Youtube Account Verified Kaise Kare – Youtube Account Verification

0
apna youtube account verified kaise banate hai

Hii friends apna youtube account verified kaise banate hai Ya apne youtube account ko verify kaise kare ye main aapko aaj iss post me batunga. Friends youtube account verified karana issliye jaruri hai kyoki isse hume double fayda hota hai.

Pahle ye aap apne videos me custom thumbnail add kar sakte hai or dusra fayda ki aapke youtube account par verified badge add ho jata hai yani blue right tick mark add ho jata hai jisse aapka account professional dikhta hai.or isse aapka channel pahle se jayeda official dikhta hai,

abhi bhut se log soch rahe honge ki youtube par only kuch hi logo ke channel ko verification mark milta hoga jinke channel par jayeda subscriber hote hai aur unke video par jayeda views aate hai to essa nahi hai koi bhi apna youtube account verified kara sakta hai,

Youtube account  verified karane ke fayde –

Contents

Custom thumbnail – aap youtube par jo video upload karte hai unpar aap custom thumbnail add nahi kar pate hai jaise ki aap jo video upload karte hai usme alag photo ko add karna chahate hai to vo bina verified account  me nahi kar pate issliye aap apna youtube account verified karakar videos me custom thumbnail add kar sakte hai.

Verified badge – isse aapke  Accunt me right blue tick mark yani verified blue badge add ho jata hai.

Professional and cool look – isske aapka accont  dekhne me bhi accha lagta hai and usme blue badge add ho jane se professional dikhne lagta hai.

Secure and safe – agar aap apna youtube account verified kara lete hai to youtube ko pata chal jata ki aap real person hai or aap jo video upload karte hai vo jayda secure ho jate hai.

Live streaming – jaisa ki aapko pata ki youtune me kuch month pahle hi live streaming feature diya gaya hai jisska use karke aap kisi bhi video ko live record karke live dikha sakte hai ye feature use karne ke liye bhi aapka account verified hona jaruri hai.

Youtube account verified kaise karte hai – full detail

apne youtube accoount ko verify kaise kare ye janne ke liye niche bataye steps ko follow kare –

  • Sabse pahle youtube.com  par jakar sign in par click karke apna email or password dalkar sign in kare.

profile-icon-and-setting-icon

  • Ab aapko right side me apna photo wala icon dikhega uspar click karde or usme setting icon par click karde.

tap-on-view-additional-features

  • Ab aapko yaha par bhut se option dikhege umnese se additional features me view Additional features par click karde.

tap-on-blue-verify-button

  • Ab aapko yaha apne name ke niche blue color me verify button dikhega uspar click karde.
  • Verify par click karne ke account veriifcation ke option dikhege jinhe fill karne ke liye niche step ko follow kare

Account vefication ( step -1 )

select-country-and-language-phone-number-and-submit

1.Select your country – yaha aapko apni country select karna hai agar india se hai to india select kare.

2.How should be deliaverd verification code of you – yaha apako verification code ka method select karna yani aap 1st method call me with select karte hai to aapko call aayega and agar aap 2nd method choose karte hai to aapko message dwara verification code milega

3.Which language should….code – isme aap koi bhi language slelect kar sakte hai yani aap issme jo language select karege usi language mne verification code aayega isse aaap default yani jaisa ka vaisa bhi rahne de sakte hai yani ki issme koi change na kare

4.What is your phone number – yaha aapko apna phone number dalana hai aapka jo bhi number hai usko dalne se phale uske aage 0 lagade. yani pahle 0 fir apna 10 digit ka number dale.
5.Submit – sabhi option ko sahi se fill karne ke baad submit par click karde.

Account verification (step-2)

enter-code-and-submit

  1. ab aapke number par ek 6 digit ka verification code aayega vo iss box me dale
  2. Submit par click karde.

congrats-your-account-is-verified-message

Ab  aapka youtube account verified ho chuka hai

now-your-account-is-verified

Iss tarah aap asani se simple steps ko follow karke apna youtube account verified kara sakte hai or usme blue verified badge bhi add ho jayege

Important

Ye youtube account verification ki ye post aapko acchi lage to isse apne dosto ke sath social media site par jarur share kare or aapko iss post me koi step samajh na aaya ho to comment me jarur bataye..

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here