Hello friends iss post me aapko Captcha code kya hai ye batane wala hu. Captcha ka full form “Completely Automated Public Turing Test To Tell Computers and Humans Apart” hota hai, issko sabse pahle san 2000 me banaya gaya. Or ise sabse pahle yahoo par use kiya gaya.
Captcha issliye banaya gaya kyoki bhut si sites apni search ranking badane ke liye spam programs ka use karti thi. Jaise apne aap kisi bhi site ke comment me apna blog link add kar dena etc. Isske alawa yahoo, microsoft , gmail jaisi companys free mail service uplabadh karti hai. Inme se bhut mail site ka kuch saal pahle ek programms se bhut nukhsaan hua tha jo tha bots. In bot ka use karke ek sath 1000 account me sign in kiya ja sakta tha. Issliye in bot se bachne ke liye captcha banaya gya.
Captcha kya Hota hai ? What Is Captcha In Hindi
Contents
Jab aap kisi bhi online registration sites jaise Bank site, Shopping Site par jate hai tab aapko usme register ya sign up karte samaye ek image dikhti hai jisme kuch word(sabd) rahte hai alphabet or number me. Issi image ko captcha kahte hai. Agar aap nahi jante ki ye kaisa dikhta hai to niche image dekhe.
Captcha Ka Kyo Use Hota Hai Ya Kyo Use Kiya Jata Hai-
Bhut si sites par iska use hota hai, isska reason ye hai ki captcha ek program image hoti hai. jo sirf human(insan) padh sakte computer nahi. issliye sabhi sites apne ko secure rakhne ke liye or site safety ke liye bhi isska use karti hai.
Read also:-
Captcha Code Ko Solve Kaise Karte Hai-
Captcha Ke Benefits / Features In Hindi-
- Agar aap blog ke comment box me isska use karte hai to aapke blog par koi bhi spam comment nahi kar payga.
- Isse bhut si online sites safety ke liye use karti hai.
- Sabhi sites me isska use issliye kiya jata hai kyoki isse solve sirf human kar sakte hai computer nahi.
- bhut se blog or website par Captcha ka use ‘bot’ se site ko nuskaan na punch, or bot ka use na kiya ja sake issliye bhi kiya jata hai.
Read also-
- Kisi bhi blog ya website me virus kaise check kare in hindi
- Aapka computer male hai ya female kaise pata kare
Friends agar aapko ye post acchi lage to iss post ko social networking site par jarur share kare or agar aapko iss post me kuch samaz me na aaya ho ya aapko other post se related koi Question puchna hai to comment karke jarur bataye main aapki help jarur karunga… Thanks for read this post
Mere se captcha solve hi nhi ho raha. Jab v solve krti hu tbi invalid captcha show hota hai .muje irctc account se ticket book krne ke liye help ki jrurt hai.
aapko captcha solve karne me kya problem aa rahi hai IRCTC me bhi normal captcha hota hai jo main yaha bataya hai and aapko usme vaisa ka visa captcha code enter karna hai. yani usme capital latter me captcha aata hai to aapko bhi capital yani uper cash letter me captcha code enter karna hai or usme space rahta hai lekin aapko bina space se code enter karna hai. jaise aap nich image dekhe.. ye irctc account wale captcha ki image me aapko essi tarah code dalna hai..
