Android Mobile Ko Mic Kaise Banaye – Phone Convert Microphone

0
android mobile ko mic kaise banaye phone convert microphone

Hii friends Android mobile ko mic kaise banaye, Mobile Phone Ko Wireless Mic kaise banaye ye aap iss post me janege, dosto agar aap bhi apne phone ko microphone ki tarah use karna chahate hai to ye post aapke liye hi hai, bhut se log jo youtube par video banana chahate hai

but unke pass koi accha mic nahi hai to apne android mobile ko hi computer microphone me badal sakte hai ye sunne me thoda ajeeb lagta hai but ye possible hai, mobile ko aap wireless mic ki tarah use kar sakte hai yani bina wire ke aapka mobile mic ki tarah kaam karta hai,

dosto android mobile ko computer kaise banaye ye maine aapko pahle hi apni ek post me bataya tha aur iss post me aapko ussi jaisi new trick ke bare me batane wala hu ye sunne me thoda ajeeb to hai

but ye sahi hai, bhut se log aur mostly youtuber jo youtube par video banakar upload karte hai unke liye microphone bhut hi important hota hai

kyoki agar aap apni voice record karke video me add karna chahate hai to ye bina microphone ke nhi kar sakte hai aur agar aap bina mic ke essa karte hai to aapki voice slow aayegi aur clear bhi nahi hogi,

issliye video record karne ke liye aapke pass microphone hona jaruri hota hai but kya essa possible hai ki hum apne android mobile ko mic bana sake to yes abhi aap essa kar sakte hai or aur vo aapke dusre microphone ki tarah hi kaam karta hai.

Mobile Ko Mic Kaise Banaye ?

Contents

agar aapke pass computer hai aur aap usme audio ke sath me voice record karna chahte hai but aapke pass koi accha microphone nahi hai to aap android phone ko hi mic bana sakte hai isske liye aapko ek aap ka use karna hoga aur ek software apne computer me install karna hoga fir aap easily apne mobile ko wireless mic bana sakege,

vaise to isske liye bhut se application internet par available hai lekin unmese bhut kam app esse hai jo sahi se kaam karte hai, android phone ko microphone banane ke baad aap apne computer banate time usme apni audio daal sakte hai

aur apne computer ya laptop se baat bhi kar sakte hai yani computer se kisi ko voice aur video call karte hai to andorid phone ko microphone ki tarah use karke usse baat kar sakte hai, bhut se log apne pass android mobile hone ke baad bhi apne computer ya laptop ke liye alag se microphone buy karte hai lekin abhi aapko alag se koi bhi mic buy nahi karna hoga.

Andoroid Mobile Ko Wireless Mic Kaise Banaye Step By Step Jane

friends yaha par me aapko apne mobile ko computer microphone ke bare me ek nahi balki 3 tarike bata raha hu, first usb cable wala method, second wifi, aur 3rd bluetooth wala hai, inmese aap kisi bhi method ka use kar sakte hai bhut se logo ke pass laptop rahta hai

jisme blutooth aur wifi rahta hai to aap bhi agar laptop user hai to blutooth aur wifi wale method ka use kar sakte hai aur agar aap desktop computer user hai aur aapke computer me wifi ya blutooth nahi hai to aap usb cable wale method ko use kar sakte hai.

Mobile Ko Computer Microphone Banaye Using Usb Cable

  • sabse pahle apko apne mobile me wo mic name ka ek app install karna hoga isse aap play store se download kar sakte hai ya yaha se bhi download kar sakte hai.
  • fir aapko apne computer me wo mic app ka software aur driver install karna hoga isske liye aap isski website par jakar isska software aur driver download karke apne computer me install karle.
  • aab aap apne mobile aur computer me wo mic app, software aur driver install kar loge to fir aapko apne mobile me usb dubbing ko enable karna hoga isske liye aap apne phone ki setting me jaye
  • aur fir yaha par aapko additional setting wala option dikhega uspar click karne ke baad usb dubbing wala ek option hoga usme jaye aur fir usb dubbing ke aage icon par click karke use enable karde.
  • fir aap apne mobile me wo mic app ko open kare aur left side me ek setting wala ek option hoga uspar click kare aur transport wale option me usb pahle se select hoga agar nahi hai to yaha par usb select kare.
  • than isske homepage me jaye aur fir uper sabse first me play wala ek icon hoga uspar click karde.
  • fir aapne jo wo mic software apne computer me install kiya hai use open kare aur usme aapko uper connection wala ek option show hoga uspar click karne ke baad connect wale option par click karde.
  • agar aapne apne mobile ko computer ke sath me usb se sahi tarah se connect kiya hai to aapko connected likha dikhega aur fir aap apne phone ko mic ki tarah use kar sakte hai.

Note – iss process me aapko apne phone ko computer se usb cable se connect karna hoga.

Mobile Phone Ko Laptop Microphone Kaise Banaye ( Wifi & Bluetooth )

  • agar aap apne android phone ko wireless mic ki tarah use karna chahate hai matlab bina kisi wire ya usb cable ke apne phone ko microphone banana chahate hai to isske liye aapke laptop me wifi ya blutooth hona jaruri hai fir aapko Wo mic app ko open karna hai
  • aur setting me jane ke baad transport option par click kare aur fir waha par aap wifi ya bluetooth jiska bhi use karna chahate hai vo select karle.
  • fir aapko apne mobile ko apne computer ya laptop se wifi ya bluetooth jo bhi option aapne select kiya tha usse connect kar lena matlab agar aapne wifi option select kiya tha to aapko wifi se apne phone ko computer se connect karna hai aur bluetooth choose kiya tha to bluetooth se mobile or pc ko connect karna hai.
  • fir aap wo mic app ke home par jaye aur play icon yani start button par click karde fir aapko ek ip address milega usko copy kare.
  • fir aap wo mic software ko apne laptop me open kare aur connection par click kare aur connect par click kare fir waha par wifi ya blutooth jis bhi method se aapne connect kiya hai vo select kare aur ip address me aapne jo ip address copy kiya tha vo paste karde or ok karde.

Now aapka laptop successfully aapke mobile se connect ho jayeaga aur aap apne aapka mobile wireless computer microphone ban jayega jise aap bina usb cable ke bhi use kar sakte hai.

Important

Dosto Mobile ko Computer Microphone Kaise Banate Hai, Android mobile phone ko Wireless mic kaise banaye ye aap ab seekh hi gaye honge ye information agar aapko acchi lagi aur aapke liye useful rahi to isse apne dosto ke sath social media site par share jarur kare aur essi or bhi internet se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here