Hii Friends Photo Me Live Effect Kaise Add Kare Ya Android Phone Se Kisi Bhi Photo Me Live Animated Effects kaise Dale ye aaj hum iss post me janege. Friends aapne bhut si animation image dekhi hogi Inhe Gif Animation image bolte hai but agar aap bhi inhi ki tarah apki GIF bana sakte hai ya aap apni photo me hi live effects add kar sakte hai
- Kisi Bhi Android Mobile Phone se Gif Animation Image Kaise Banaye ?
- Mobile Phone Se Apna Photo Cartoon Kaise Banaye 1 Minute Me
Live Effects Kya Hai Puri Jankari Hindi Me
Contents
Dosto live effect ka matlab hota hai always running effect yani chalte rahne wale effects jo kabhi bhi nahi rukte yani aap bhi chahate hai ki aapki photo animated dikhe to aap esa kar sakte ho aapne animation to dekha hi hoga.
Animation ki tarah hi aap apni photo bana sakte ho Aur usse kahi par bhi use kar sakte ho isse aapki image attractive to lagegi hi Aur dusro se alag bhi dekhegi. Live effects add karne ke baad aapka photo ek dum live dikhne lagega Aur vo animation ki tarah dikhega.
Android Phone Se Apni Photo Me Live Effects Kaise Add Kare – Full Detail
Friends agar aap bhi apne photo me live animated effect add karna chahate hai Aur aapke pass computer laptop iphone nahi hai hai to aap apne Android Phone se hi apne photo me live animated effects laga sakte hai isske aapko only apne phone me ek app download karna hoga jisaka name hai Lumyer- Augmented Reality iss app ko abhi tak 10 millions se jayeda logo ne download kar liya
Aur isski rating 4.5 hai isse aap lumyar app ki popularity ka andaza laga sakte hai. Lumyar app me bhut se animated live effects diye gaye hai vo puri tarah se realistic lagte hai. Iss app me bhut se paid effects bhi hai jinhe aap buy karne par hi use kar sakte hai but yaha me aapko free method bata raha hu. Issliye me aapko free me hi apni image me live effects kaise dale ye bataunga.
Apni Photo Me Live Effects Kaise Dale – Add Animated Live Effects On Image
- Sabse pahle aapko google play store se Lumyer name ka ek download karna hai jisse direct download karne ke liye niche button par click kare.
- Ab lumyer app ko open kare agar ye app aapse permission matti hai To isee audio media photo ki permission dene ke liye allow par click karde Aur record video ki bhi permission dede.
- Now ab iss app me aapka front camera open ho jayega. Aap chahe to apne apni image capture karke bhi live effects add kar sakte hai ya aap image apne phone ki gallery se choose karna chahate hai to right side me gallery icon par click karde.
- Now aapke phone ki gallery open ho jayegi ab aapko menu icon par click karna hai Aur images par click karde fir aapko yaha bhut se folder dikhne lagege unmese aapko jis folder mese image choose karni hai uspar click karde.
- Folder select karne ke baad aapko yaha sabhi images dikhne lagegi ab aapko jis bhi image me live effects add karna hai uspar click karke select kare.
- Ab aapki photo lumyer app me open ho jayegi yaha aap use crop kar sakte hai photo ko jitna crop karna hai utna select karne ke baad next par click kare.
- Now friends yaha aapko bhut se live effects dikhege Inmese jo kam highlight honge vo paid effect hai Aur jo jayda highlight honge free hai Inmese aapko free wale effect par click karna hai jaise hi free wale effects par click karege aapka photo animation me dikhne lagega.
- Yaha free effect par click karke dekh sakte hai jo aapki photo ke sath match hota hai usko choose kar sakte hai.
- Aap in effect me changes bhi kar sakte hai. Isske liye jo effects aapne photo me add kiya hai uspar click kare Aur usse jaha finger se zoom in Aur zoom out kar sakte hai Aur usse left right ya up and down jaha chahe waha place kar sakte hai.
- Agar live effects ke niche 3 ya 2 likha hai to aap us effect wali icon par click karege to dusra effect dikhega.
- And agar ek sath apni photo me 2 live effects add karte hai to isske liye pahle ek effect select karna hoga isske liye niche add effect par click karde Aur dusra effect add karne ke liye us dusre effect par click karde.
- Jab aap apni pasand ka free effect select karle fir usse save karne ke liye uper save button par click karde. now processing start ho jayegi.
- processing complete hone ke baad aapka photo me live effects add hokar save ho jayega and Now friends aapko isse gif animation banana hai. To niche aapko gif option dikhega uspar karde.
- Aapki image me effect add hone ke baad gif me change hone ke baad uper screenshot jaisa dikhega.
Iss tarah friends aap easily apne photo me live animated effects add kar sakte hai.
- Vector Art Kya Hai Aur Mobile Phone Se Vector Art Kaise Banaye
- Mobile Phone Se Apne Naam Ka DJ Song Kaise Banaye тАУ Name DJ Song
Dosto Kisi Bhi Image Ya Photo Me Live Effects Kaise Dale ye aap seekh hi gaye honge agar ye article aapke liye useful raha to isse apne friends ke sath social networking sites par share jarur kare.