Mobile Phone Me Android 7.0 Nougat Kaise Install Or Update Kare

8

Mobile Phone Me Android 7.0 Nougat kaise install update kare. Aaj kal sabhi log android mobile ka use kar rahe hai kyoki ye ek best os hai. Android operating system ka popular hone ka main reason isske update hai android apne system me update karta rahta hai.

Android os update me ice creme gingerbread jelly been, KitKat lolipop marshmallow or ab Nougat version bhi aa gaya hai. Android 7.0 nougat version me aapko bhut se features mil rahe hai.

And samsung, micromax, LG, Motorola etc bhut si company apne smartphone me android 7.0 nougat installed de rahi hai. android nougat version se pahle ka version marshmallow hai

aur aap apne phone ko android marshmallow se nougat me update karna chahate hai to sahi jagah par hai. abhi bhut se logo ka ye question hoga ki hume new android version ko phone me kyo install karna chahaiye

aur isske kya benefits hai┬аto me batana chahaunga ki aapke smartphone me jo bhi new update aata hai usme bhut se feature hote hai aur jo problem old version me thi unko bhi new update me solve kar diya tha aur mobile ki speed bhi fast ho jati hai

Android 7.0 Nougat Version Features In Hindi

Contents

File manager me changes – File manager me badlav kiye gaye hai or isse ab aap google ingestion service file sharing etc ka use easily kar sakte hai.

Multitasking improvement- Multitasking ke bare me to aap log jante hi honge matlab ki ek sath 2 ya 4 ya sabhi apps ka use karna multitasking kahalata hai matlab ki aapne koi app open kiya hai and aap use chodkar dusri app ko open kar lete hai or vo pahla And ye dusra app background me chalte rahte hai yani puri tarah close nahi hote hai to isse multitasking bolte hai nougat 7.0 wake version me multitasking ko improve kiya gaya hai.

Notification bar- Nougat version me android ke notification bar me bhi changes huye pahle aapko notification dekhne ke liye jis app ki notification hai us notification par click karke us app par jana hota tha lekin ab aap homepage par hi full notification dekh sakte hai.

Battery life improvement Android phone me nougat version update karne par aapke phone ki battery life bhi increase hogi yani bahd jayegi..

Emergency detail chaek and see recent app –Nougat 7.0 version me aap locked phone me emergency detail dekh sakte hai or recent app ka status bhi dekh sakte hai. Or home page par hi aapko quick setting ka option milta hai jisse aap ek click me hi mobile setting ke sabhi option ko dekh sakte hai.

Iss tarah friends old update ke mukavle new updated version me aapko bhut se feature mil rahe hai issliye agar aapke phone ke liye 7.0 update available hai to abhi mobile phone ko android nougat 7.0 me update kare.

Mobile Phone Me Android 7.0 Nougat Kaise Install Kare

Agar aap apne android phone me nougat 7.0 version ko install karna chahate hai to isske liye 7.0 version ka update aapke mobile ke liye available hona jaruri hai.

Kisi bhi android phone me nougat 7.0 kaise install kare agar aap ye janna chahate hai to isske liye aapko phone ko root karna hoga or update ki custom file download karni hogi.

Lekin yaha main aapko jo tarika bata raha hai vo bina root ke use kar sakte hai lekin isske liye aapke phone me latest update available hona jaruri hai.

Android 7.0 Supported Mobile List In Hindi

android-nougat-version

Google apne device me sabse pahle android update version deta hai fir other company bhi apne mobile me latest version dene lagti hai.

jo aap agar janna chahate hai ki aapke phone ke liye 7.0 Nougat┬аsupported hai ya nahi to aap yaha click karke ┬аsupported mobile ki list dekh sakte hai agar iss list me aapka phone dikh raha hai to aap use latest version me update kar sakte hai

Mobile Phone Me Android 7.0 Nougat Version Kaise Update Kare

  • Sabse pahle apne mobile ko 70% se 100% tak charge karle kyoki updete karte time agar aapka mobile band ho jata hai to uske software corrupt hoi jayege or vo bekar ho jayega and aapko internet connection ki bhi jarurat padhegi jisske liye aap wifi ka use kar sakte hai. ya apne mobile data ka use bhi kar sakte hai.
  • Ab apne mobile ki setting me jaye.ab about phone par click karde.
  • Ab aapko yaha system update ka option dikhega uspar click karde ( agar aapke phone me system update ka option nahi aa raha hai to *#*#2432546#*#* ye code aapke mobile ke dialer me dial kare)
  • Ab Check for update  ke option par click karde.
  • Agar aapke phone me update available nahi hoga to aapko Your phone is up-to-date ya software is up to date  message dikhega agar update available hoga to package download karne ka option aa jayega uspar click karde  nahi to bhut se mobile me package automatically hi download hone lagta hai.
  • Ab Package yani new version download ho jane ke baad install par click karde.
  • Ab updating process start ho jayegi issme aapko 2 hours se lekar 5 hours tak lag sakte hai
  • Jab process compleate ho jaeyegi tab aapka mobile automaticlly band ho jayega and dubara on ho jayega yani restart ho jayega
  • Fir aapko apni mobile screen par upadate complate message dikhega

Important

Friends update process ke duran┬а aapke phone me bhut┬а si problem aa sakti hai jaise mobile reboot ho sakta hai update stop ho jayega yani ruk jayega or data bhi delete hone ke chances hai

inse bachne ke liye aap apne mobile reboot hone par usme kuch bhi na kare yani vaisa ka vaisa rahne de otherwise software corrupt ho skate hai and update stop na ho isske liye main aapko wifi use karne ke liye boluga kyoki interent connection kabhi kabhi kaam karna band kar deta hai.

or data delete se backne ke liye aap aapne mobile ke important data ka backup le sakte hai. ye the kuch problem and solution jo aapko apne phone ko android 7.0 nougat me update karte time aa sakte hai.

maine aapko jo android phone ko update karne ka tarika bataya hai vo puri tarah safe hai lekin agar aapse in steps ko follow karne me koi mistake ho jati hai or aapka phone agar brick yani bekar ho jata hai to isski jimmedari aapki hogi issme humari site allhindihelp ki jimmedar nahi hogi.

Iss tarah friends aap asani se or safely apne mobile phone ko android 7.0 nougat me update kar sakte hai. ye article aapko accha lage to comment karke jarur bataye or isse  apne dosto ke sath social media par share jarur kare..

8 COMMENTS

  1. Bhai mera ek swaal hai, jo update packege hai wo lagbhag 1.3 GB ka hai. Aur hum apne mobile data on karke saath hi wifi se connect karte h to update karne par hamara data khatam ho jaaye to kya connect hue wifi se hamara downloading puri ho sakti hai?

    • issme risk hai agar mobile ka data balance chala gaya or wifi se connect hone me 10-20 second bhi lage to bhi update fail ho sakta hai isse accha hai ki aap ya to apne mobile ke data balance se hi pura update package download kare ya wifi se kare. and agar aap jio user hai or 1gb limited data aapko milta hai to me aapko ek trick bata deta hu jo aap use kar sakte hai. aap my jio app ko apne phone me install karle and usme dekhe ki aapka 1 gb data kab recover hota hai and apne daily data mese 500 mb bachakar rakhe fir jitne baje vo data recover hota hai usse 15 minute ya 30 minute pahle aap apne mobile me update package download karna start karde and fir aapke mobile data mese jabtak 500 mb udega tabkar 1gb aa jayega iss tarah aasani se aap aasani limited data me bhi apne phone me latest update packege download kar sakte hai.

    • aap apne mobile ki setting me jaye waha par about ke option par click kare Aur about me jane ke baad system update par click kare agar aapke mobile me update available hoga to package download option dikhne lagega aur fir aap iss post me bataye instruction ko follow kar apne mobile ko update kar sakte hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here