Android Phone Ko 3 Times Clap Kar (Tali bajakar) Kaise Find Kare

2

Hello friends, Android Mobile Phones Clap Karke Kaise Find Kare ya smartphone ko tali bajakar kaise dhunde ya find kare ye main aapko iss post me batunga friends  agar aapka phone ghar par kho jata  hai aur aap use dhundte dhundte pareshan ho jate hai

ya fir apka phone kahi idhar-udhar girta rahta hai matlb bahut reason hote hai to dosto aaj hum apke liye bahut shandar tricks laye hai jisse aap  kahi se bhi  kabhi bi mobile dhund sakte hai ya khoj sakte hai.

android smartphone se related maine bhut si post already ki hui hai jisme maine phone ko root karne, ram badhane etc ke bare me bataya hua hai un sabhi post ko aap android tricks category me jaker read kar sakte hai. 

Android Mobile Phone Ko 3 Times Clap Karke Find Kaise Kare

Contents

Bahut logo ki yahi problem hoti hai ki WO apna phone ghar ya office wagara me rakh kar bhul jate hai aur fir us  mobile  ko dhundte-2 pagal ho jate hai.  and ek problem ye bi hai ki  family members apne bacho ko mobile  de dete hai aur jab WO jayda chalate hai.

to use kahi par rakhkar bhul jate hai  jisse us mobile ko dhundene me baad me  problem aati hai.  koi bhi reason ho aapki problem  iss post ko read karke puri tarah solve ho jayegi.

yaha main aapko bhut hi interesting trick batunga. jissse aap tali bajakar apna phone find kar sakte hai yes aapne sahi suna aap only 3 baar tali bajakar( 3 time clap) karke  apna mobile dhudh sakte hai.

Mobile Phone Ko Tali Bajakar Kaise Dhunde

  • Sabse pahle aap play store me jaye aur waha par search kare clap to find aur fir usko download kare aap niche diye hue link se bi download kar sa me kte hai

Download

clap to find app

  • Download hone ke bad apko open karna hai aur apke samne get started k option ayga apko uss par click karna hai

phone ko clap karke kaise find kare

  • Ab apke samne ek page open hoga jis par likh hoga clap to start and uske niche quickly clap 3 times likha hai iska matlb hai apko 3 bar clap karna hai

clap to start

  • 3 baar clap karne ke baqd ek new page open hoga jisme likha hoga ” put your devices to sleep and quickly clap three times, device will ring, ” iske niche OK k option hai apko OK kar click dena hai.

just-choose-ok

Note:- jab tak aap clap achi tatike se ni karoge tab tak kuch ni hoga matlb Jo uper diya hua hai page hai aisa kuch ni ayga apko thoda slow aur 1 sec k gap dena hoga tab hi aap work kar paoge

ab aap apne phone k lock laga kar 3 time clap kare aab aap dekh sakte hai jaise kisi k phone aata hai to ringtone bajti hai same aise hi ringtone bajagi and agar aap vibrate ya flash light use karna chayte hai

to apko setting me Jana hai waha par option hai flash light aur vibration k apko us par tick karna hai fir apki settings thik ho jaygi.

Important jab aap iss application k use karenge to apke phone me ads bahut ads aynge matlb jaise TV me aate hai and agar apko ye ads band karne hai to apko 10rs k charge dena hoga

fir ye ads kabi nazar ni aynge agar ab apko ads hatana hai to aap setting me jaye aur waha par remove ads ke option hai to aap uss par click kare aur payment kar de aap debit card se bi kar sakte hai

aap isi tarah asani se apna phone 3 time clap karke find kar sakte hai

apko hmari post achi lagi to social media par jarrur share kare aur hmari website allhindihelp.com ko visit karte rahe or essi or bhi post read karne ke liye abhi site ko subscribe kare or latest post ki jankari apne email par prapt kare..

2 COMMENTS

    • you’re most welcome, рдРрд╕реА рдФрд░ рднреА рдкреЛрд╕реНрдЯ рдкреЭрдиреЗ рдХреЗ рд▓рд┐рдП рдЕрднреА рд╣рдорд╛рд░реА рд╕рд╛рдИрдЯ рдХреЛ subscribe рдХрд░реЗ

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here