Facebook Account Name 60 Din Se Pahle Kaise Badle ? Change Kare

8
facebook account name 60-days-se pahle kaise change kare

Hii friends Facebook Par 60 Days Se Pahle Name Kaise Change Kare, 60 Din Se Pahle Facebook Account Name Change Kaise Kare ye main aapko iss article me batunga. Fb ek popular social networking site hai aaj-kal koi bhi essa nahi hai jisska Facebook account na ho sabhi logo ka isspar account hota hai.

facebook account banate time name email and password ye option fill karne hote hai lekin agar aapne galti se name fill karte time galti se apna naam galat daal diya hai or aap use change karna chahate ho but 60 days ki limit show ho rahi hai to isskaa matlab hai ki aap 60 din se pahle apna facebook account name change nahi kar sakte hai kyoki fb par name change karne ki limit 60 days ki hoti hai.

Lekin aaj main aapko essi trick ke bare me batane wala hu jisse aap facebook name change karne ki 60 days ki limit ko cross kar sakte hai. and After Limit Facebook Name change karne ke Aur bhi kai karan hote hai jaise aaj-kal bhut se log facebook par apna naam stylish ya long ya song jaisa dikhana chahate hai agar aap bhi apna naam stylish dikhana chahate hai or naam ko badalne par 60 days ki limit show hoti hai to us limit ko cross karne ka tarika hi main aapko yaha batane wala hu.

FB par agar aap bar bar apna name change karte hai to aapko 60 days limit wala message dikhta hai yani fir aap 60 din se pahle se pahle apna naam nahi badal sakte hai. ab bhut se log sochte hai ki facebook name change limit 60 days kyo rakhi gayi hai and kya iss limit se pahle hum apne facebook account name change nahi kar sakte hai

to aapke question ka answer hai ki facebook cahahta hai ki sabhi user real ho aur unke account bhi verified and real rahe and jab aap facebook par 2 time ya 4 times jitni bhi bar name change karte hai to fb team ko lagta hai ki aap fake person hai

issliye aapke account par 60 days ki limit set kar di jati hai. lekin aap agar facebook ko batade ki aap real person hai to 60 din se pahle bhi apna facebook account name change kar sakte hai.

Facebook Profile Name 60 Days Se Pahle Kaise Change Kare

Jaisa ki maine aapko bataya ki agar aap facebook par jayeda bar Naam badalte hai to aapke account par ek limit set kardi jati hai aur us limit tak aap fb par apna naam change nahi kar pate ye limit 60 days ki rahti hai fir bhut se log google par facebook name change trick 2018, facebook name change kaise kare after crossing limit etc likhkar search karne lagte hai to aapki bhi yahi problem hai to isska solution aapko iss article me mil jayega.

FB Par 60 Din Se Pahle Name Change Kaise Kare Ya Badle Step By Step Jane

60 Din Se Pahle Apna Facebook Account Naam Change karne Ke Kiye Niche Bataye Instruction Ko Follow Kare-
tap-on-down-arrow-and-setting
  • Sabse pahle apne FB account me login kare or right side me Down arrow  par click kare or setting par click kare. Agar aap mobile use kar rahe to setting and privacy ka option aapko sabse niche dikhega.
  • Ab General par click kare or apne Naam ke samne edit par click kare.

tap-on-learn-more-option

  • Ab aapko learn more par click karna hai.

tap-on-learn-more

  • Ab aapke samne ek page open hoga jissme aapko bhut se option dilkhege sabse niche aapko learn more par click karna hai.

tap-on-let-us-know-option

  • Ab aapke samne ek or page open hoga issme niche let us know par click kare fir ek form jaisa ek page open hoga jisse aapko fill karna hai.

facebook-account-name-change-karne-ka-tarika-in-hindi

1. new first name me aapko apna naya naam dalna hai.

2. ye option optional hai yani isse fill karna chahate hai to kar sakte hai ya isse khali chodh de.

3. new surname me apna naya surname dale.

4. pick one me legal name change wale option ko select kare.

5. your id me aapko apni document upload karna hai ye sabse important option hai issme aapko apne real documents hi upload karna hai. Choose file par click kake aap Documents me aadhaar card, pan card, passport, Driver licence, Marriage certificate, Birth certificate, Voter ID card etc upload kar sakte hai.

6 sabhi option sahi se fill karne ke baad Send par click karde.

Ab aapka FB Name 24 hours me change ho jayega or aapko message ke through pata chal jayega.
Friends 60 Days Limit Se Pahle Facebook Account Name Kaise Change Kare wala ye post accha lage to isse apne dosto ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss post me kuch samaz na aaya ho to comment karke jarur bataye.

8 COMMENTS

  1. maine apply kiya hai purana wala name rakhne ki dekhta hun kya hota hai …..waise mujhe pura wisvas hai ki mera request except hoga …..nice information thank u mere bhai

    • you’re most welcome kishor ji, yes aapka facebook page account old name ke sath hi page me convert ho jayega. thanks aapko ye facboook trick wala ye article accha laga esse or fb trick se related article ki notification apne email par pane ke liye aap humari site ko subscribe kar sakte hai.

    • aap apna facebook name 60 days se pahle change kar sakte hai but usko stylish name me convert ya change karne ke liye aapko 60 days tak wait karna hoga.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here