Hello friends code box kya hai blogger blog post me code box kaise add kare ye main aapko iss post me batane wala hu. Friends agar aap blogger hai to blog me aapko script or html code bhi share karne hote hai
blog design karne ki liye programming language ( coding) ka use karna hota hai. programming language me java, css, html etc aati hai. wordpress par aap bina coding ka use kiye hi plugin use karke blog designing kar sakte hai.
lekin agar aap blogger par hai to fir aapko thodi bhut coding aana jaruri hai. agar aap post me koi code dalte hai to vo show nahi hota hai kyoki blog ka template javascript, css aur html se milkar bani hoti hai.
issliye agar css aur html code ko blog post me direct paste karte hai to uske sath hi match ho jata hai. lekin agar aap kisi html ya css code ko post ke dwara other logo ke sath me share karna chahate hai to uske liye aapko text box ka use karna hota hai.
Code Box Kya Hai ?
Contents
Blog me aapko css or html codes ko bhi post me add karna hota hai lekin agar direct html section me inko paste karte hai to vo show nahi hota or agar aap post me direct code dalte hai to vo aapke content ke sath mil jata hai.
matlab google aapki complete post ko search karta hai or apni post me code dalege to google use bhi search kar lega issme koi problem to nahi hai. lekin jaydatar log copyright codes ka use karte hai jaise vo ek site se inko copy karke apni site me use karte hai
agar Aap bhi iss tarah ke copyrights codes ko apni site me use karte hai aur us site ka credit link bhi post me share karte hai to us site ka owner copyright claim bhi kar sakta hai.
Issliye apne content ko sahi-sahi or saaf suthra dikhane ke liye code box ka use kiya jata hai aur isske andar aap jo bhi code dalte hai vo google ya other search engine search nahi kar pate jisse agar aap copyrights code bhi use karte hai to bhi aapki post copyright nahi hoti.
Blogger Blog Post Me Code Box Kaise Add Kare ?
Blog Me Simple Code Box Kaise Use Kare
Sabse pahle aap yaha click kare or simple codebox ki text file download kare ab aapne jo text file download ki thi use open kare usme likhe code ko copy kare.
Ab aap html par click kare or post me jaha aap chahate hai codebox dikhye waha copy kiya code ko paste kar de. or usme se your text here ko replace kar matlab hatakar aap jo code add karna chahate hai vo your text here ki jagah daal de ..
Stylish Text Box Blog Me Kaise Add Kare
- Sabse pahle niche diye text ko copy kare
- Ab apne blogger dashboard par jaye
- Template par click karke edit html par click kare
- Ab template me kahi bhi click kare or keyboard se ctrl + f key dabaye
likhkar search kare Ab aapne jo text search kiya tha vo highlight ho jayga ab iske theek uper copy kiya code paste kar de. Or save template par click karde.
- Ab aap apni jis bhi blog post me codebox add karna chahate hai waha par jaye aur html section me
<div>YOUR Text HERE </div>
sir ji nhi ho paya ye niche vala chalu ji mere blogger me ji please ye bataiye ki kya ye galat he kya jo nahi chalraha he ji please ji
aap code ko template editor me sahi jagah par paste kare.
ji apjine sir ji
}}
isko
or
image me alag search vala bata rakha he kese pata chalega ki sahi image vala search karna he ya
}}>
html me isko search karna he sir thoda sa atpata lagraha he ji please ji help sir ji meri help ak bar bhi nahi ho payee he ji please help ji
Shyama dasi ji maine jo code diya codebox me diya hai aap vo search template editor me and uske uper stylish code paste kardo and save template kardo
sir ji ho to gaya magar ji apke jesa nahi huaaa ji
apke isme to ham likhbhi sakte he magar hamare me to only copy hi ho pata he asakyuji box kya galat coding he kya ji please batane ki daya kare ji please ji
shyama ji maine jo codebox use kiya hai vo simple codebox hai and simple codebox me kuch bhi likh sakte hai and text copy kar sakte hai. uski link iss post me di hui hai aap usse waha se copy kar sakti ho or vo notepad file me hai. jisse aap mobile ya computer dono se open kar sakti ho and usse apni blog post me use kar sakti ho and maine aapke sabhi comment ka reply kar diya hai 🙂
Sir aap kaun sa template use kar rahe hai
Newspaper WordPress theme hai 🙂