WhatsApp Payment – WhatsApp Se Paise Kaise Bheje ( Instantly )

1
whatsapp payment whatsapp me bank account kaise add kare full detail in hindi

WhatsApp Payment Kya Hai ,Whatsapp se paise kaise bheje┬аFriends jaisa ki aap jante hi honge ki WhatsApp ne apne indian users ke liye payments feature launch kar diya hai.

Aur ye feature abhi tak bhut se beta user ko mil chuka hai lekin kuch beta user ke phone me ye payments feature show nahi kar raha hai yani nahi dikh raha hai to usske bare me bhi maine already bataya hua hai

agar aapka whatsapp messenger version 2.18.48 ya isse jayeda hai usme payments option nahi dikh raha hai to kaise Enable kar sakte hai isski full information ke liye aap niche link par click kar post read kar sakte hai.

Ab friends aapke WhatsApp me payments option dikh raha hai aur iska use karna chahate hai Aur aap nahi jante ki whatsapp se payment kaise kare to sabse pahle aapko issme apne banks accounts ko add ya link karna hoga.

Bhut se logo ko nahi hoga ki whastappp ko Bank Account Se Link Kaise Kare to me aapko batana chahaunga ki┬а Whatapp payments me bhi bank account ko add karne ka process other upi app jaise bhim upi, phone pe and google tez jaisa hi hai

and issme bhi aapko almost sabhi banks mil jate hai yani aap apne kisi bhi bank jaise sbi, pnb, hdfc, axis, kotak, paytm payment bank etc ko whatapp me add kar sakte hai. jaisa ki aapko pata hi hoga ki whatsapp user ki sankhya millons se billons me hai to kaisa ho agar aap apne friend ko whatsapp par hi paise bhej paye to aapki jankari ke liye bata deta hu ki abhi ye possible hai aap easily whatsapp se payment kar sakte hai. vaise to aur bhi apps hai jinme hume upi payment wala option milta hai

lekin abhi e-wallet apps hi nahi balki messaging aur calling apps bhi apni app me┬а ye option add kar rahi hai. jaise truecaller jo ki ek calling app hai usse aap ab aap kisi ko paise bhej aur prapt kar sakte hai isske bare me maine pahle se apni ek post me bataya hua hai jise internet category me jaker read kar sakte hai.

WhatsApp Se Payment Kaise Kare Step By Step Jane

Contents

Whatsapp ne apne indian user ke liye payments feature 14 fabruary 2018 ko hi launch kar diya hai and ye feature abhi beta user ke liye hi available hai.

Agar aap iss feature ka use karna chahate hai to sabse pahle aapko issme apne bank account ko link karna hota hai aur bina apne account ko linked kiye aap whatsapp se kisi ko paise nahi bhej sakte hai Aur na hi koi aapko paise bhej sakta hai.

Aap aap ek hi nahi balki ek se jayeda banks ko bhi isme add kar sakte hai. And ye payments feature upi based hai. So aap kisi ko bhi money send karege to usse instant ya 30 second se 1 minute me hi money uske bank account me received ho jayegi.

Whatsapp payment feature ka use karke aap apne friends ya jiske bhi whatapp number par paise send kare uska whatapp bhi bank account se linked hona jaruri hai.

WhatsApp Me Bank Account Kaise Add Kare Full Detail

Agar aap bhi apne whatsapp account se apne bank account ko connect karna chahate hai to uske liye aapke paas 3 chije 1st bank account Aur 2nd bank account se register number wala sim aapke mobile me Aur 3rd bank account se register number aapka whatsapp number hona jaruri hai.

Yani aapke bank account me jo number registered hai vohi number aapka whatapp number hona jaruri hai aur us number ka sim aapke mobile me hona jaruri hai tabhi aap iss payments option ka use kar sakte hai.

WhatsApp Payment – WhatsApp Se Paise Kaise Bheje Or Transfer Kare

tap-on-payments

  • Sabse pahle apne whatapp account ki setting me jaye yaha bhut se option dikhege unmese payments wale option par click karde.

whatsapp payment feature in hindi

  • Ab yaha aapko send and received money securely with UPI likha dikhega isske niche Accept and continue wale option par click karde.

verify-your-phone-number

Ab verify your phone number option dikhega yaha aapko apna number verify karana hai jaisa ki maine aapko bataya ki aapka whatsapp number aur banks accounts registered number same hona jaruri hai. Ab yaha verify via sms par click karde.

Aur fir aapko sim choose karne ke liye bola jayega jis bhi sim ka number hai us sim par click karke choose karde.

choose-your-bank-account

  • Ab yaha aapko bhut se banks ke name dikhege Inmese aapko apne bank┬а ko choose karna hai yaha aapko axis, hdfc, icici, kotak, sbi, pnb etc almost sabhi banks dikh jayegi. Aapka jis bhi bank me account hai uspar click karde.

select-your-bank-account

  • Banks accounts choose karne ke baad ab jo bhi banks aapke number se linked honge wo yaha aapko show honge inmese aap jis bhi bank account ko whatsapp me add karna chahate hai uspar click karde.

whatsapp payment ko kaise use kare

Congrats ab aapko setup complete likha dikhega isska matlab hai ki aapka bank account WhatsApp me add ho chuka hai ab done par click karde. Ab yaha aapko payments me banks accounts me apna bank name dikhega. Aur aap chahe to add new account par click karke ek Aur Ya Ek se jayeda banks accounts ko bhi┬а issme add kar sakte hai.

And ab aapko agar kisi ko paise bhejna hai to uske inbox me jana hoga Aur attachment icon par click karna hoga aur fir payment par click karke aap usse money easily kar sakte hai isski ┬аpuri jankari me aapko apni agli post me batunga.

Iss tarah friends aap easily WhatsApp Payment Bank Account Se Link kar sakte hai.

Dosto┬аWhatsApp Payment Option Ko Setup Kaise Karte Hai, WhatsApp Payment Option Me Bank Account Add Kaise Karte Hai ye ab aap seekh hi gaye honge. ye article agar aapko accha laga to isse apne friends ke sath social media sites par share jarur kare.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here