Computer Folder Lock Kaise Kare ( PC File Me Password Dale )

0
computer folder lock kaise kare in hindi

Hii Friends computer folder lock kaise kare, computer folder & file me password kaise dale ye jankari aap iss article me janege, agar aapke pass bhi computer ya laptop hai to usme aapne bhut se folders banaye honge or file banayi hogi

agar aap nahi chahte hai ki aapke computer ke folder me jo data hai jaise image, video, document etc hai usse koi bhi person seen kare to folder ko lock bhi kar sakte hai, isse hoga ye ki aapke data puri tarah safe rahega aur use koi nahi access kar payega.

vaise sabhi log ko pata hota hi hai ki computer par lock laga sakte hai jisse koi aapka laptop open karega to usse password enter karna hoga tabhi aapka computer open hoga bina password ke vo aapke computer ko open nahi payega.

lekin kabhi kabhi essa rahta hai ki aapka koi friends ya relatives aapse aapke computer ka password puchte hai to aap unhe mana bhi nahi kar sakte, issliye bhut se log sochte hai ki essa koi tarika hai

jisse hum apne computer ke particular folder ko hi lock kar paye jisme humara data safe rahe to ye possible hai aap essa kar sakte hai.

Computer Me Folder Lock Kaise Kare ?

Contents

computer me kisi bhi folder ya file ko lock karne ke liye aapko command wala method ya notepad wala method use karna hota hai lekin kuch logo ko vo samaj nahi aata

issliye yaha par me aapko computer folder lock karne ka jo tarika bata raha hu usme aapko jayeda kuch nahi karna hoga aur bhut hi asani se computer ke kisi bhi folder ya file me lock laga payege

yaha par me aapko ek software ka use karke folder lock karne ka tarika bata raha hu, or jis software ke bare me bata raha hu vo lagbhag sabhi computer me pahle se aata hai, isska name winrar hai agar aapke computer me winrar nahi hai to issse isski site se download bhi kar sakte hai.

Computer Folder Lock Kaise Kare Step By Step Jane

apne computer ke kisi bhi folders ya file ko lock karne ke liye aapko use rar file me convert karna hoga aur fir aap usme password laga sakte hai jisse aapka folder ya file safe ho jayegi aur aapke alawa koi bhi use open nahi kar payega. bhut se log apne laptop me apna personal data jaise image, video, document etc rakhte hai

or vo nahi chahate hai ki unhe unke alawa koi or dekhe to aapke computer ke jis folder me aapka important data jaise image, video, document etc hai aap usse rar me convert karke usme password laga sakte hai. isske liye aapko niche bataye steps ko follow karna hoga.

  • sabse pahle apne computer ya laptop me winrar name ka software download karna hoga, agar aapke computer me pahle se ye software hai to aapko isse dubara download karne ki jarurat nahi hai aur aapke computer me ye software nahi hai to aap isse winrar ki site se download kar sakte hai.
  • fir apne pc me winrar software ko download aur install karne ke baad fir desktop par aapko my computer ya this pc wala ek option show hoga uspar click karde.
  • fir aapko yaha par apni computer drive show karegi jis bhi drive me aapka data hai usme jaye aur fir jis folder ya file me aap lock lagana chahate hai uspar mouse se right click kare fir aapko kuch option show honge unmese add to archive wale option par click kare.
  • add to archive par click karne ke baad aapko yaha par bhut sare option jaise general, advanced, option, backup, comment etc show honge aur yaha niche aapko set password wala ek option dikhega isspar aapko click kar dena hai.
  • set password par click karne ke baad aapse password enter karne ke liye kaha jayega yaha par aap apni pasand ka koi bhi password enter kar sakte hai lekin aap jo password enter kar rahe hai use kahi par likh le
  • kyoki agar aapne jo password enter kiya hai vo aap bhul jate hai to usko recover karna thoda muskil ho jayega aur fir aapne jo password enter kiya tha wahi duara reenter karke confirm kare aur fir ok par click karde.
  • Now fir aapka folder rar me convert hona start ho jayega issme thoda time lag sakta hai agar aapke folder me jayeda files hai jo jayeda time lagega aur agar aapke folder me kam data hai
  • yani jayeda files nahi hai to kam time lagega, or fir processing complete hone ke baad aapko aapko ek rar file show hogi, issme hi aapka sara data hoga fir aapka jo folder hai usko aapko delete kar dena hai.

Important – aapne jis folder ko rar file me convert kiya hai us folder ko hi delete karna hai aur us rar file ko delete nahi karna hai, agar aap rar file ko hi remove kar denge to aapka data bhi delete ho jayega.

iss tarah aapka folder rar file me convert ho jayega aur iss rar file ko bhi koi person tabhi open kar payega jab vo wah password enter karega jo aapne dala hai.

Computer Folder Ko Unlock Karne Ka Tarika

  • ab aapko ye to pata chal gaya ki computer me folder lock kaise hota hai lekin agar aapko vo data dekhna hai jo aapke locked folder me hai to aapko isske liye sabse pahle use unlock karna hoga jise aap easily kar sakte hai.
  • aapne folder ko jis rar file me convert kiya hai uspar mouse se double click karna hai uske baad aapse password enter karne ke liye kaha jayega aapne jo password enter kiya tha wahi password dubara enter karna hai aur extract option par click kar dena hai.
  • Now Rar file folder me convert hona start ho jayegi yani ki extract process chalne lagegi issme thoda time lag sakta hai.
  • fir aapko folder show ho jayega aur usko kholkar aap dekh sakte hai usme aapka sara data jaise image, video, document etc hogi.

iss tarah friends aap easily computer folder lock kar sakte hai.

Important

Dosto computer folder lock kaise kare in hindi, pc folder or file me lock kaise lagaye ye ab aap seekh hi gaye honge ye information aapko kaisa laga comment karke jarur bataye aur agar ye post aapke liye useful raha to isse apne other friends ke social media site par share jarur kare aur essi or bhi computer tricks se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here