ATM Se Paise Kaise Nikalte Hai Step By Step Jane Tarika

2
ATM-se-paise-ya-cash-kaise-nikalate-hai-full-detail-in-hindi

Hello friends Atm se paise kaise nikale jate hai, atm Machine se paise kaise Nikalte hai ye main aapko iss post me batane wala hu. Friends aaj kal sabhi logo ke pass apna atm card hota hai lekin un logo mese kuch log nahi jante ki isse use kaise karte hai ya isse paise kaise Nikalte hai hai issi ki jankari main yaha aapke sath share kar raha hu.

sabhi logo ka bank account hota hi hai. aur bank me account open karane ke baad hume net banking, debit card  ( Atm card) jaisi facility milti hai. kuch bank me hume account open karane kuch days baad hi atm card de deti hai aur kuch me thoda wait karna hota hai

ATM Kya Hai Or Atm Card Kya Hota Hai

Contents

Friends aap mese bhut se log ATM ke bare me jante honge lekin kuch nahi jante ki ye kya hai. ATM ko bhut se log ‘any time money’ bhi kahte hai lekin iska full form ‘automated teller machine ’ hai. Ye aapko 24*7 ki service provide karte hai matlab aap kabhi bhi issse apne paise nikal sakte hai. issse paise nikalne ke liye aapke pass atm card ya debit card hona jaruri hai.

ye card plastic ka bana hota hai or ye alag alag prakar ka hota hai jaise rupee, visa, master-card etc iss ka ek sabse badha fayda ye hai ki aap isse online & offline shopping karne me bhi use kar sakte hai.

online shopping matlab aap snapdeal flipkart etc se shopping karte hai to aap atm use kar sakte hai. or offline shopping jaise kisi mall se koi saman buy karne ke liye bhi aap iska use kar sakte hai.

jaisa ki aapko pata hi hoga ki government dwara cashless transaction ko badhava diya hai aur india ko digital banane ke prayas kiye ja rahe hai. issliye agar aap cashless transaction karte hai to aapko bhut se discount offer bhi milte hai.

Atm Machine Se Paise Kaise Nikalate hai Step By Step Jane

Atm se paise nikalna bhut asan hai koi bhi asani se isse paise nikal sakta hai. Agar aapne abhi tak kabhi bhi atm use nahi kiya hai ya kabhi bhi isse paise ya cash nahi nikala hai to iss post ko padkar aap asani se apne debit card se paise nikal sakege.

kuch logo ko atm card ka use karna nahi aata hai jis wajah se unko atm machine se cash withdraw karne  ke liye dusre logo jaise friends, relatives,  etc par depend rahna hota hai but iss post ko padhakar aapki problem solve  ho jayegi.

How to withdraw Cash from ATM in hindi

1.Sabse pahle aap apna atm ya debit card leker atm machine tak jaye.

2.Ab aap apne debit Card ko  ATM Machine me jo slot hota hai usme insert  kare Aur turant Card Nikal Le.

3.Card insert karate hi aapko language select karne ke liye kaha jayega aap hindi, english 2 option dilhege. Aap apne hisab se language select kare.

4.Ab aapko Apne debit card  ka PIN Number jo 4 Digit ka hota hai vo dalna hai.

5. aapko aapko Banking Select kare…

6.Ab  aapko  bahut se options dikhege  unme se Cash Withdrawal par click krde.

7.Ab aapko apne account ko choose karne ke liye kaha jayega Aapka jo bhi  account hai Current ya Saving wo select kare.

8. ab aapko Amount enter kana hai (jitane paise aap nikalna chahate hai  wo rakam dale). Aur yespe click karde.

9. Transaction ko pura hone de. Aur apne paise ya cash collect karle.

10. Apni slip le le. Aur last me Clear par click karde.

Iss tarah friends aap asani se in steps ko follow karke kisi bhi ATM se paise nikal sakte hai.

Important – 

Atm se paise Nikalate samaye aapko kuch baate dyan me rakni chahaiye jaise aap iss ka unlimited use nahi kar sakte hai matlab isse paise nikalne ke liye bank ne ek limit de rakhi hoti hai aap agar apne card se dusri bank ke machine se paise Nikalate hai to aap 2-5 transaction hi free me kar sakte hai isske baad charge lagta hai jo Rs20 se Rs50 tak hota hai.

Friends agar aapko ye post accha lage to iss post ko apne friends ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss post me kuch samaz na aaya ho to comment karke jarur bataye. aur essi or bhi new information aur internet se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

2 COMMENTS

  1. @Manhish ji aapne ye post meri site se copy ki hai aur usme thodi bahut editing karake post kardi hai. Yesa karane se aapko kuch fayda nahi milega balki aapka nuksaan hi hoga. Mai aapko ek bahut accha blogger samajahata hu.

  2. umesh ji maine aapki post copy nahi ki hai ye post 100% real hai and maine kudh likhi hai aap meri post or apni post ko pura padhe fir aapko pata chal jayga ki ye post real hai copyright nahi hai…..

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here