अपने नाम का DJ Song कैसे बनाये – मोबाइल से Name DJ Song बनाने का तरीका

17
mobile phone se apne name ka dj song kaise banaye 2 minute me

Apne Name Ka DJ Song Kaise Banaye, Kisi Bhi DJ Song Me Apna Name Kaise Mix Kare, Android Phone Se Apne Name Ka DJ Song Kaise Banaye. Dosto aapne bhut se dj song Sune honge or unme aapne dekha hoga ki bhut se dj songs me 1 2 ya 4 ya 5 baar kisi na kisi ka name sunne ko milta hai. Ye us dj ka name hota hai jissne music ko remix kiya hai. kuch dj apne remix songs me apna naam nahi daalte hai

But jayedatar bhut se dj remix song me apna naam dalte hai jisse ki jo song sunnta hai usko pata chal jata hai ki iss music ko kisne remix kiya hai.  Dj song me name dalne ke liye jayeda editing ki jarurat nahi hai or ab aapko computer ki jarurat bhi nahi hai aap apne mobile se hi kisi bhi song me apna name mix kar sakte hai.

Kisi Bhi DJ Song (Mp3) Me Apna naam kyo mix kare ?

Contents

Dosto aapne bhut se gaane sune honge unme and jayedatar remix dj songs me aapko kisi na kisi ka name and number bhi sunne ko milta hai ye name ya number gaane me issliye mix kiye jate hai kyoki isse logo ko pata chal jata hai ki ye song kisne remix kiya hai ya kisne isski editing ki hai. And bhut se log apne bussiness ka promotion katne ke liye bhi remix song me apna naam and number add karte hai.

Dj song me aap bhi apna name mix karna chahate hai to ye bhut easy hai and ye aap apne mobile se bhi kar sakte hai isske liye pahle aapko apne name ka dj voice tag banana hoga or us voice aap fir editing app ka use karke kisi bhi mp3 songs me add kar sakte hai.

Apne Name ki DJ Voice Tag Kaise Banaye – Full Detail

Aapko text to mp3 converter site par jana hoga jaha se aap apna name likhkar mp3 me convert kar sakte hai text to mp3 convert karne ki site par direct jane ke liye niche button par click kare.

Go to Text To Mp3 Site

enter-your-name-choose-voice-and-generate-audio-file

1. Ab yaha enter your text ke niche wale box me apna naam dale

2. Yaha Mike ki jagah aap female ki voice bhi select kar sakte hai ya aapka naam kisi bhi voice me sahi se na bola jaye to aap yaha spanish select kare.

3. Ab generate audio file par click karde.

4. Generate audio file par click karne ke baad 30 secound se 40 secound me aapke name ki mp3 generate ho jayegi fir download mp3 file par click karke usse download karle.

Now friends aapne apne name ki voice tag  banani li hai  ab aapko isse dj song me mix karna hai.

Apne Name Ka Dj Song Kaise Banaye 2 Minutes Me

  • Sabse pahle aapko play store se 1 app download karna hai jisaka name edijing mix dj iss app ko direct download karne ke liye niche button par click kare.

Download Edjing Mix App

  • Editing mix app ko download and install karne ke baad open kare.

tap-on-first-disk-mp3-icon

  • Yaha aapko 2 editing disk dekhegi aapko sabse pahle 1st disk ke uper mp3 icon par click karna hai to vo song select karna hai jissme aap apne name ki voice tag add karna chahate hai.

select-any-song

  • Mp3 icon par click karne ke baad koi bhi song select kare jissme aap apni voice tag ko add karna chahate hai

tap-on-second-disk-mp3-icon

  • song select karne ke baad ab vo yaha 1st disk me dikhne lagega ab aapko 2nd ke uper mp3 icon par click karna hai. Or vo apne name ka dj voice select karna hai jo aapne banaya tha.

select-your-name-tag-voice

  • Second disk ke uper mp3 icon par click karne ke baad ab yaha aapko apne name ki dj voice select karna hai agar aapko Yaha all sabhi song ki apne name ki voice nahi mil rahi hai to uper folder icon par click kare or yaha aapko apne mobile  ke sabhi folder dikhne lagege ab jis bhi folder me aapke name ki voice hai uspar click karde or apne name ki dj voice par click karke select karde.

tap-on-play-and-record-option

  • Second disk me ab aapke name ki dj voice dikhne lagegi. Ab aapko 1st wali disk me jo song hai usse play karna hai or record karna hai  isske liye 1st wali disk ke niche play icon par click karde. Or uper Rec par click karde.

tap-on-second-disk-play-icon

  • Now ab aapka music chalne lagega or record hone lagega ab aapko jaha bhi iss gaane me apna naam ki voice add karna hai wha pe second disk ke niche play icon par click karde.

tap-on-volume-icon-and-select-volume

  • Ab agar aapko song ke name ki volume ko kam karna hai jisse aapka name jayeda Loud vice me sunai de to A ke niche volume wale icon ko niche karde. And fir secound disk ke play icon par click kare.

tap-on-b-option-and-select-click-remix-effect

  • Yaha dj songs ki baat ho rahi hai to usme remix effect add to karna banta  hi hai issliye aapko bhi apne music me name ki sath me other effect bhi add karne hai to yaha B par click kare ab yaha second disk ki jagah aapko air horn what etc effect dikhne lagege inpar click karke aap apne music ko remix bana sakte hai.

tap-on-down-arrow

  • Aur effect dekhne ke liye right arrow par click kare. Ab yaha aapko or effect jaise clap he het kick share etc dikhne lagege in effect ko aap song me sahi jagah par play karte hai to aap ek bhut accha remix song bana sakte hai..

tap-on-a-and-select-remix-effect

  • Ab aapko agar ek sath 2 voice effect music me use karna hai to A icon par click kare ab aapko 1st disk me bhi same effect dikhne lagege. Ab music  me jis jagah in effect ka use karna hai wha in dono effect par ek sath click karke use kar sakte hai

after-using-all-option-tap-on-record-option

  • Ab jab friends aap in sabhi option ka sahi se use karle fir aap uper record icon par dubara click karde.

  • Record par click karne ke baad aapne apne name ka jo dj song record kiya hai yani banaya hai vo aapke phone ya sd card me music me editing record wale folder me save ho jayega.

Iss tarah friends aap easily mobile phone se apne name ka dj gaana bana sakte hai..

Dosto kisi bhi song me apna name kaise mix kare , apne name ka dj song kaise banate hai , apne naam ka dj song banane ka tarika, remix song kaise banate hai , Mp3 me apna name kaise add kare , Android phone se apne naam ka dj song kaise banaye wali ye post Aapko agar acchi lage to isse apne friends ke sath social media sites par share jarur kare.

17 COMMENTS

    • thanks aapko mobile phone se apne name ka dj song kaise banaye wala ye article accha laga bhut acchi baat hai essi or bhi internet and android tricks ke liye humari site par visit karte rahe.

  1. Kya aap mere ko mere name aur Number ke sath ek dj song bna kar de sakte ho please sir,
    Aur mujhe whatsapp kar sakte ho
    Dj ya mix by kuch bhi bna dena please
    Mere mere dj tone bhi mere se nikal nhi rahi h

    Name- Gautam
    Mo.-9927217205

    • aap iss post me bataye instruction ko follow karke easily apna naam ka dj song bana sakte hai and aapko apne name ke sath me apne number ka bhi dj song banana hai to isske liye aapko apne name and number ki alag alag dj voice banani hogi aur fir song ke sath me usko bhi play karna hoga. ye sab maine step by step iss post me bataya hai issko dubara read kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here