Computer Date & Time Kaise Change Kare ( Windows 10 )

0
computer date time change kaise kare in hindi

Hi friends computer date & time kaise change kare, laptop me date or date kaise badle ye aap iss article me janege, dosto agar aapke pass bhi laptop hai aur usme windows 10 operating system hai

jiske date or time ko aap change karna chahate hai yani ki unme badlva karna chahat hai lekin aapko issske bare me sahi se jankari nahi hai to aap kaise apne computer ka date or time change kar sakte hai iss ke bare me iss post me batane wala hu,

bhut se log jo pahli bar apne laptop me windows 10 operating system use karte hai unko usko samjna thoda difficult rahta hai

jaise pahle agar aap windows xp ya windows 7 ka use kar rahe the or fir windows 10 ha use karte hai to isske kuch feature ko samjne me aapko time lag sakta hai, issliye yaha par sabse pahle us chij ke bare me bata raha hu vo aapke laptop me sahi honi chahaiye because agar aapke computer ka date or time hi sahi nahi hai to isse aapko bhut si problem ho sakti hai jaise aap laptop me time dekhte hai

or agar vo sahi nahi hai vo aap apne kamo ko karne me late ho sakte hai aur aapko kahi par ya kisi meeting me jana tha to aap waha par bhi nahi jayege or bhut se software esse hote hai

jo computer time or date ko dekhte hai to agar aapke laptop me sahi time & date nahi hai to isse vo software bhi sahi se kaam nahi karega, abhi dosto aap samaj gaye honge ki computer date & time correct hona kitna jaruri hai.

Computer OR Laptop Me Date & Time Kaise Thik Kare ?

Contents

jaisa ki aapko pata hi hoga ki windows 7 computer par aapko ek clock dikhti hai jo time or date batati hai aur usme aap easily changes bhi kar sakte hai lekin kya aapko pata ki windows 10 me date & time kaise change kiya jata hai agar nahi to me aapko issi ke bare me batane wala hu,

iss operating system me aapko koi bhi clock show hoti hai, aapko setting me jakar issme changes karne hote hai, lekin ye jayeda muskil kaam nahi hai , aap easily apne computer or laptop ka samaye or tarikh badal sakte hai

or isske liye aapko kisi bhi software ka use nahi karna hoga, bhut se log windows install karte samay in in chijo par dhyan nahi dete hai, or kuch logo ko to pata bhi hota hai unke laptop ka time or date galat hai fir bhi vo change nahi karte hai lekin agar aap bhi essa karte hai to isse aapke laptop me to thodi bhut problem ho sakti hai

because jaisa ki maine bataya ki kuch software jaise antivirus software bhi inhi chijo ko dekhte hai or aapka pc up to date nahi hai to isse aapke pc me problem ho sakti hai, issliye ye choti choti chije bhi aapke pc me sahi honi bhut jaruri hai.

Computer Date & Time Kaise Change Kare Or Badle ( Windows 10 )

Dosto yaha me aapko windows 10 computer ka date or time change karne ka tarika bata raha hu issliye agar aapke pc me windows 7 ya windows xp hai to usme ye method alag hoga or mostly jayedatar logo ke pc me windows 10 operating system hi rahta hai or aapko issko sahi se use karna nahi aata hai to iss post me bataye steps ko sahi se follow kare.

  • sabse pahle apne computer ko open kare or fir yaha par aapko windows icon show hoga uspar click karde or left side me kuch icon show honge umese 4rt number par setting icon hoga uspar click karde.
  • setting icon par click karne ke baad aap isski setting me paunch jayege yaha par aapko system, devices, phone,network & internet, personalization, apps, account, games etc bhut se option show honge inemse time & language wale option par click karde.
  • yaha par aapko apne pc ka current date and time show hoga or uske niche time zone bhi bhi show hoga yaha par aap apni county ke hisab se isse select kar sakte hai agar aap india se hai to yaha par chennai, kolkata, mumbai, delhi wala time zone select kare.
  • or fir yaha par set time automatically pahle se tick hoga usko untick karde or than set the date & time manually ke niche change wale option par click karde.
  • fir aapke samne ek change date and time wala ek new window open ho jayega yaha par aapko date me current month, year, date select karni hai aur fir time me vo current time select karna hai aur am or pm bhi select karna hai than sahi se tarikh or samaye dalne ke baad change option par click kar dena hai.

Now aapka computer date & time successfully change ho jayega.

Conclusion

Dosto Windows 10 Computer Date & Time Kaise Change Kare ye ab aap seekh gaye honge ye jankari aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye ye bhut hi easy tips hai but sabhi logo ko isske bare me jankari nahi rahti hai issliye iss post ko apne dusre friends ke sath me social media site par share jarur kare aur essi or bhi internet se related post ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here