Mobile Se Paytm App Me Paise [ Money ] Add Kaise Kare – 2 Trike

9
mobile se paytm app me paise money kaise add kare

Hii friends Paytm App Me Money Kaise Add Kare, Mobile Se Paytm Wallet Me Paise Kaise Jode Ya Add Kare ye me aaj aapko iss article me batane wala hu. Paytm ko digital wallet ya e-wallet bhi bol sakte hai isse aap bhut se kaam kar sakte hai jaise online mobile recharge, dth bill payment, movie ticket booking, ek wallet se dusre wallet me paise transfer karna etc

Paytm ne ab apna payment bank bhi launched kar diya hai yani pahle ye sirf E- wallet tha ab aap issme apna account bhi open kara sakte hai. Aaj me aapko Paytm wallet me paise kaise dale ye batane wala hu. Isske liye sabse pahle aapka pytm par account hona jaruri hai agar account nahi hai niche link par click karke post karke apna  account bana sakte hai.

Paytm wallet me paise add karne par hi aap isse recharge or dth bill payment or kisi ko bhi money transfer kar sakte hai in paiso se isski services ko use kar sakte hai. Issme aap debit card, net banking, credit card etc kisi bhi method se money add kar sakte hai.

Mobile Phone Se Paytm Me Paise Kaise Add Kare ? In Hindi

Contents

Bhut se logo ke pass abhi bhi apna pc nahi hai lekin mobile phone sabhi logo ke pass hota hai issliye agar aap bhi bhi android smartphone user hai to yaha me aapko paytm app me mobile se money kaise add kare issi ke bare me batane wala hu.

How to Add Money Paytm App in Hindi

Sabse pahle agar aapke mobile me paytm app nahi hai to usse aapko google play store se download ya aap isse direct direct download karna chahate hai to niche download button par click karke kar sakte hai.

Download

  • Ab paytm app open kare or apna number and password dalkar login kare.

tap-on-add-money

  • Ab aapko yaha homepage par add money ka option dikhega uspar click kare.

enter-amount-and-add-money

  1. Ab jitne paise add karna vo amount enter kare
  2. Add money par click karde.

Atm ya Debit Card se Paytm Me Paise Kaise Dale

Add money par click karne ke baad aapko apne debit card yani atm card ki detail fill karne ka option dikhega yaha aapko apne atm ki bikul sahi sahi information fill karni hai jisske liye niche baatye steps ko follow kare.

enter-your-debit-card-detail

  1. yaha apne atm card ka number enter kare atm card par number card aage ki taraf likh rahta hai jo 16 digit ka hota hai.
  2. yaha  card ka expiry month and year select kare ye atm card ke number ke just niche likha rahta hai.
  3. yaha apne atm card ka CVV number jo ki 3 digit ka hota hai vo enter kare ye cvv number aapke atm ke piche sabse last me likha rahta hai.
  4. ab apne atm ki sari detail fill karne ke baad pay now par click karde.

Now aapke atm se aapke jo amount pytm me add kiya hai utne paise kut jayege and aapke paytm wallet me balance add ho jayega.

Net banking se Paytm App Me Money Add Kaise Kare In Hindi

choose-net-banking-option

  • add money par click karne ke baad aapko debit card ka option dikhta hai and usske niche or bhi payment method rahte hai unme aapko net banking ka option dikhega uspar click karde.

fill-net-banking-detail

  1. net banking par click karne ke baad ab aapki jis bhi bank ki net banking hai vo select kare.

2. aapka jis bank me account me account hai vo select kare

3. bank and net banking select karne ke baad pay now par click karde.

  • Now ab aap apni online Net banking wale page par redirect ho jayege aapse apni net banking account ka username and password manga jayega username and passsword enter karne ke baad aapse paise add karne ke liye bola jayega uspar confirm karde and fir aapke net banking se paise kut jayege and wallet me add jayege.

iss tarah friends aap asani se Debit card & Net banking ka use karke Paytm App me paise add kar sakte hai vaise aap credit card and upi se bhi issme money add kar sakte hai but bhut hi kam log hai jo upi ke bare me jante hai and credit card bhi kam hi logo ke pass hota hai but debit card and net banking almost sabhi logo ke pass hota hai issliye maine yaha 2 method ke bare me bhi bataya hai.

but aap agar Credit card se paytm me money kaise add kare ye janna chahate hai to ye bilkul simple hai uper maine debit card se money add karne ka tarika bataya ussi tarah same aapko apni credit card ki detail fil karna hai fir aap usse bhi paise add kar sakte hai . dosto ye post aapko accha lage to isse apne other friends ke sath social media sites par share jarur kare.

9 COMMENTS

    • Paytm ke recharge wale latest promo code abhi 2 hi work kar rahe hai ek GRAB10 jisska use karke aap aapko 50 rupee ke recharge par 1 rupee cashback milta hai and ek FLAT5 isska use karke aap 100 rupee ke recharge par 5 cahback prapt kar sakte hai.

        • free wala nahi hai aapko recharge karna hoga tabhi aapko cashback milega ye me aapko july 2017 ke latest promo code bata raha hu

          1. promo code GRAB100 hai isse aap 100 se jayeda ka recharge karte hai to aapko 10 rupee cashback milgea ye code 22 july 2017 ko end ho jayega.

          2. promo code NEWBILL jo postpaid user ke liye hai agar aap postpaid sim user hai or apna 1st bar paytm se bill pay kar rahe hai to aapko 300 se jayeda ka bill payment kane par 15 rupee ka recharge diya jayega. ye code 29 july 2017 ko end ho jayega.

          ye the promo code par milne wale cashback ki information i hope aapko ye informtion acchi lagi hogi.

  1. airtel sim balance ko paytm ya mobikwik ya phonepe wallet me keise transfer hota hai please sir ye bta dijiye
    mujhe bahut bahut or bahut zarurat hai abhi.
    please jaldy se bta dijiye

    • aap airtel sim ke balance ko paytm mobikwik or phone pay account me transfer nahi kar sakte hai aapne sayad airtel payment bank ke balance ko paytm mobikwik ya phone pay wallet me transfer karne ke bare me suna airtel payment bank ek bank ki tarah hota hai or usme jo paise hote hai vo real money hoti hai so usse aap kisi bhi payment app me transfer kar sakte hai. but kisi bhi sim ke balance ko aap payment apps me transfer nahi kar sakte

    • aap paytm me apni kisi bhi bank se paise daalsakte hai but jis bhi bank se aapko paytm me money add karni hai aapke pass us bank ka debit card yani atm hona jaruri hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here