehost.com ki baat kar rahe hai means bluehost ki 2 site hai Jo hostng provide karti hai lekin sabse acchi services aapko bluehost.com par milti hai.

jaise main aapko example de deta aapne WordPress.com or WordPress.org ke bare me suna hi hoga. same vaisa hi bluehost me hai. blue host hi hosting bhi best hoti hai and aapki site me koi error nahi aati hai. and site down jaisi problem nahi nahi hoti hai.

Hostgator

hostgator ka name to aapne suna hi hoga. Hostgator bhi best hosting provider mese ek hai lekin issme aapko kabhi kabhi site down jaisi problem rahti hai vaise essa bhut kam hota hai and kuch hi logo ko problem aati hai vaise ye bhi best company hai

Jo aapko apne blog ko host karne ke liye best server provide karta hai. and 100 mese 50% blogger hostgator hosing ks use karte hai isse aap jisski popularity ka andaza lava sakte hai.

Bigrock

bigrock se bhi aap hosting buy kar sakte hai isspar bhi aapko 24 hours support milta hai matlb aapki site agar down ho jati hai ya koi problem aati hai Jo aap kabhi bhi customer care se baat kar sakte hai.

Web Hosting Kaha Se Buy Kare

web hosting 3 types ki hoti hai shared, Linux or vpn hosting jinke bare me detail me main aapko apni agli post me batunga. agar aap apni personal website ko host karna chahate hai vo aap Sheared hosting se kar sakte hai. issi ko sabhi blogger 1st time me use karte hai.

aap WordPress blog banane ke liye hosing buy kar rahe hai to shared hi buy kare ye aap godaddy, bluehost, hostgator, bigrock etc kisi se bhi buy kar sakte hai and aapko isska payment karna hoga

Jo ki aap credit card ya debit card se kar sakte hai web hosting ka price alag alag rahta hai rahta inkaa price 299-10000 tak rahta hai. and inko aap month ya year ke hissab se buy kar sakte hai.

ye web hosting ki jankari aapko kaisi lagi acchi lage to share jarur Kare issme Maine aapko hosting ki puri information nahi di hai lekin agli article me main aapko isske bare me full information share karunga. jiski jankari aap apne email par pane ke liye humari site ko subscribe kar sakte hai.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here