Airtel Number की Call Detail List कैसे निकाले ? Call History निकालने का तरीका

15
apne airtel sim ke number ki call detail list kaise nikale in hindi

Hii friends apne Airtel Number Ki Call Detail List Kaise Nikale, Airtel Number Ki Call History Kaise Pata Kare ye main aapko iss article me batunga. Friends agar aap airtel sim users hai to apne number ki call detail pata karna chahate hai to iss post main aapko issi ka tarika batane wala hu.

Apne Airtel Number Ki Call History Ya Call Detail List Kyo Nikale-

Contents

  1. Bhut se log jo relationship me rahte hai or apne partner ke bare me pata karna chahate hai ki vo kisse baat karta hai ya karti hai isliye agar vo airtel sim use karta ya karti hai to aap uske call detail nikal sakte hai.
  2. Agar aapse koi jaruri number delete ho gaya hai to bhi aap iss method ka use kar sakte hai.

Airtel Sim Ki Call Detail List Kaise Nikalte hai ?

Yaha main aapko jo tarika batunga vo bhut hi simple or asan tarika hai jisse aap easily apne airtel number ki call history pata kar payege. Lekin ye main aapko jo tarika bata raha hu vo paid tarika hai yani aapke sim ke main balance mese 50 rupee kat jayege or aapko apne Airtel number ki 3 month ki call list pata chal jaayegi.

Apne Airtel Number Ki Call Detail Record List Kaise Nikale

  • Sabse pahle aap apne jis airtel sim ke number ki detail nikalna chahate hai vo sim aapke phone me hona jaruri hai.
  • ab aap apne phone ke message me jaye.
  • Ab aapko Niche message type karna hai.

EPREBILL < Month Name > Email id

Iss code ko copy aap niche code box mese kar sakte hai.

EPREBILL < Month Name > Email id

Abhi aapko iss code me kuch change karna hai yani issme month name and email id ko add karni hai.

Month name me aapko us mahine ka naam dalna jis mahine ki aap call list nikalna chahate hai.

Email id– yaha aapko apni email id dalni hai or dyan rakhne apni essi email id hi dale jo chulu ho kyoki ye list aapke email adress par hi aayegi.

EPREBILL < January > aryanlodhi50@gmail.com

Jab aap code me month name and email add kar denge to vo uper jaisa dikhega.

  • Ab aapko message type karne ke baad use 121 par send karde. and aapke balance se 50 rupee kat jayege.
  • Ab aap kuch time yami 2-6 hours tak wait kare fir aapko ek message aayega. Jissme aapko ek password milega ye us ms file ka password hai jo aapke email par send ki gayi hai. Issi ms file me aapko apne phone ki call detail list milegi.
  • Jab aapko password wala message aa jaye tab apne us email id se login kare jo aapne message me dala tha.
  • Ab email inbox me aapko ek mail aaya hoga use open kare. Or Excel Sheet me ek ms file hogi usPar click karke use download karle.
  • Fir jab aap us excal ms file ko open karege to password manga jayega yaha aapko vo password dalna hai jo aapke airtel number par aaya tha.
  • Ab aapke number ki call list aapke samne hogi yaha aap dekh payege ki aapke number se kaha kab or kis time kitni der tak baat hui hai puri detail aap yaha dekh payege.

Iss tarah friends aap asani se apne airtel number ki call detail list and call history nikal sakte hai.

I hope friends aapko ye article accha laga isse apne dosto ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss article me kuch smaajh na aaya ho to commnet karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi humari site allhindihelp ko subscribe kare or latest update ke liye facebook page ko like jarur kare.

15 COMMENTS

  1. Sir help me please
    I want the details of last 30 days of call or incoming call from my number
    Sir mai apne number ki sari call details chahta hu
    My alternative number 7985328332,7266002440

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here