Computer Drive Letter Hide Kaise Kare Or Chupaye In Hindi

0
computer drive letter hide kaise kare or chupaye

Hii friends computer drive letter hide kaise kare in hindi, computer me drive letter ko kaise Chupaye ye iss article me janege, dosto laptop me hard disk ka name or letter or path change karne ke bare me maine pahle se ek post ki hai lekin kya aap jante hai ki

aap computer drive letter hide bhi kar sakte hai matlab ki aapki pc me jo disk drive rahti hai unke aage C, D, E, F, G etc letter rahte hai

lekin aap chahe to unhe hata sakte hai yani ki hide kar sakte hai, pc me windows install karne ke bad hi sabhi drive hume local disk, ya new volume ke name se hi milti hai aur uske aage c,d,e,f essa likha rahta hai

matlab ki aapko computer disk ka name Local Disk (C), New Volume (D), New Volume (E) etc kuch iss tarah show hota hai to aap agar chahe to in c,d, e letter ko hide kar sakte hai,

isse aapki drive pahle se acchi dikhti hai aur aapka computer bhi dusre logo se alag dikhta hai, computer me drive letter Ko chupakar aap apne drive ko aur jayeda accha dikha sakte hai.

Computer Me Hard Drive Letter Hide Kaise Kare ?

Contents

friends computer me drive letter ko hide karne ke liye aapko kisi bhi software ka use nahi karna hoga aap bina kisi software ka use kiye hi apne computer drive letter hide kar sakte hai,

lekin aap mese bhut se logo soch rahe honge ki agar hum drive letter ko hide kar denge to pc me koi problem to nahi aayegi to me aapko batana chahunga ki hard disk letter hide karne se aapke computer me koi problem nahi aayegi isse bs aapke computer drive ke aage jo c,d,e,f letter show hote the

vo show nahi karege, aur ye sabhi logo ko accha bhi lagta hai because bhut se log chahate hai ki unke computer ki drive unke name se show ho to maine isske bare me post ki hui hai lekin aap apne drive ka name change bhi kar lete hai jaise aap new volume ko dusra name jaise my file etc koi bhi de dete hai to fir vo my file (D) kuch iss tarah se show karega

lekin aapko agar aap chahate hai ki aapne use jo name diya hai sirf wahi name dikhe or uske aage koi bhi letter jaise c,d, e etc na show ho to issi ka tarika iss post me aapko mil jayega.

Computer Drive Letter Hide Kaise Kare Or Chupaye Step By Step Jane

  • computer me drive letter ko hide karne ke liye sabse pahle aapko apne pc ko open karna hai or fir desktop par aapko this pc wala ek icon show hoga uspar click kar dena hai.
  • now aap my pc me paunch jayege aur yaha par bhut sare option or aapki computer disk show karegi inmese aapko left side me uper file wala ek option show hoga aapko uspar click kar dena hai.
  • fir aapko kuch option show honge unmese change folder and search option par click kar dena hai.
  • than aapke samne ek window open hogi yaha par aapko general, view, search etc option show honge inmese view wale option par click karde.
  • now yaha par bhut se option show honge jo tick honge inmese aapko kisi bhi option me koi changes nahi karni hai or thoda niche scroll karna hai fir aapko show drive letters wala ek option show hoga
  • aur uske aage wale box me tick laga dikhega aapko isske aage wale box par click karkee us tick ko hata dena hai or apply par click karke ok par click karde.
  • jaise hi aap ye changes kar lete hai aapke computer drive letter hide ho jayege, or aapki hard disk ke aage koi bhi letter show nahi hoga.

Conclusion –

Dosto Computer me drive letter hide kaise kare in hindi ye ab aap seekh hi gaye honge ye jankari agar aapko acchi lage or aapki liye useful rahe to isse apne dusre friends ke sath me social media site par share jarur kare

aur iss post se related ya dusri post se related koi question hai to comment karke jarur bataye aur essi or bhi computer tricks se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here