FreeCharge Se Bijli Bill Jama Kaise Kare – Online Pay Electricity Bill

3
freecharge se bijli bill jama kaise kare online pay electricity bill

FreeCharge Se Bijli Bill Jama Karne Ka Tarika, Bijli Ka Bill Kaise Jama Kare, Online Bijli Ka Bill Kaise Bhare, Online Electricity Bill Pay Kaise Karte Hai. Friends internet ki iss dunia me aaj lagbhag aap apne sabhi kaam online hi kar sakte hai jin kaam ko karne ke liye aapko pahle ghante lagte the Aur bhar jana padhta tha vo aaj aap ghar baithe bhi kar sakte hai.

Online shopping se lekar aap apne mobile recharge tak etc bhut se kaam aap ghar baithe apne smartphone se hi kar sakte hai. isske alawa aap online flight ticket booking, train ticket booking Aur ab taxi ticket booking bhi online kar sakte hai.

Ye sabhi kaam karne ke liye aapke pass jaruri nahi hai ki laptop ya computer ho aap apne mobile phone se bhi ye sab kaam kar sakte hai aur isske liye aapko apne smartphone me mobile wallet ka use karna hota hai.

Paytm, freecharge, phonepe, google tez etc popular mobile wallet hai Aur inme aapko bhut se offers bhi milte hai. Jinse aap online recharge,  bill payment,  ticket booking etc par jayeda se jayeda cashback prapt kar sakte hai.

Online Bijli Ka Bill Jama Kaise Kare Puri Jankari Hindi Me

Contents

Dosto agar aap apna bijli bill online jama karna chahate hai to aapke pass 2 option rahte hai pahla aapko apni state ke electricity Board ki site ko find karna hoga Aur us site me register karke aap waha se apna electricity bill pay kar sakte hai.

Aur 2nd aap mobile wallet jaise paytm, freecharge, phonepe, mobikwik etc ka use karke apna bijli bill jama kar sakte hai in dono option mese mujhe sabse accha option mobile wallet wala lagta hai kyoki ye bhut asan tarika hai Aur isse aapko ek fayda ye bhi hota hai ki aapko cashback bhi mil jata hai.

Freecharge ek popular mobile wallet hai Aur isse aap agar first time ya second time bijli bill jama karte ho to aapko 5% cashback milega yani  aapko apna electricity bill freecharge se first time ya second time pay karne par 50 rupee tak ka cashback mil sakta hai. And isske liye aapko only ek promo code ka use karna hota hai. 

Issi tarah ke bhut se offers freecharge par milte rahte hai jinka use karke aap jayeda se jayeda labh utha sakte hai. Freecharge se aap bijli bill jama karne ke alawa mobile recharge, movie ticket booking, bus ticket booking, train ticket booking, dth recharge, flight ticket booking etc bhut se kaam kar sakte hai.

FreeCharge me aapko sabhi state ke electricity board mil jate hai jaise APEPDCL – Eastern power Distribution company of andhra Pradesh Limited , BESCOM Bengalore, BEST Mumbai, BSES Rajdhani – BSES Rajdhani Delhi NCR, CSEB – Chhattisgarh state electricity board, MPMKVVB – MP Madhya kshetra vidyut vitaran – Bhopal, NPCL – Noida Power Co Ltd etc

FreeCharge Se Bijli Ka Bill Kaise Bhare – Online Pay Electricity Bill

Agar aap bhi Freecharge se Online Electricity Bill Payment karna chahate hai to Isske liye sabse pahle aapko apne mobile me freecharge app download karna hoga. Isse abhi tak 10 millions se jayeda logo ne download kar liya hai and iss app ki rating 4.3 hai isse aap freecharge recharge, bill payment wallet app ki popularity ka andaza laga sakte Hai.

Freecharge app android and iPhone dono hi smartphone user ke lite avaliable Hai agar aap android user Hai to play store se issko download Kar sakte Hai Aur aap agar apple iPhone user Hai to frecharge app ko iTunes store se download kar sakte Hai ya direct yaha se Bhi Kar sakte Hai.

Download Freecharge App

Frecharge app ko download and install karne ke baad ab aapko issme apna ek account create karna hoga freeCharge par account Kaise Banate Hai isske bare me Maine already apni ek post me bataya hua Hai jisse aap niche link par click Kar read Kar sakte Hai.

Online Bijli Bill Jama Karne Ka Tarika Hindi Me Using Freecharge

tap-on-electricity-option

  • Freecharge me account banane ke baad isske homepage par aapko new payment me 2nd number par electricity wala option dikhega isspar click karde.

select-your-state-electricity-provider

Ab jaise hi aap electricity par click karege aapko apne state ka electricity Provider choose karne ke liye bola jayega sabhi state ke alag alag electricity board hote hai. Jaise agar aap madhaya pradesh state se hai to mp ka electricity Board MPMKVVB mp madhya kshetra vidyut vitaran hai

Aur Agar Uttar Pradesh se hai to up ka electricity board Noida Power hai to jis aap bhi state hai to yaha aapki state ka jo bhi electricity provider hai uspar click karke select karde. ( Agar aapko apne state ke electricity provider ka name nahi pata hai to aap apne bijli ke bill me dekh sakte hai )

enter-your-consumer-number-and-continue

Ab electricity Board select karne ke baad yaha aapse consumer number enter karne ke liye bola jayega. Ye consumer id ya consumer number 7 se 15 digit ka hota ha. consumer number aap apne bijli ke bill me left side me dekh sakte hai. yaha par apne bill mese dekhkar apna bilkul sahi sahi 7 se 15 digit ka consumer enter kare Aur fir continue par click karde.

Note – Friend consumer number aapke bill me left side me likha rahta hai Aur ye 7 se 15 ank ka hota hai issliye apne bijli bills mese dekhkar hi consumer number enter kare kyoki agar aap issme ek bhi galat digit daal dete hai to dusre ka bills payment ka jayega issliye sahi sahi consumer number dale.

now-you-can-see-your-electricity-bill-details

  • Ab aap jaise hi apna consumer number enter Continue par click karege aapko yaha aapki sabhi bills details show hogi jaise aapka name Aur aapka pending bill amount yaha dikhega. Aur yaha Have a promo code Wala option Bhi aapko dikhega.

enter-promo-code-and-tap-apply

  • Have a promo code wale box me POW50 ye code likhkar apply par click karde

now-your-promo-code-successfully-applied

  • ab aapko voila POW50 has been applied likha dikhega ok par click karde. Issi promo code ka use karne par aapko Cashback milega agar aap promo code use nahi karege to aapko Cashback nahi milega.

choose-payment-method

  • Ab yaha aapko bills payment option select Karna Hai yaha aapko debit card, net banking, upi etc option dikhege aap jis Bhi payment method se payment Karna chahate Hai uspar click karde. Jaise agar aapko apne bank ke atm card se Bijli Bill payment Karna Hai to CREDIT/DEBIT option par click kare Aur yaha enter Debit card number me apne ATM card ka number dale Aur MM/YY me atm card ka month Aur year dale.

tap-on-proceed-to-pay

  • Atm Card number, month and year dalne ke baad ab aapse cvv manga jayega ye cvv number aapke atm ke piche sabse last me likha rahta Hai Aur 3 digit ka rahta Hai apne card ka cvv number enter Kare Aur fir proceed to pay par click karde.
  • Ab aapke bank account se Jo number registered Hai us number par ek otp code aayega vo otp code yaha Dale Aur fir submit par click karde.
  • Congrats Ab aapko your payment is successful likha dikgega jiska Matlab Hai ki aapka electricity bill successfully pay ho chuka Hai.

Iss tarah Aap easily Online Bijli Bill Jama Kar sakte Hai.

Dosto Freecharge Se Bills Payment Kaise Kare, Online Bijli Ka bill Kaise Bhare, Light Bill Jama Kaise Kare, Bijli Bill Jama Karna Hai, Online Bijli Bill Jama Karne Ka Tarika, How To Pay Online Electricity Bill In Hindi ye ab aap seekh hi gaye honge agar ye post aapko accha laga and aapke liye useful raha to isse apne other friends ke sath social media par share jarur kare.

3 COMMENTS

  1. Sir m Uttar Pradesh se hu me apna bill jma Kar rha hu freecharge aap vo utter Pradesh ka option nhi dikha rha h mujhe btaoge hoga ya nhi

    • ferecharge me bill jama karte time state select karne ka option nahi aata hai aapko only electricity provider hi select karna hota hai matlab uttar pradesh ka jo electricity board hai vo yaha par select kare electricity board ka name bill me likha rahta hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here