Android Mobile Me Screenshot Kaise Lete Hai ( Shortcut Keys )

2
android phone me screenshot kaise lete hai

Hello friends Android phone Se screenshot kaise lete hai  ye main aapko iss post me batane wala hu. Aaj-kal bhut se log Android mobile ka use karte hai. Lekin issme kuch esse bhi features hote hai

jinke bare me bhut se log nahi jante hai. Inhi features mese ek features screenshot wala bhi hota hai. aapne bhut bar suna hoga ki aapke friends ne kisi ne bhi aapse bola hoga ki  screenshot send kare.

lekin kya aap isske bare me bilkul bhi nahi jante hai to sahi jagah par hai yaha par me aapko screenshot ke bare me complete information share karunga.

but usse pahle agar aap nahi jante hai ki aap kis kis device me ss capture kar sakte hai to me aapki jankari ke liye batadu ki aap sabhi device jaise moblile , computer, laptop, tablet etc me ss le sakte hai.

Screenshot Kya Hota Hai ?

Contents

Screenshot image ya photo  ki tarah hota hai matlab agar aap apne mobile me koi site open karte hai or aap us site ki photo lena chahate hai to aap uss site ka screenshot le sakte hai. Seedhe sabdo me Screenshot mobile ya computer ki screen ko capture karna hota hai.

yani aap apne phone ki screen ki photo keechte hai yani capture karte hai to isse screenshot kahte hai or isske liye aapko kisi dusre mobile ki jarurat nahi hoti aap apne hi smartphone se apni smartphone ki screen ko capture kar sakte hai.

sabhi log apne mobile me games khlete hai or chatting bhi karte hai to game ke score agar aap kahi pe share karna chahate hai to uska screenshot lekar easily share kar sakte hai. issi tarah agar aapka koi friend aapse juth bolta hai to aap usse uski chat ka screenshot dikha sakte hai.

ab aap samaj gaye honge ki screenshot bhut hi important hota hai aur isse short me ss bhi bolte hai. aapne bhut bar apne dosto se suna hoga ki isska ss de to log confused ho jate hai

lekin screenshot ko hi short me ss bola jata hai aur ye smartphone ka bhut hi kamal ka feature hai jo lagbag sabhi android smartphone me hume mil jata hai.

Android Mobile Smartphone Me Screenshot Kaise Lete hai ( Shortcut Keys )

android mobile me bina koi app ya software ka use kiye  Screenshot kaise liya jata hai., vaise to mobile me ss lene ke liye bhut si apps play store par available hai

lekin aap bina kisi app ka use kiye hi apne phone se screenshot le sakte hai aur isske liye aapko jayeda kuch nahi karna hoga. me aapko yaha par kuch easy step batane wala hu aapko unhe follow karna hoga. aur easily apne android mobile se screenshot le sakte hai.

  • Android Mobile Smartphone me screenshot lene ke liye Power On/Off  Key or  Valume Down Key+ ko kuch second tak dabaye fir aapko ek notification recived hogi jissme likha hoga screen Shot capture or aapka स्क्रीनशॉट phone ya memory card me gallery me save ho jayga.

andoid-mobile-me-screenshot-kaise-lete-hai

Samsung Mobile Me Screenshot Kaise Lete Hai

  • Samsung mobile me स्क्रीनशॉट lene ke liye home key or Valume Down Key + ko kuch second tak dabaye.

samung-mobile-me-screenshot-kaise-le

Iss tarah aap se  asani se kisi bhi mobile me ss le sakte hai.

Note – screenshot ke iss feature ko  aap tabhi kar  sakte hai jab aapke  mobile  ka version “Icecream,  Sandwich, Jally Bean, Kit-Kat, Lolipop aur marshmallow, nougat oreo, pie etc ho

Screenshot Lene Ke Benefits(Fayde)-

Isska sabse badha fayda ye hai ki aapko koi app ya software use nahi karna padhta or aap asani se bina kisi software ko use kiye Screenshot le sakte hai.

Internet par agar aap kisi website ki image capture karna chahate hai to ye best tarika hai aapke liye.

Agar aap koi game khel rahe hai or usme aapka highscore aap apne friends ke sath share karna chahate hai to aap game ke high scrore ka ss le sakte hai .

Agar aap student hai or aap  apne time table ya result ki photo apne mobile me save karna chahate hai to bhi aap iss feature ka use kar sakte hai..

important

Dosto maine aapko mobile me screenshot kaise le wala ye 2 method bataye hai inka use karke aap almost all smartphone ( samsung, mi, oppo, vivo, micromax, intex ) me ss capture kar sakte hai.

kuch mobile me hume long screenshot lene wala option bhi milta hai lekin agar aapke smartphone me ye option nahi hai to isske bare me aapko agli post me bataunga.

Friends agar aapko ye post acchi lage to iss post ko apne friends ke sath social networking  site par share kare, iss post ko apne dosto ke sath share karne ke liye niche share button ka use kare. or agar aapko iss post me kuch samaz na aaya ho to comment karke bataye.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here