WordPress Blog Me HTML Sitemap Page Kaise Banaye Or Add Kare

1
wordpress blog me html sitemap-page kaise banaye or add kare

Hello friends WordPress Blog Me Html Sitemap Page Kaise Add kare, html sitemap page kaise banaye ye main aapko iss post me batane wala hu. Blog banane ke baad aur usme kuch post karne ke baad kuch important pages jaise about us, contact us, privacy policy, disclaimer page etc banana bhi jaruri rahta hai

inke alawa ek aur page aapne bhut si logo ki site par dekha hoga vo hai html sitemap page isske bare me agar saral sabdo me bataya jaye to Html sitemap me aap apni site ki sabhi post ko ek jagah dikha sakte hai ┬аjisse visitors ko post padhna asan ho jata hai.

HTML Sitemap Page Kya Hota Hai ? (All Post)

Contents

Friends sitemap humari site ko jaldi google and other search jaise yahoo bing etc me lane me help karta hai. sabhi search engine hamari post sitemap ki help se hi search me dikhate hai. ye Blog ya site ki ek list rahti hai jo search engine index karte hai or humari site search me show hoti hai.

Sitemap 2 Prakar ( Types ) Ke Hote Hai

Xml- xml sitemap ko google search console me add karke hum apni site ko jaldi search me dikha sakte hai, issme bhi all post ki list hoti hai. ye xml format me rahta hai issliye isse hum padh nahi sakte .

HTML sitemap- ye bhi humare blog ko jaldi┬а search me lane me help karta hai. issme humari blog ki all post ki list rahti hai. ye html format me hota hai issliye isse asani se padh sakte hai.

isska fayda ye hai ki aapke blog visitors ko aapki all post ki list ek hi jagah mil jati hai and isse vo jo bhi article read karna chahate hai uske liye unhe use find nahi karna hota hai.

WordPress Blog Me HTML Sitemap Page Kaise Banaye OR Add Kare

Agar aap wordpress par hai or apni sabhi post ko ek sath ek page par dikhana chahate hai to easily html sitemap se essa hota hai is ke bhut se fayde hai jaise issme aapki post category date etc sabhi dekhte hai yaha

jisse aapke site ke visitors ya reader ko post padhne me paresani nahi hoti hai or ye seo ke liye accha hai aur isse blog ke loading time par bhi koi fark nahi padhta hai issliye aapko isse apni site me jarur add karna chahaiye.

blogger par html sitemap page banane ke liye hume programming language ka use karna hota hai lekin wordpress me essa nahi hai, issme hume bhut se plugin milte hai

jinka use karke hum blog ko bina programming language ke hi design kar sakte hai aur usme aur bhi bhut se changes kar sakte hai. kyoki bhut se blogger ko programming language ki knowledge nahi hoti hai issliye wordpress website ko bina coding ke bhi manage kiya ja sakta hai.

How To Add HTML Sitemap Page On WordPress ?

1. sabse pahle apne wordpress blog me login kare fir plugins wale option me jaye aur add new par click kare, now aapko bhut sare plugins show hone lagege, search me Hierarchical HTML Sitemap likhkar search kare aur iss plugin ko install karle

2. plugin ko install karne ke baad fir niche diya code copy kare.

[htmlmap showpages] ┬а

3. ab aapko ek new page banana hoga ya create karna hoga Isske liye aapko sidebar par pages par click karke new page par click karna hai. ┬а

4. ab aap right corner par visual par click kare or aapne jo Code copy kiya tha vo yaha paste kar de or publish par click karde. ┬а

Iss tarah friends aapke wordpress blog me html sitemap page add ho jayga.

Friends agar aapko ye post accha laga to iss post ko apne friends ke sath social networking site par jarur kare or aapko iss post me kuch samaz na aaya ho to comment karke jarur bataye

or aap essi or bhi post padhna chahate hai to abhi iss blog ko subscribe kare and latest post update ki Information apne email par received kare. blogging se related new posr read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here