Bitcoin Kya Hai ? BTC CryptoCurrency Kaise Kharide

1
bitcoin kya hai bitcoin ki puri jankari hindi me

Bitcoin Kya Hai Bitcoin Kha Se Kharide, Bitcoin Buy And Sell Kaise Kare ye sabhi keyword bhut se log search karte hai Aur aap bhi agar janna chahate hai ki BTC kya hai to aaj ki post aapke liye hi hai bitcoin ek cryptocurrency hai.

Cryptocurrency bhi different types ki hoti hai. Cryptocurrency bhi digital money ya digital assets rahta hai jisaka use product buy karne ya koi service buy karne ke liye kiya jata hai. Btc, litecoin, ripple, Ethereum, Zcash etc ye sabhi cryptocurrency hai.

abhi aap soch rahe honge ki hum jab kisi product ya service essi hi buy kar sakte hai to kisi  cryptocurrency ka use kyo kare to me aapko batana  chahunaga ki sabhi country ki currencies ala alag hoti hai

issliye aap apni  desh ki currency se dusre desh ki services nahi prapt kar sakte hia but agar aapke pass cryptocurrecy hai to usse aap kahi pe bhi use kar sakte hai.

Bitcoin Kya Hai ? What Is Bitcoin Detail In Hindi

Contents

Dosto agar simple Language me kha jaye to bitcoin ek Essi currency hai jisko hum world ki sabhi Countries me use kar sakte hai. Aur isska use karne pe koi extra charge bhi pay nahi karna padhta. Normally har country ki apni ek mudra ( currency) hoti hai jaise india me rupee, us me usd doller, yurop me yuro etc

Aur jab hum apni currency ko dusri country ki currency me change karte hai to hume usske liye extra charge pay karna padhta hai but ye ek Essi currency hai jisse aap sabhi country me use kar sakte hai.

Bitcoin ek virtual currency hai jisse hum only internet par dekh sakte hai. Aur issko hum touch nahi kar sakte jaise jaise hum 500 ya 2000 rupee ko touch kar sakte hai Or isse sirf aap internet par hi dekh sakte hai. BTC ko internet par identify karne ke liye B capital symbol rahta hai jissme 2 falling strokes line rahti hai uske alawa btc ko darsane ke liye  mbtc, Ubtc etc name use kiye jate hai.

Bitcoin Kaam Kaise Karta Hai ? How to Use BTC Detail In Hindi

Dosto bitcoin ke Fouder satoshi nakamoto hai jinhone BTC cryptocurrency ko banaya Aur btc ki site par bataya gaya hai ye kaam karta hai. Lagbhag 1 lakh se bhi jayeda computer 1 BTC transaction ko count karte rahte hai. Aapne bhut baar Bit coin ke bare me search karte time satoshi name bhi suna hoga.

Bhut se log sochte hai ki btc ko hi satoshi bolte hai but essa nahi hai.  Jaise humare country me 1 rupee me 100 paise hote hai. Ya US me 1 usd doller me 100 cent hote hai ussi tarah bitcoin me bhi 1 BTC me bhut se satoshi hote hai. Satoshi Bitcoin ki small unit hoti hai..

1 Bitcoin ka price usd me 15308$ us doller hai jisko indian rupee me change karne Rs 980819.08 hota hai or BTC ka price har din kam jayeda hota rahta hai. Sabhi logo ka ek question rahta hai ki 1 BTC ka price itna jayeda kyo hai

isska answer ye hai ki BTC ki depend bad rahi hai so isska price bhi increase hota ja raha hai or jab isski demand kam hogi to isska price bhi decrease hoga. Aur BTC ka use aap online shopping , online payment karne etc bhut hi jagah par kar sakte hai Aur isko aap sell bhi kar sakte hai.

India Me Bitcoin Kaise Kharide Full Detail in Hindi

Dosto India Me Bitcoin Buy Kaise Kare  agar aap india se hai or bitcoin buy karna chahate hai to yaha me aapko 2 popular site batane wala hu jinka use karke aap BTC buy karne ke sath sath sell bhi kar sakte hai. ye bhut hi popular site hai jinko almost sabhi log use karte hai.

1. Unocoin

Unocoin india me btc buy karne ki popular site hai Aur isse aap easily bit coin buy kar sakte hai. Isske liye sabse pahle aapko unocoin ki site par jana hoga or usme account banakar apni bank details add karke verify karana hoga fir aap isse btc buy and sell kar payege.

Go to Unocoin Wallet

2. Zebpay

Zebpay app bhi india me bitcoin buy karne ke liye bhut hi popular app hai ye bhut hi user friendly hai Aur isaka customer support bhi accha hai isska use karke aap apne bank account se money zebpay wallet me add karke easily btc buy kar sakte hai

Isske liye aapko sabse pahle zebpay app ko download karna hai and issme account banana hai and address proof ke liye apna pan card photo upload karna hai and fir jab aapka accont verify ho jayega tab aap zebpay se easily btc buy and sell kar sakte hai

Download Zebpay App

Dosto ab aap samjh gaye honge ki Bitcoin Kya Hai Aur Iska Use Kaise Karte Hai Bitcoin Se Paise Kaise Kamate Hai BTC CryptoCurrency Kya Hai Aur Kaise Use Karte Hai etc sabhi question ka answer aapko iss post me mil gaya hoga aapko ye post accha lage to isse apne friends ke sath social media site par share jarur kare.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here